Accountancy Forum

Full Version: poetry
You're currently viewing a stripped down version of our content. View the full version with proper formatting.
Shaam hote hi ye Dil udaas hota hai
Toote khwaboo ke siwa kuch na pass hota hai
Tumahri yaad aise waqt bohat aati hai
Bandar jab koi aas-paas hota hai..



"Meri B-V kabbar maen leti hay jin aayaam say
wo bhi aaram say aur
maen bhi aaraam say"
bauhat khoob
lakin kis k liaye
<blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Tahoma, Arial" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by sajid naveed khan</i>
<br />bauhat khoob
lakin kis k liaye
<hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote">
Zinda Dil Hain Hans Kar Do Ghum Seh Lainge
Har Ghum Mein Uska Saath Ho Yeh Zaroori To Nahi

Yoon To Woh Bohat Wafashaar Hain Magar Phir Bhi
Har Kadam Pe Wafa Karein Yeh Zaroori To Nahi

Hosle Aur Bhi Bhar Jainge Shikast K Baad
Jeet Yahan Sada Hamari Ho Yeh Zaroori To Nahi

Shiddat-e-Ghum Mein Insaan Ro Bhi Daita Hai
Samne Uska Aanchal Ho Yeh Zaroori To Nahi

Nazrain Thi Buss Kya Karti Pathar Ho Gayee
Uske Baad Kisi Aur Ko Dekhein Yeh Zaroori To Nahi

Hum Ne Hamesha Usse Dil se Chaaha
Woh Bhi Hamain Chahe Dil se Yeh Zaroori To Nahi....

AOA to All
Raat hawaen taiz theen,aur badal toot kay barsa tha
Galiyan koochay jal thal thay, aur soh kaa sehra piyasa tha
band dareshon kay sawan par chand boondon nay dastak dee
Mein samjhee kay tum aaye,andaaz tumharay jaisa tha
hmm hmm hmm hmmm la la la
hey hey hey hey ah ha
subhaan allaah subhaan allah subhaan allah
subhaan allaah subhaan allah subhaan allah
valle valle
valle valle
valle valle
chaand sifarish jo karta hamari deta woh tumko bata
sharm-o-haya pe parde gira ke karni hain hamko khata
zidd hain ab toh hain khud ko mitana hona hain
tujhmein fanaa
chaand sifarish jo karta hamari deta woh tumko bata
sharm-o-haya pe parde gira ke karni hain hamko khata

valle valle
valle valle
teri adaa bhi hain jhonke wali chhu ke gujar jaane de
teri lachak hain ke jaise daali dil mein utar jaane de
aaja baahon mein karke bahana hona hain tujhmein fanaa
chaand sifarish jo karta hamari deta woh tumko bata
sharm-o-haya pe parde gira ke karni hain hamko khata

subhaan allaah subhaan allah subhaan allah
subhaan allaah subhaan allah subhaan allah
hain jo iraaden bata doon tumko sharma hi jaaogi tum
dhadakanen jo suna doon tumko ghabraa hi jaaogi tum
hamko aata nahi hain chhupana hona hain tujhmein fanaa
chaand sifarish jo karta hamari deta woh tumko bata
sharm-o-haya pe parde gira ke karni hain hamko khata
zidd hain ab toh hain khud ko mitana hona hain
tujhmein fanaa
Tukron mai bikhra hua, kisi ka Jigar dikhayenge
Kabhi aana Hamari Basti, Tumhe apna Ghar dikhayenge

Hont kaanp jaate hain, Thar-Tharaati hai Zabaan
Toote Dil se nikli hoi, Aahon ka asar dikhayenge

Kabhi aana Hamari Basti, Tumhe apna Ghar dikhayenge

Ek Pohunch pata nahi, Ek aur Chhalak jaata hai
Palkon se Daman tak ka, Ashqon ka Safar dikhayenge

Kabhi aana Hamari Basti, Tumhe apna Ghar dikhayenge

Kahin Tasveer hai Teri, Kahin likhaa hai Tera Naam
Mandir-Masjid jitna Paak, Ek Deewar-o-Dar dikhayenge

Kabhi aana Hamari Basti, Tumhe apna Ghar dikhayenge

Aksar takti rehti hai, Sunsaan Raahon ko Sanam
Darwaaze par bethi hoi, Sapno ki Nazar dikhayenge

