Accountancy Forum

Full Version: poetry
You're currently viewing a stripped down version of our content. View the full version with proper formatting.
Pal bhar mein tamam umer ki sochein badal jati hain
jin rahon per chaltey hain wohi, rahein badal jati hain

karney ko kia nahi kartey log muhabbat mein
sirf hamarey liye hi kyun? rasmein badal jati hain

woh aisa hai k us ka naam sunney k tasawwur say hi
hamari tamaam tar sAatein badal jati hain

sochti hoon jane kaise? kah paoon ghi main us say
milti hoon to dil ki sari batein badal jati hain

chahe "Manzil" "Dushwar" ho aur "Duur" bhi
humsafer us jaisa ho to musaftein badal jati hain

yun to "Raat" ka alam haseen hota hai, madhosh bhi
magar"chand" dekhoon to meri ratein badal jati hain

mat chaho, k mujhe aadat nahi itna chahne walon ki
yeh na ho log kahein, jald hi adatein badal jati hain
dua ke soorat mein uss ke khatir
jo mere honton say lafz niklay
jo mere ankhoon say ashk nikle
us key badlaym ein ah KHudaya
jab b us ka naseeb likhna
urooj likhna,kamal likhna,
kabhe na lafz-e-zawal likhna
kash tum dekh saktay
es tutay hoye dil ko
is behty hoye aansoun ko
in adhury mosmon ko

Kash tum perh saktay
meray lafzoun ke gehrai ko
mere baaton ke sachi ko
mere mehfil ke tanhai ko

Kash tum jorh saktay
id dil ko
is rishtay ko
is waday ko

leken mein ye souch ke kahmosh ho jata hoon
Kaash tu hamesha Kaash rah jata hay
Ajeeb shakas hay kesa mazaj rakhta hay
pass reh ker b ikhtelaf rakhta hay
mein kiyoun na daad don us key fun ke
mere hr sawal ka pehlay hi jawab rakhta hay
woh tu roshniyoun ka basio hay maghar
mere andher nagri ka bara he khiyal rakhta hay
Mouhabbat tu thi usay kisi aur say shayed
Hum se to younhe hansi mazak rakhta hay
woh anna parash sahi us ke baaton mein iqrar b tha
us key chubtey hoye lehjay meinchupa piyar b tha
woh mujhey kehta hay muntazir na rahoo lekin!
Us ke tehrir mein sadyoun ka intezar b tha
Woh kehta hay mat rootho k manana nahe ata
mere narazge per lekin wo beqrar bhi tha
mein shayed na likhta ussay apni khaber lekin
dosti ka bharam rakhna tha,kuch dil pay b ikhtiyar tha
sahyed yehe us ka andaz-e-muhabbat ho
wohmera haandam b tha aur sitam shaar b

Tum ko chahtey hoey bhi bhool jana acha laga
Ansoon ko chupa kar muskurana acha laga

Tum ajnabi they meray liey mager apna jaan kar acha laga
Pehchaan to ik pal ki thi, mager sadiyon se jaan kar acha laga

Khaboon main yadoon main tum thay mager tum ko bhulana acha laga
Meri rooh ka ik hissa thay mager khud se juda karna acha laga

Meri zindagi ka sarmaya thay mager tum ko lutana acha laga
Meray armanon ka sawan thay mager tum ko barsana acha laga

Meri khushiyon ka jahan thay mager tum ko mitana acha laga
Khud ko bhool jana aur tum ko yaad karna acha laga

Sab khahishon ko mitana sirf tumhin pana acha laga
Logon k kehney main aana aur sab kuch bhulana acha laga

Yehi to rasm-e-duniya hai isay nibhana acha laga
Tum ko chahtey hoey bhi bhool jana acha laga
Ansoon ko chupa kar muskurana acha laga

Aik baat kahoon Agar suntee ho ?
Tum Mujh ko achee lagtee ho
Kuch chanchal se , kuch chup chup se
kuch pagal pagal lagtee ho
hain chahney waaley aur buhut
par tum mein hai aik baat buhut.............
Tum apnee apnee lagtee ho
Aik baat kahoon Agar suntee ho ?
Tum Mujh ko achee lagtee ho
Yeh baat baat pe kho jaana
kuch kehtey kehtey ruk jaana
yeh kiss uljhan mein rehtee ho....?
Kiya baat hai hum se keh daalo
Aik baat kahoon Agar suntee ho ?
Tum Mujh ko achee lagtee ho
Khabhi Socha Hai Tu Nay Dil Kia Kheta Hai?
Khabhi Socha Hai Kia Hota Jab Dil Toot ta Hai?
Kitna Dard HotaHai ...
Jab Aapnoo Say Khauff Hota Hai ...
Woh Manzar Bhi Kia Manzar Hota Hai ..
Jab Tu Kareeb Reh kar Bhi Door Hota Hai ...
Kitna Kamzor Vo Shakhs Hota Hai ...
Jo Dost He Ko Dhoka Deta Hai ...
itna Bandnaseeb Woh Q Hota Hai ...
Jo Majmay Main Bhi Aakela Hota Hai...
Judaee Ka Ghum Bhi kia Ghum Hota Hai...
Kyioun Her Koi Mujh Say Sawal Karta Hai ..
Kyioun Mera Dil Her Bar Roo Deta Hai ..
Abb Tu Saya Bhi Yeh He Sawal Karta Hai...
Kisay TOo itna Khush Rehta Hai...?????
Our Allah knows what's best for us,

But our hearts would lose there tende

So why should we complain ...

