Accountancy Forum

Full Version: poetry
You're currently viewing a stripped down version of our content. View the full version with proper formatting.
VALUE OF RELATION IS NOT THAT HOW MUCH ONES FEEL HAPPY WITH SOME ONE...... BUT IT IS THE EMPTYNESS THAT ONE FEEL WITHOUT SOMEONE......y u all keep quite
SUNO
jahan sawal key badlay sawal hota hay
wahan muhabatoun ka zawal hota hay
kisi ko apna banana hunr he nahe
kisi ka ban ker rehna kamal hota hay
kal halki halki barish thi
kal sard hawa ka raks b tha
kal phool b nikhray nikhray they
kal unmein app ka aqs b tha
kal badal kaalay gehray they
kal chand pay lakhoon pehray they
kuch tukray app ke yaadoun key
bari dair say dil mein tehray they
kal yaadein ujle ujle the
kal tak ye na sulji the
kal yaad bouhat tum aye they
kal yaad bouhat tum aye they
man lo hum tumhein yaad ayeen gay
barish ke pehli booond ke sath
suraj ke pehle kiran key sath
dil ke dharkan key sath
dil say nikle her dua key sath
guzre hoye har pal key sath
man lo hum tumhein yaad ayeen gay
bahar ke pehle hawa key sath
phool ke bhinni khushbu key sath
man loo hum tumhein yaad ayen gay
hum nazuk nazuk dil walay
kabhe hanstay hain kabhe rootay hain
kabhe dilmein khawab parotay hain
kabhe mehfil mehfil phirtay hain
kabhe zaat mein tanha hotay hain
kabhe chup ke mohor sajatay hain
kabhe geet laboun pay hotay hain
kabhe sab ka dil behlatay hain
kabhe shab bhar jagtay rehtay hain
kabhe lambi taan ker sootay hain
hum nazukh nazukh dil walay
apnay app mein ghum rehtay hain
<font face="Comic Sans MS"></font id="Comic Sans MS"><font size="5"></font id="size5"><font color="blue"></font id="blue">
salam!
merey ALLAH!
mein ne jab bhi tere barey likhna chaha
mein ne dekha mrey hathon mein larzish thee
aankhon mein ghanghor ghata

abhi ke liye itna hi,AAGEY AAGEY DEKHIYE HOTA HAI KYA
<font face="Comic Sans MS"></font id="Comic Sans MS"><font size="5"></font id="size5"><font color="teal"></font id="teal">
GULAB CHEHREY PE MUSKURAHAT
CHAMAKTI AANKHON MEIN SHAUKH JAZBEY
WO JAB BHI COLLEGE KI SERHIYON SE
SAHALIYON KO LIYE UTARTI
TOU AISE LAGTA KE JAISE DIL MEIN UTAR RAHI HO
KUCH ISS TAYAQQUN SE BAAT KARTI
KE JAISE DUNYA USI KI AANKHON SE DAIKHTI HO
WO APNE RASTEY PE DIL BICHHATI HOI NIGAHON SE HAS KE KEHTI
TUMHAREY JAISE BOHAT SE LARKON SE MEIN YE BAATEIN
BOHAT SE BARSON SE SUN RAHI HOON
MEIN SAHILON KI HAWA HOON NEELEY SAMANDARON KE LIYE BANI HOON
WO SAHILON KI HAWA SI LARKI
JO RAAH CHALTI TOU AISE LAGTA KE JAISE DIL MEIN UTAR RAHI HO
WO KAL MILI TOU USI TARAH THEE
GULAAB CHEHREY PE MUSKURAHAT
CHAMAKTI AANKHON MEIN SHAUKH JAZBEY
KE JAISE CHAANDI PIGAL RAHI HO
MAGAR JO BOLI
TOU US KE LEHJEY MEIN WO THAKAN THEE
KE JAISE SADIYON SE DASHT E ZULMAT MEIN CHAL RAHI HO

