Accountancy Forum

Full Version: poetry
You're currently viewing a stripped down version of our content. View the full version with proper formatting.
punam ke raat mein chand badal jata hay
waqat key sath insaan badal jata hay
souctey hain key app ko tang na karein
magher souctay souctay plan badal jata hay
muj sa kalam duiya mai sunata koe nahi
meri tarah duniya pay chata koe nahi
phir b mushaeroon mai mujhy bulata koe nahi
oor ager ho mera apna mushaera to aata koe nahi



"TUM UDAAS MATT HONA"

saahil e samandar par
bekinaar tanhayi
shaam cheen leti hai
ishq ki riwayat bhi
ghum ki shahrahon par
apne apne raahi ka
naam cheen leti hai
dil se dunyadaari ka
kaam cheen leti hai
zindagi ki ghaaton mein
dard chupp ke baitha hai
khaas khaas mauqa par
jaan o dil pe jhaptey ga
bekinaar raaton mein
hijr chupp ke baitha hai
khawb ke darakhton par
tehniyon se liptey ga
sang dil zamaney ki
kaat daar baaton mein
aag chupp ke baithi hai
aik aik chingaari
rooh ko jalati hai
zindagi ki nagri mein
gaam gaam par jaana'n
almiye utartey hein
saanehe bikhartey hein
kon kon sa rona
kaise kaise ro'oo gey
kon kon sa daaman
bezubaan ashko'n se
kab talak bigho'oo gey
kon kon sa dukhrra
aik aik lamhey ko
kis tarah sunao gey
kaise kaise zakhmo'n ko
raaegaa'n dilaaso'n se
kab talak sulao gey
iss tamaam aalam mein
jaagtey bhi rehna hai
zindagi bhi sehna hai
haal e dil bhi kehna hai
haal e dil se ghabra kar
rooh ki zamino'n par
ranjisho'n ko matt bona
ghum ki lehr mein behh kar
jaise haarney waley
bekinaar rotey hein
iss tarah se matt rona
tum udaas mat hona

mein subh o shaam likhta hoon
zami'n par jitni bhi
achi zubanei'n boli jaati hein
mein un se harf chunta
aur tumhara naam likhta hoon

mujhey maut de ke hayat de
merey behunar mera saath de
koi aisa ism e azeem ho
mujhey tere dukh se nijaat de
meri pyaas sadiyon ki pyaas hai
merey karbala ko fura'at de
merey ratjago'n ke hisaab mein
mujhey aik neind ki raat de
JHOTEY YAAR DI YAARI AISI
JEEWEIN RUKH KHAJOOR
DHUP LAGEY TE CHHAAN NA DAINDEY
BHUK KAGEY PHHAL DOOR
'correction'

tujhey taqseem kar de ga
tera dil dil mein 'ghar' karna

*****
jhotey yaar di yaari aisi
jewein rukh khajoor
dhup lagey te chhaan na daindey
bhuk 'lagey' phhal door

hum tou majboor thay iss dil se ke jis mein har dam
gardish e khoo'n se wo kohraam bapa rehta hai
jaise rindaan e bala nosh jo mil baithein baham
mae kadey mein safr e jaam bapa rehta hai
soz e khaatir ko mila jab bhi sahara koi
daagh e hirmaan koi,dard e tamanna koi
marham e yaas se maayel be shifa hone laga
zakhm e ummeid koi phir se hara hone laga
hum tou majboor thay iss dil se ke jis ki zid par
hum ne uss raat ke maathay pe sahar ki tehreer
jis ke daaman mein andhairey ke siwa kuch bhi na tha
hum ne uss dasht ko thehra liya firdaus e nazir
jis mein juz san'at e khoon e sar o paa kuch bhi na tha
dil ko taabir koi aur gawara hi na thee
kalift e zeest tou manzoor thee har taur magar
raahat e marg kisi taur gawara hi na thee
hum kya kartey kis raah chaltey
har raah mein kaantey bikhrey thay
unn rishto'n ke jo chhoot gaye
un sadiyo'n ke yaaraano'n ke
jo ik ik kar ke toot gaye
jis raah chaley jis samt gaye
ye paao'n lahu luhaan hoey
sab dekhney waley kehtey thay
ye kaisi reet rachayi hai
ye mehndi kyun lagayi hai
woh kehtey thay kyun qeht e wafa
ka naa'haq charcha kartey ho
paao'n se lahu ko dhau daalo
ye raahein jab att jayein gee
sau rastey inn se phhotei'n gey
tum dil ko sambhalo jis mein abhi
sau tarah ke nishtar totein gey
"dile mann musafir e mann"

