Accountancy Forum
registration - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: The Profession (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=4)
+--- Forum: Tax (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=8)
+--- Thread: registration (/showthread.php?tid=8572)



registration - zeeshan687 - 08-15-2010

salam to all...

plz help me bhaio...agar ap ko kisi ko convince karna ho k wo apni registration karay for income tax ya sales tax k liye to ap usko kesy convince karain gy....bcz koi bhi nahi chahta k wo tax pay khud kary...


- Information Consultant - 08-16-2010

SRO 610 kay bad ab kisi ko sales tax may registarion ki zaroorat nahi hay us ka ntn no hi kafi hay

sab say phalay to ap us kay buisness ki requirement dekh lo kay aia us ko incometax may register hona zaroori bhi hay ya nahi agar us ka kam baghair is kay chalta hay to is say achi koi baat nahi hay


- zeeshan687 - 08-16-2010

sb chezain OK hain...i mean business type..income..turnover sab kuch tax orbit ka ata hai...laikin log phr bhi apni registration nahi karwaty..aesi situation mai kesy convince karna chahiye in ko??? i mean unhain easy language mai benifits batany hain registration k..plz help me


- LapTop - 08-16-2010

Zeeshan bhai,,,,,

Tax documentation say log is waja say ghabraty han k wo samajhty han k pata nahi kitna tax dayna par jaye ga,

Ap apny client ko ye ahsas dilayen k Tax documentation is liye nahi hoti k tax diya jaye,,,

1) balky tax documentation is liye ki jati hay k kahin zayada tax na chala jaye ap ki tax liability say,, (tax to dono sorton hi may government layti hay chahy registerd hon ya na hon)

2)Tax documentation ka sab say bara fayda ye hoti hay k ap apni income ko declare kar sakty han,,,,

3) Unregisterd person apni income ko white prove nahi kar sakta,,

4) Unregisterd person chahy karorpati kyon na ho, us k pass koi prove of business or income nahi hota,

5) agar 1 unregisterd person k bank account may kafi paysa ho to us par dayhshatgari ka ilzam bohat aasasi say prove ho sakta hay , kyon k wo us income ya paysy ki koi leagel source nahi bata sakta,,,,

6) any waly wakt may ko shaks Active Taxpayer List may shamil nahi ho ga us say kiya gya koi expance admissible nahi ho ga,,,


ap apny client ko samjha sakty hayn k (siway manufacturing k) zayada tar income par to us ka tax advance hi may deduct ho jata hay, jab wo tax day hi raha hay to apni income ko bhi declare kary taky us ki wo income white ho jaye,,,,



- zeeshan687 - 08-17-2010

thankz alooottt bhai -)


- Sarfaraz Khan - 08-17-2010

lap top chah gaya bhai )


- Information Consultant - 08-17-2010

very good