We always want the sunshine,

But He knows there must be rain.

We love the sound of laughter

And the merriment of cheer;

But our hearts would lose their tenderness

If we never shed a tear.

Our Allah tests us often

With suffering and with sorrow;

He tests us, not to punish us,

But to help us meet "tomorrow."

For growing trees are strengthened

When they withstand the storm;

And the sharp cut of the chisel

Gives the marble grace and form.

Allah never hurts us needlessly

And He never wastes our pain;

For every loss He sends to us

Is followed by rich gain.

And when we count the blessings

That Allah has so freely sent;

We will find no cause for murmuring

And no time to lament!



I feel I've lost a thousand years,
just living day by day.
I'm hidden behind the pain and tears,
my sorrow guides the way.
I cannot see where I have gone,
nor where my life shall go.
But leaving you my life-long friend,
is the only way I know.
It will be painful, I will be weak
but true friendship never dies.
So call upon the Greatest Power,
when you feel you can't survive.
He will heal you saddest hours,
and keep our memories alive.
For in the eternal love of God,
true friendship never dies.

GOOD TIMES/BAD TIMES

Many broken pieces
Shattered, now apart
What can I do to mend it?
To mend by broken heart?

I walk along the beach
Leaving footprints cold and bare
How can I enjoy the sunset,
When there’s no one here to share?

There used to be a pair,
Of footprints next to mine.
But they washed away with waves
And the shifting sands of time.

All I can do now,
Is remember how things were.
The good times, not the bad times,
Which caused my heart to stir.

To live to die,
What does it matter?
While I am in this state.
I didn’t know how much I loved,
Until it was too late.


merey hamsafar,merey humnashee'n
mein ne rub se maanga tou kuch nahi
mein ne jab bhi maangi koi duaa
nahi maanga kuch bhi terey siwa
ye talab kiya ke merey khuda
naye saal ki ye musaafatei'n
sabhi raahatei'n,sabhi chaahatei'n
wo ataa karey tujhey manzilei'n
ye talab kiya ke merey khuda
tujhey takht de,tujhey taaj de,tujhey bakht de
meri iltajayei'n suney kabhi
wo meri duaayei'n suney kabhi
unhein bakhsh de wo qabuliyat
merey hamsafar,merey charagar
merey saath chalna ye soch kar
ke ye dosti ka kathin safar
na mein shehr mein barra mautabar
merey paas zar na koi hunar
sabhi theek hai ye baja magar
zara dekh tou mera hausla
nahi aur kuch bhi terey siwa
nahi maanga kuch bhi terey siwa
ye meri duaa ke merey khuda
meri dosti,meri zindagi
meri khaamoshi,meri bebasi
meri subh bhi,meri shaam bhi
merey shehr ke dar o baam bhi
ke jo mil sakei'n merey daam bhi
sabhi kuch tujhey wo ataa karey
wo meri duaa jo suna karey
jura'at hai tou afkaar ki dunya se guzar ja
hein behr khudi mein abhi poshida jazirey
khultey nahi iss qulzam e khamosh ke israar
jab tak tu isey zarb e qaleemi se na cherey
hum khawbo'n ke byopaari thay
par iss mein hoa nuqsaan bara
kuch bakht mein dhairo'n kaalak thee
kuch abb ke ghazab ka kaal para
abb raakh bhari hai jholi mein
aur sar pe hai saahokaar khara
jab dharti sehra sehra thee
hum darya darya roey thay
jab haath ki rekhayei'n chup thee'n
aur sur sangeet mein khoye thay
tab hum ne jeewan khaiti mein
kuch khakistar se gajrey thay
aur dooor ufaq ke sagar mein
kuch doltey doltey bajrey thay
abb paao'n kharrao'n dhool bhari
aur jism pe jaug ka chaula hai
sab sangi saathi bhaid bharey
koi maasha hai koi taula hai
hum basti chhorey jaatey hein
tu apna farz chuka baba
koi parchayee'n zer e aasmaa'n rehne nahi doon ga
kisi ke sar pe koi saaebaa'n rehne nahi doon ga
mein pehle munhadim kar doon ga har shae har ta'aluq ko
phir uss ke baad dharti par makaa'n rehne nahi doon ga
mein ik laa_inteha ki aarzo mein saari dunya ko
aseer e khawhish e wehm o gumaa'n rehne nahi doon ga
mein pardey chaak kar doon ga sabhi be_ma'ani rishton ke
kisi ko bhi kisi pe mehrbaa'n rehne nahi doon ga
ta'aluq gar nahi koi tau raah o rasm e dunya bhi
mein apne aur tumharey darmiyaa'n rehne nahi doon ga
mein pehle khainch loon ga paao'n ke neechey se dharti ko
phir uss ke baad sar par saaebaa'n rehne nahi doon ga