<font face="Comic Sans MS"></font id="Comic Sans MS"><font size="5"></font id="size5"><font color="teal"></font id="teal">
TUJHEY TAQSEEM KAR DE GA
TERA DIL DIL MEIN GHAR GHAR KARNA
<font face="Comic Sans MS"></font id="Comic Sans MS"><font size="5"></font id="size5">[teal]
AEY SHAMMA E KOEY JAANAA
HAI TAIZ HAWA MANA
LAU APNI BACHA RAKHNA,RASTON PE NIGAAH RAKHNA
AISI HI KISI SHAB MEIN
AAEY GA YAHAN KOI
KUCH ZAKHM DIKHANE KO
IK TOTA HOA WAADA
MITTI SE UTHANE KO
PAIRON PE LAHU USS KE
AANKHON MEIN DHUAAN HO GA
CHEHREY KI DRARON MEIN
BEETEY HOEY BARSON KA
AIK AIK NISHAAN HO GA
BOLEY GA NA KUCH LAIKIN
FARYAAD KUNAAN HO GA
WO KHAAK BASAR RAAHI
WO SOOKHTA PARWANA
JAB AAEY YAHAN USS KO
MAAYUS NA LAUTANA
HO TAIZ HAWA KITNI
LAU APNI BACHA RAKHNA
RASTON PE NIGAAH RAKHNA
RAAHI KA PATA RAKHNA
ISS BHAID BHARI CHUP MEIN,IK PHOOL NE KHILNA HAI
USS NE INHI GALIYON MEIN,IK SHAKHS SE MILNA HAI
Wo Mujh ko chor ker Jis Admi K Pas gia
Brabri Ka bhi Hota tu Sabr a Jata
<font face="Comic Sans MS"></font id="Comic Sans MS"><font size="5"></font id="size5">[teal
Kahan aa ke rukne thay raastey,kahan maur tha usey bhool ja
Woh jo mil gaya usey yaad rakh,jo nahi mila usey bhool ja
Woh terey naseeb ki baarishein kisi aur chatt pe baras gayein
Dil e bekhabar meri baat sun,usey bhool ja ussey bhool ja
Mein tou gum tha terey hi dhiyaan mein,teri aas terey gumaan mein
Saba keh gayi merey kaan mein,merey sath aa usey bhool ja
Kisi aankh mein nahi ashq e ghum,terey baad kuch bhi nahi hai kam
Tujhey zindagi ne bhula dia,tu bhi muskura usey bhool ja
Kahin chaak e jaan ka rafu nahi,kisi aasteen pe lahu nahi
Ke shaheed e raah e malaal ka,,nahi khoon baha,usey bhool ja
Kyun atta howa hai ghubaar mein,gham e zindagi ke fishaar mein
Wo jo darj tha terey bakht mein,so woh ho gaya usey bhool ja
Na woh aankh he teri aankh thee,na wo khawb hi tera khawb tha
Dil e muntazir tou ye kis liye,tera jaagna,usey bhool ja
Ye jo raat din ka hai khail sa,isey dekh is pe yaqeen na kar
Nahi aks koi bhi mustaqil,sar e aaina,usey bhool ja
Jo basaat e jaan hi ulat gaya, wo jo raastey mein palat gaya
Usey rokney se hasool kya,usey mat bula,usey bhool ja
Tou ye kis liye shab e hijr ke usey har sitaarey mein dhondna
Wo falak ke jis pe miley thay hum,koi aur tha,usey bhool ja
Tujhey chaand ban ke mila tha jo,terey sahilon pe khila tha jo
Tha woh aik darya wisaal ka,so utar gaya,usey bhool ja
Jab Hum nahe hoon gaen
Tab humari yaad zaroor ay gi
Humaray janay kay baad
Tum ko humari Qadar ho jay ge,
Pal Pal Humari batain yaad ainge
Tumharay rooth janey par humari manna’nay ki adda sataaygi
Us waqt Chatey huay bhi hum ko bula na pao gay
Humaray chalay janay par Yaad kartay rahay jao gay…….
AJAB SECTOR ZADA KUCH LOG IS BASTI MEIN REHTEY HEIN
KE JAISE GOAL KEEPER APNI APNI "D" MEIN REHTEY HEIN
CHALEY GA KIS TARAH ABB ISHQ LAILA AUR MAJNOO KA
WO SECTOR "E" MEIN REHTI HAI YE SECTOR "G" MEIN REHTEY HEIN
FARZ KARO HUM EHL E WAFA HON
FARZ KARO DEWAANEY HON
FARZ KARO YE DONO BAATEIN
JHOOTI HON AFSAANEY HON
FARZ KARO KE JI KI BIPTA
JI SE JORR SUNAYI HO
FARZ KARO ABHI AUR HO ITNI
AADHI HUM NE CHUPAYI HO
FARZ KARO TUMHEIN KHUSH KARNE KE
DHONDEY HUM NE BAHANEY HON
FARZ KARO YE NAIN TUMHAREY
SACH MUCH KE MAE KHANEY HON
FARZ KARO YE ROG HO JHOOTA
JHOOTI PREET HAMARI HO
FARZ KARO IS PREET KE ROG MEIN
SAANS BHI HUM PE BHAARI HO
FARZ KARO KE JOG BAJOG KA
HUM NE DHAUNG RACHAYA HO
FARZ KARO BAS YE HI HAQEEQAT
BAQI SAB KUCH MAYA HO

"SELF MADE LOGON KA ALMIYA"

ROSHNI MIZAJON KA
KYA AJAB MUQADDAR HAI
ZINDAGI KE RASTEY MEIN
AANE WALEY KAANTON KO
RAAH SE HATANE MEIN
AIK AIK TINKEY SE
AASHIYAN BNANEY MEIN
KHUSBUEIN PAKARNEY MEIN
GULSITAAN SAJANE MEIN
UMR KAAT DETEY HEIN
UMR KAAT DETEY HEIN
AUR APNE HISSEY KE
PHOOL BAANT DETEY HEIN
KAISI KAISI KHWAHISH KO
QATL KARTEY JAATEY HEIN
DARGUZAR KE GHULSHAN MEIN
ABR BAN KE REHTEY HEIN
SABR KE SAMANDAR MEIN
KASHTIYAN CHALATEY HEIN
YE NAHI KE UN KO ISS
ROZ O SHAB KI KAHISH KA
KUCH SILA NAHI MILTA
MARNEY WALI AASON KA
KHOON BAHA NAHI MILTA
ZINDAGI KE DAMAN MEIN
JIS QADAR BHI KHUSHIYAN HEIN
SAB HI HATH AATI HEIN
SAB HI MIL BHI JAATI HEIN
WAQT PAR NAHI MILTEIN
WAQT PAR NAHI AATEIN
YAANI UNN KO MEHNAT KA
AJR MIL TOU JAATA HAI
LAIKIN ISS TARAH JAISE
QARZ KI RAQAM KOI
QIST QIST HO JAYE
ASL JO IBARAT HO
PAS E NAWISHT HO JAYE
FASL E GUL KE AAKHIR MEIN
PHOOL UN KE KHILTEY HEIN
UN KE SEHAN MEIN SOORAJ
DAIR SE NIKALTEY HEIN