Accountancy Forum

Full Version: poetry
You're currently viewing a stripped down version of our content. View the full version with proper formatting.
Ek vehem Tha Dil Mein Shayad Kabhi Milo Tum
Kuch Deer Rukh Ke Pochoo Betay Dinoo Ka Mosam
Awaz Mein Ho Larzish Aankhoon Mein Ek Tajassus
Mazi Ka Koi Lamha Shayad Aatak Gaya Ho
Sab Bhool Ker Bhi Shayad Kuch Yaad Aagaya Ho
Phir Mein Tumhain Bataoon Apni Khushi Ki Bateen
Har Dukh Chupa Ke Dil Mein Aasudgi Ki Bateen
Wo Chand Choudwiin Ka Taroon Bhari Wo Rateen
Pyaar Ka Tassauwur Aur Bandagi Ki Bateen
Woh Roz Roz Marna Aur Zindagi Ki Batein
Tum Dukh Se Muskuraoo Aur Dheray Se Paas Aao
Sir Ko Jhuka Ke Apne Chup Chap Lout Jaoo
Phir Mein Bhi Muskuraoon Aur Dil ke Diyee Bhujaonn
Lehraoon Apnay Je Main Ek Talk Si Haqeqat
Ek Khuwab Zindagi Ka Haan Omer Bhar Jo Dekha
kabhi Hosaka Na Pora Yun Hi Reh Gaya Aadhora
har bat pay ab to hasna acha nahi lagta.
gham_e_ashiqi say hatna acha nahi lagta.
khirki mai mera koi intezar nahi karta ab.
teri ghar say ab guzarna acha nahi lagta.
rahoon mai teri yad kay jugnoon hain ja baja.
ab saath kisi kay chalna acha nahi lagta.
aye jan tumhain kab tak har bar manaon mai.
har bat pay bigarna acha nahi lagta.
sono kabhi ankhoon ko khay detin hain yeh bohot kuch.
har bat zaban say kehna acha nahi lagta.
sawan ki rutoon ko chup chap ganwa deta hun.
darakhtoon say ab lipatna acha nahi lagta.
dastor_e_zaban bandi seekhi hai chot kha kar.
halay dil sabhi say kehna acha nahi lagta.
ab kisi nigah_e_shoq ko intezar nahi hai mera.
ab ass kisi ki rakhna acha nahi lagta.
mai janta hun wafa ki manzil nahi hai koi.
par is ab rah say palatna acha nahi lagta.