merey dilmerey musafir
hoa phir se hukm saadir
ke watan badar hon hum tum
dein gali gali sadayein
karein rukhh nagar nagar ka
ke suraagh koi paayein
kisi yaar naama bar ka
har ik ajnabi se pochhein
jo pata tha apne ghar ka
sar e koey naa'shanaiyaa'n
hamein din se raat karna
kabhi iss se baat karna
kabhi uss se baat karna
hamein ye bhi tha ghanemat
jo koi shumaar hota
hamein kya bura tha marna
agar aik baar hota
"hum log na thay aisey"

hein jaise nazar aatey
aey waqt gawahi de
hum log na thay aisey
ye shehr na tha aisa
ye raug na thay aisey
dewaar na thay rastey,zindaa'n na thee basti
aazaar na thay rishtey,kihljaan na thee hasti
yun maut na thee sasti
ye aaj jo sorat hai,haalaat na thay aisey
yun ghair na thay mausam,din raat na thay aisey
tafriq na thee aisi
sanjog na thay aisey
aey waqt gawahi de
hum log na thay aisey
"karo jo baat karni hai"

karo jobaat karni hai
agar iss aas par baithay
ke dunya bas tumhein sun'ney ki khatir
gosh bar aawaaz ho kar baith jaye ge
tou aisa ho nahi sakta
zamana aik logo'n se bhara foot path hai jis par
kisi ko aik lamhey ke liye rukna nahi milta
bithao laakh tum pehrey
tamasha gaah e aalam se
guzarti jaaye ge halqat bina dekhey,bina thehrey
jisey tum waqt kehtey ho
dhundalka sa koi jaise
zami'n se aasmaa'n tak hai
ye koi khawb hai jaise
nahi maaloom ke iss khawb ki mud'at kahan tak hai
karo jo baat karni hai
"aey dunya"


aey dunya hum kab tak terey saath chalein

jo mauzoo'n paimana dekhein uss mein dhaltey jayein
chehra badlein lehja badlein aank badaltey jayein
kab tak hum iss jhoot nagar mein yun hi chaltey jayein

andar ki iss aag mein kitna aur jalein
aey dunya hum kab tak terey saath chalein

apney shak ki dewaro'n ke peechhey baithey hein
dekh rahey hein phir bhi aankhein meechey baithay hein
dost hamarey har jhaari ke peechhey baithay hein

ik dojey ke khoo'n pe kitna aur palein
aey dunya hum kab tak terey saath chalein

aey dunya tu chaar taraf hai terey roop hazaar
jo bhi bhaagey jitna bhaagey tujh se nahi farar
aap marein ya tujh ko maarein dono hein dushwaar

kab tak hum pachhtayein kab tak haath malein
aey dunya hum kab tak terey saath chalein
MUJHAY MEHSOOS HOTA HAI KAY LUTF-E-ZINDAGE KAM HAI
GHAM-E-DIL HAD SE BARH JAYE MUYASSAR AB KHUSHI KAM HAI
MUSALSAL DIL KE BAICHAINEE KO KIA KEHTAY HEIN DIL WALO
TUMHEIN MALOOM HO SHAYAD MUJHAY TO AGAHEE KAM HAI
AB IS KAY BAAD JISM-O-JAAN KO JALANAY SE BHI HASIL
CHARAGON MEIN LAHO JALTA HAI PHIR BHI ROSHANI KAM HAI
CHALO KUCH TO USAY MERE WAFAON KAA YAQEEN AYA
NAHI HAI MULTAFIT PEHLAY SA PHIR BHI BAY RUKHI KAM HAI
YEH ANDAAZ-E-TAGHAFUL ZAIB DETA HAI USAY BAYSHAK
SHANASA HO NAA HO LAIKIN JO MUJH SE AJNABEE KAM HAI
JISAY MEIN DOST SAMJHA DUSHMAN-E-EMAAN-O-JAAN TEHRAA
NAHI HAI DOSTEE JIS SE USEE SAY DUSHMANEE KAM HAI
YAQEEN AYE NAA AYE AAP KE MARZEE MAGAR NASIR
YEH ROODAD-E-ALAM SACHEE HAI IS MEIN SHAYREE KAM HAI
US SIMT KO CHALTAY HO ITNAA USAY KEHNAA
AB KOI NAHI HARF-E-TAMANA USAY KEHNAA
TUM HEE NAY KAHA THA TO YAQEEN MUJH KO HUA THAA
CHAHAT NAHI HOTE KABHI RUSWA USAY KEHNAA
DUNIYA TO KISI HAAL MEIN JEENAY NAHI DAITEE
UMEED PAY QAYAM HAI YEH DUNIYA USAY KEHNAA
ZARKHAIZ ZAMENAIN KABHI BANJAR NAHI HOTEIN
DARYAA HE BADAL LAITAY HEIN RASTAA USAY KEHNAA
KUCH LOG SAFAR KAY LIYE MOZOON NAHI HOTAY
KUCH RASTAY KATTAY NAHI TANHA USAY KEHNAA