Accountancy Forum

Full Version: Thought provoking poem on quran
You're currently viewing a stripped down version of our content. View the full version with proper formatting.
arz karta hoon ki,


<font color="blue">Samjho khuda ke waaste azmat quran ki
dono jahaa.n pe chaayee hai rahmat quran ki

qaole nabi hai momino qura.n padha karo
ahmed ke jaisi zindagi tum bhi jiya karo
barsegi tum pe dekhna rahmat quran ki
samjho khuda ke......

rabne quran bheja hai zindo.n ke waaste
duniya quran padhti hai murdo.n ke waaste
haatho.n se hum banaate hai.n turbat quran ki
samjho khuda ke...

akhbaar aur risaalo.n ko palko.n pe rakhliya
allah ki kitaab ko taaqon mei.n rakhdiya
muslim ke haatho.n hoti hai zillat quran ki
samjho khuda ke...

ramadhan ke maheene mei.n allah ke qareeb
gyaarah maheene hum to hai.n shaitaan ke qareeb
bolo kahaa.n se paayenge barkat quran ki
samjho khuda ke...

naize pe to hussain ne qura.n suna diya
sookhe labo.n se fatha ka ailaan kar diya
shabeer ne bachaayee hai hurmat quran ki
samjho khuda ke...

taqwey ke saath zindagi haamid guzaar lo
kirdaare mustafa se tum khud ko sanwaar lo
waqtey ajal bhi lab pe ho midhat quran ki
samjho khuda ke...

wassalaam,iltemaase dua,haamid baaqri ,BANGALORE
</font id="blue">

asa tiza ke liye phool ka ek haar qalam,
jahal ki aankh mei.n chubhta hai banke khaar qalam.
Jazak Allah )

Muqtader Abbas Shah