Apni Ankhon Ko Band Karna Aur Mujhay Awaz Day Dena...
Phir Meray Tasawur Sey Jo Chahey Batien Keh Dena
Meray Kandhey Per Sar Rakh Ker Jitna Chahey Roo Lena...
Jab Main Khud Lout Jaon Tou,Apni Duniya Main Chaley Jana
Mager Buss Itna Kehna Hai K Jab Bhi Dukh Ya Khushiyon Main
Hamien Dil Sey Pukaro Gay,Tou Hamen Tum Saath Paao Gay
Main Tumray Saath Hoon Aik Ehsas Ki Tarah
usay apnay farda ki fikar thee,woh jo mera waqif-e-haal thaa
woh jo uski subhe arooj thee,wohi mera waqt-e-zawal thaa
mera dard kesay woh janta ,Mere baat kaisay woh manta
woh to khud fana kay safar mein thaa,usay rokna bhe muhaal thaa
mujhay chor kar kahan jaao gay,usay pooch pooch kar thak gaya
woh jawab bhee naa dae saka,woh to khud sarapa sawal thaa
woh jo uskay samnay aa gaya,wohee roshanee mein naha gaya
ajab us kaa haibat-e-husan thaa,ajab uska rang-e-jamal thaa
dam-e-wapsi par kiya hua,naa woh roshani naa woh tazgee
woh sitara kaisay bikhar gaya,woh to aap apni misaal thaa
woh mila to sadiyon kay baad bhi,meray lab pae koi gilaa na thaa
usay mere chup nay rulaa diya,jisay guftagu mein kamal thaa
woh mujh se mil kar ro diya,mujhay faqt itna woh keh saka
jisay janta thaa woh zindage,woh to sirf vehm-o-khayal thaa
pichalee galee mein rehtaa hae,milnae tak nahi aata
kehta hae takaluf kia karna,hum tum mein to dil kaa naata hae
kehtaa hae kay ziada milnae se waadon ki khalish barh jaye gee
kuch baatein waqt pae bhee choro,dekho woh kia diklata hae
kehtaa hay kay tum ko dosh naa tha,kuch hum to aisa hosh naa tha
phir hansta hae, phir roota hae,phir chup ho kar reh jaata hae
aye bacho,aye hansnay walo,taikh-e-muhabbat parh dalo
dil walon kay dil pae qaid nahi,har umer mein thokar khata hae
Taiz hawa kaa jhonkaa aaya,saath tumhare khushboo laaya
phir mere dil mein yeah khayal aaya,aaj mera dost phir nahi nahaya
sar jhukao gay to pathar daevata ho jaye gaa
itnaa mat caho usay woh bewafa ho jaye gaa
hum bhee daryaa hein hamein apnaa hunar maloom hae
jis taraf bhee chal parein rasta ho jae gaa
TUM BOHAT JAZIB-O-JAMEEL SAHI
ZINDAGE JAZIB-O-JAMEEL NAHI
MAT KARO BEHAS HAAR JAO GEE
HUSAN ITNI BARI DALEEL NAHI
WAFA RUSWA NAHI KARNA
SUNO AISA NAHI KARNA
MEY PEHLEY HI AKALI HO
MUJE TANHA NAHI KARNA
JUDAI B AYE TO DIL CHOTA NAHI KARNA
BOHAT MASROOF HO JANA MUJE SOCHA NAHI KARNA
BHAROSA B ZAROORI HEY MAGAR SAB KA NAHI KARNA
MUKADAR PHIR MUQADA HEY KABI DAWA NAHI KARNA
JO LIKHA HEY WOHI HOGA
KABI SHIKWA NAHI KARNA
AAO BATAEN HUM TUMHEIN SEHAT KAA RAAZ-E-KHAAS
KHUSH REH KAY TUM HIFAZAT-E-SEHAT KIA KARO
MEHSOOS HO RAHI HO AGAR KHOON KI KAMI
HAFTAY MEIN AIK BAAR MUHABBAT KIA KARO
Kahan say laao hunr ab usay manaanay kaa
Koi Jawaaz na thaa us kay rooth jaanay kaa

Muhabbato may sazaa bhi mujhay hi milni thi
Keh jurm may nay kia raabtay barhaanay kaa
rafaqatoun key silsilay na toot jain kahein
kabhe kabhe milnay ka silsila rakhna

manna aur log b hain teray kareeb
magher mere zaat ko auroon say juda rakhna
doste say qeemte koi jageer nahe hote
dostee say khoubsurat aur koi cheez nahe hote

dostee uun tu aik kacha dhaga hay
mager is dhagay se mazboot koi zanjeer nahe hote
hamein ushkkoun se palkoun ko bhagona nahe ata
milay jo khushi ussay khona nahe ata

seh letay har ghum hans key
aur log kehtay hain hey hamein rona nahe ata
Wo jo shere -e- Dil tah aujar gaya .... Wo jo khwaab tah wo bekhar gaya..... Khain mosmo ke nazar lagi ..Kabbi wahmo na dara deya ...Kabi manzilo ka saraab nain ... Hamain rastain main he dagha deya ....Kabi zindage ke kataab ta hamain jis na caha meeta deya ..... Bas ese leyain jo wo ja raha tah door takh ..... Ausain dakhtain he rahain magar ... Nahe di Sada ... Ausain rokhtain be toh kis leyain...... AUSAIN ROKHTAIN BE TOH KIS LEYAIN.