Accountancy Forum

Full Version: inspirational poem"chalna mujhe aata hai"
You're currently viewing a stripped down version of our content. View the full version with proper formatting.
salaamun alaikum,
<font color="red">dosto,hum pehli baar aapke forum mei.n haazir hue hai.n apna yeh kalaam lekar.gar qubool uftad......
arz karta hoo.n ki,</font id="red">

<font color="blue">koyee saath na de mera,chalna mujhe aata hai
shaheen sifat hoon main,udna mujhe aata hai

mushkil mein balaon mein,hansna meri aadat hai
har mouje hawadis se,ladna mujhe aata hai

milta hai sukoon mujhko,sohbat mein ghareebon ki
khudgharz ameeron se,bachna mujhe aata hai

hai zulm ameeron ka,dunia mein ghareebi hai
zaalim ke muqaabil mein,datna mujhe aata hai

jhooton ke farebon se,hai bayr sada mujhko
sacchon ki hifazat mein,marna mujhe aata hai

mitti se bana lekin,hai asl mera paani
behna meri fitrat hai,badhna mujhe aata hai

momin hoon musalman hoon,main ilm ka talib hoon
gardan ko jahalat ki,kasna mujhe aata hai

bewaaon se hamdardi,hai pyar yateemon se
quran ki naseehat par,chalna mujhe aata hai

haamid hoon mohammed ki,seerat hai ravish meri
insaan ke ayebon ko,dhankna mujhe aata hai


wassalam haamid baaqri,bangalore,india

tel....mob...00-91-9341253797
</font id="blue">

asa tiza ke liye phool ka ek haar qalam,
jahal ki aankh mei.n chubhta hai banke khaar qalam.