Accountancy Forum

Full Version: NTN, STRN Registration and e-Enrollment
You're currently viewing a stripped down version of our content. View the full version with proper formatting.
Pages: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11
kiya matlab ap ki consultancy firm nahi hai kiya....
Main yehi samjhi thi k app ki consultancy firm hai.isi liye keh rahi thi.....
ok thanks a lot for sharing your knowledge[)]

Have a nice Day
Ji meri firm ka naam Optimistic Law Associates hay, par ham training nahi dayty, sirf services dayty han.
<blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Arial, Helvetica, san" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by LapTop</i>
<br />Hi Members,

agar kisi member ko NTN, Sales Tax Registration ya e-Enrollment k hawaly say koi problem ho to wo yahan share kar sakta hay, inshallaha problem solve ki jaye gi tamam members ki taraf say.
<hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote">

Hello Sir, Salam
Mjhy ake chez pochni thi, hope fully ap help karengay. may ake choti c private firm k accounts dhekta hon, or monthly electronic return file kerta hon.. hamari supplies different govt organisation may b jati hen, like Sindh Govt Press or Governor House, or in k cheque AG Sindh issue kerta hai, In govt edaron ka koe NTN ya STRN No nhi, tu inki sales ko kis NTN/STRN no pay feed karon? ( may nay FBR call ker k pocha tha, tu they said k non registered i.e. 99999999999999 pay daal den) ake problem yeh hai k AG Sindh hamari firm k behalf pay 3% GST withhold kerta hai or month/year end pay direct jama kra k hameen certificate daydayta hai, per non-registered k option may with-holding ka cell block hota hai???tu hamaray liay woh ceretificate useless hai??
if u have any idea plz help!
phir to app Bukhari & Company ko jante ho gay woh bhi service daite hai.........?
Masroor Bhai, wo certificate useless nahi hay, agar ap usy useless samjhayn gay to jitney amount ka wo certificate ho ga wo ap ko dobara say return k sath jama karwana pary ga,

Ap nay jo problem batai hay wo daykhi hay may nay Unregistered Buyer k liye withholding k option nahi hay,,,
Par jo bhi government ka department hota hay usy Tax free number diya jata hay, ap wo mang sakty han un say,
Agar wo bhi na mily to ap sales book karty howay withholding ap nahi dal sakyn gay, to main return par colum number 16 may wo amount dal dijiye ga jo withheld howa hay, to ap ki liability less ho jaye gi utny amount say.
Return file kar dayn, agar objection aye to wo withholding certificate ap k kam aye ga phir.
Nahi Humaira baji may nahi janta Bukhari & Company ko.
Thanks Mr. Anfal

I will check and revert u soon

Regards
Razi Saeed
AOA
bro me ne sales tax return file kerne ki koshish ki hai mager file nahi ho rahi us screen pe hali boxes aa jatey hain or un me likha bhi nahi ja raha
Erfan ap jab apna sale tax account open ker k sale tax return main jai gay to left side per monthly sale tax return likha hai ap us main ja ker Dec 10 ki return per click karo.Yaha per aik page open ho jai ga.
Ab yahan per Annex(A,B,C,D etc) Show ho rahe hon gay.Ap ka jo Annex banta hai A,B,C,D.Etc ap us ko click karo to aik nai window show ho jai qi.
wahan per ap ne jis client ka sale tax jama kerwana hai us ka NTN aur Sale tax no likhe ge to baqi detail computer khud hi show ker dai ga.Wahan add ka button ho ga use click karain aur amount enter ker dai
isi terha baqi Annex (jo ap k bante hai)unhain click karain aur amount enter ker dai>jab sare amount enter ho jai to back to return ka write side per button ho ga use click ker k main page per aa jai gay wahan ja ker submit ki option ko click karain ap ki return submit ho jai gi..
Mere khayal se aese hi retun submit ho gi.
Laptop kindly confirm ker dai k main ne jo method bataya hai woh theek hai k nahi.

Thanks & Regard
bro me ne doubara bhi try kia hai but same problem
plz help me
or abhi tak return bhi file nahi hoi
Erfan Bhai,,,,,

ap ki problem mujhay samajh nahi a rahi,,,baharhal ap k pass 1 mail aye gi FBR ki taraf say wo mujhay is address par send kar dayn, may return file kar don ga ap ka,,,,,

sahrai01@hotmail.com
Erfan Bhai,,,,

ap ka STRN associated nahi hay NTN k sath, isy associated karwa layn, 051-111-772-772 pay call kar k.
Mr. Lap Top

Mein ne e.fbr se tax challan create kiye. Us ko national bank se paid karwaye to wo E.fbr mein wo "confirmed" show ho raha hai. yahan tak to baat ok hai.

Per jo state bank of pakistan mein paid karwaye, unhone ne apna challan to de dia us mein IT no araha hai per wo e.fbr mein abhi tak show nahi ker raha hai, jahan per paid hone ke baad IT no ata hai wo column still blank hai.

Jab ke NBP jo jama karwaye hain, wo IT no show ker raha hai.........kia aysa koi aur link hai, efbr mein jahan per IT number dalna hota hoga........ab mein ne computer challan to e.fbr se bana lia aur sbp mein jama bhi kara dia........megar e.fbr abhi tak "preparing" show ker raha ,,,,jab ke is ko "confirmed" ana chahiye.
Samad Bhai,,,
NBP ka system to FBR k sath connected hay jaysy hi ap payment jama karwaty han, FBR may data chala jata hay,,,,,
Par State bank ka pata nahi mujhay.
Mujhe doubt hai SBP ka connected nahi......

Kher ap ke thru logon inform kerta hoon SBP mein koi tax challan jama na karwane jaye.....kyon ke wo jo computerized receipt de rahe hain.....us mein detail nahi ati....sirf amount ata hai....

detail se murad meri....jis ka tax cut raha hai, us ka NTN, Name and aur jis amount per kaat rahi hai.

halanke mein kafi time tak wahan jama karata raha hoon......tab koi masla nahi huwa.

yeh first time huwa hai.....to tamam log khabar daar rahein....
Pages: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11