Accountancy Forum

Full Version: NTN, STRN Registration and e-Enrollment
You're currently viewing a stripped down version of our content. View the full version with proper formatting.
Pages: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11
Hi Members,

agar kisi member ko NTN, Sales Tax Registration ya e-Enrollment k hawaly say koi problem ho to wo yahan share kar sakta hay, inshallaha problem solve ki jaye gi tamam members ki taraf say.
Dear Laptop

SRO 610 july 1 kay baray may koi update news hay may nay suna hay yay abhi board sy aprove nahi hwa hay is may meri understanding kay hay hawalay say yay hay kay ntn no subsitiute karay ga strn no ko to ab kia hoga kia new companies ko sales tax may registerd honay ki zaroorat hogi?

Is hawaly say abhi ko clear information nahi hay,,, FBR say clarification mangi hay may nay jaysy hi clarification aaye gi to update kar don ga.
sab k NTN or STRN bany howay han kya members k, yar kuch to pocho hahahahahaahaha
thank u pls mujhay update kardaina kuon kay mera aik case islmabad say reject hogia hay non filing ki waja say ab may is sro ki waja say ruk gia hun acha wo case chage of particulars ka tha sales tax may or company ka status proprietor ship tha to us ko nya no to issue nahi hoga sirf us kay certificate may aik nai company add hojay gi pls mujhay corect kardaina agar may ghalat hoon
Ji Bilkul, NTN number sirf 1 bar hi issue hota hay us k baad aap us may mukhtalif business add bhi karwa sakty han or remove bhi.

Business add aap online khud bhi kar sakty han, par agar aap ko business name change karna ho ya business remove karna to to us k liye pahly RTO say NOC layni parti hay phir permission milti hay.
ntn ka rule ab sale tax registration per bhi apply tha sro 610 say phalay aik proprietor agar nai company banay ga to uskay sales tax cert per company add hojay gi? any update news about sro 610
Consultant bhi,,,,,
NTN par to har business add karwana parta hay, par har business Sales Tax may registered nahi hota, jo business sales tax may registered karwana zarori hota hay sirf wo hi karwaya jata hay,
sro 610 ki koi news
(a) for the words “Sales Tax Registration Number” or the words “Registration Number”, wherever occurring, the words “National Tax Number” shall be substituted;

(b) in the Forms for letters “STRN” and “NTN” wherever occurring the letters “NTN” shall be substituted.

Consultant Bhai mujhay bhi abhi tak samajh nahi aaya k aysa kyon kar rahay han FBR waly.
kia ap is ki favour may nahi ho ?
Agar VAT ata hay to phir to 1 hi number hona chayea, kyon kar phir jitney bhi business hon gay wo VAT k dayrakar may aayen gay,,,,

Par agar AVT nahi aata or sales tax rahta hay or provincial sales tax alahda ho jata hay to phir to alahda hi rakhna bahtar hay, par is ka nuksan ho ga FBR ko,

Asal may FBR ko problem ye hay k, bohat say log sales tax may to black listed hayn par un ka NTN Active rahta hay, shayed is waja say wo sales tax number ko khatam kar k NTN number hi lana chah rahy han is ki jaja, taky jo sales tax may black list ho ga wo income tax may bhi black list ho jaye ga.
Dear Laptop

Mashallah say tumhara vision bhoat acha hay ham sab is say faida utharhay rhain
Thanks Consultant bhai,,,,

Asal may consultant bhai may nay field may bohat problem face ki han,,,, na to meri family may koi is field may raha hay or na hi koi or jan pahchan wala tha,

Jab is field may aaya tha na to ik baat bari shidat say mahsos ki thi may nay k har koi apni knowledge share karny say hesitate karta hay. Bas Allaha k fazalo karam say phir khud say sikha sab khuch koi sikhany wala nahi mila,,,,,,

May nay sikha hay k jo log apni knowledge share nahi karty na un ki knowledge bharti bhi nahi hay,,

Or jitni zayada ghaltiyan karyn gay utna zayada sikhayn gay, par shart ye hay k 1 ghalti dobara na ho,
If a company having different units with different operations,then kia us ko multiple registerations kerwani chahiay?
Pages: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11