Kabhi aana Hamari Basti, Tumhe apna Ghar dikhayenge
Wo to majborioon main lipti hain
Apney shiddat bharey khyaloon main
Apney ander chhupi ek aurat main
Wo hamesha hi darti rehti hain
Na to jeeti hain na to marti hain
Larkiyaan bewafaa nahi hoti
Per Hamesha hi darti rehti hain
Apne reeti or rawajoon se
Any waley naye azaboon se
Zardurat main khily ghulaboon se
Pyaar kerti hain or chhupati hain
Larkiyaan Bewafaa nahi hot
Kyuon ki majborioon main lepti hain
Or her lamha darti rehti hain
Apney pyaar se apney saye se
Apney rishton se dil ki dharkan se
Apni khowahish se apni kushioon se
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti !!!
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhor ke jaane ke liye aa

pahle se maraasim na sahii phir bhii kabhii to
rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa


kis kis ko bataayenge judaaii kaa sabab ham
tuu mujh se khafaa hai to zamaane ke liye aa

kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa

ek umr se huun lazzat-e-giriyaa se bhii mahruum
ai raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa

ab tak dil-e-khushfaham ko tujh se hain ummiiden
ye aakhrii shammen bhii bujhaane ke liye aa

maanaa ki muhabbat ka chopana hai muhabbat
chupke se kisii roz jataane ke liye aa
Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra...
Mujhe bechain karta hai tumhara chand sa chehra...
Usi ehsaas ka nasha liye phirta hoon duniya main akela...
Meri khatir sanwerta hai tumhara chand sa chehra...
Mujhe ye chandni raatein buhut bekaaif lagti hain...
Jab meri aankhoun main ubharta hai tumhara chand sa chehra...
Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta...
Mujhe madhosh karta hai tumhara chand sa chehra...
Meri basti se shayad iss liyay tum door rehte ho...
Gehan lagne se darta hai tumhara chand sa chehra...
Tawaja kis qadar dene laga hun aaj kal khud per...
Mere charoun taraf jab siyah raat aati hai...
To phir mujh mein uterta hai tumhara chand sa chehra...
Mere se yun hi TUM apni dosti rakhna...
Andhere main nikharta hai tumhara chand sa chehra...
Jab Hum nahe hoon gaen
Tab humari yaad zaroor ay gi
Humaray janay kay baad
Tum ko humari Qadar ho jay ge,
Pal Pal Humari batain yaad ainge
Tumharay rooth janey par humari manna’nay ki adda sataaygi
Us waqt Chatey huay bhi hum ko bula na pao gay
Humaray chalay janay par Yaad kartay rahay jao gay…….

Kaho ab kia kahoon tum se
Batao kia likhoon tum ko
Mujhe tamheed do koi mujhe umeed do koi
Naya ik lafz ho koi

Jahan se baat chal nikle meri mushkil ka hul nikle
Batao lehja kaisa ho
K tum se baat kerni hai
Mujhe thora ujala do baser ik raat kerni hai
Tum apni roshan aankhon ko

Ager kholo to mein likhoon
Tumhaare lub se aaye ga sukhan mein ik kateela pun
Tumhaari aankh de de gi takhatub ko nasheela pun
Kaho ab kia irada hai

Mujhe izhaar kerna hai
K beytaabi ziada hai
Kaho....ab.. ..kia kahoon....tum se....!!!!
Bheed Mein Ek Ajnabi Ka Saamna Acha Laga
Sabse Chup Kar Wo Kisi Ka Dekhna Acha Laga

Surmayi Aankhon Ke Neeche Phool Se Khilne Lage
Kehte Kehte Wo Kisi Ka Sochna Acha Laga

Baat Tu Khuch Bhi Na Thi Magar Uska Ekdam
Haath Ko Honton Pe Rakh Kar Rokna Acha Laga

Dil Mein Kitne Ehed Baandhe They bhulaane Ke Liye
Wo Mila Tu Saare Eraade Todna Acha Laga

Es Adoo-e-Jaan Ko Amjad Kese Mein Bura Kahoon
Jab Bhi Aaya Saamne, Wo Bewafa Acha Laga
Mohabbat ke junoon main aksar aisa hota hai
Ghalti kisi ki ho dono ko tarapna parhta hai

Zindagi naam hai bas ek is hi cheez ka
Kabhi paa ker bhi kisi ko khona parhta hai

Zakham chahe jitne lagen Dil per magar
Na chahte hue bhi yahan jeena parhta hai

Juddayi chahe pal bhar ki ho bohat dasti hai
Mohabbat main yeh azaab bhi sehna parhta hai
Rat ka waqt hai or masjid hai qareeb
uthiye jaldi se ke peghame amal laya hoon
ghar main hain filhal jitne bhi purane jote
aap bhi jake badal lain main badal aya hoon

--------------------------------------------

ekhatar bahattar tehattar chuhattar
pechathar chehattar satattar athattar