Accountancy Forum

Full Version: poetry
You're currently viewing a stripped down version of our content. View the full version with proper formatting.
My tears are not of loss
But of time too quickly gone.
I miss our days together
Even while they're going on.
I savor odd, sweet moments
When you laugh or when you smile,
Nostalgic for your presence
Though you're with me all the while.
Strange how fantasy
Can wander in and out at will,
Looking back from somewhere
That is just beyond a hill.
And so when once you leave
You will not leave me alone,
For I will have you with me
Long, long after you are home.

Hum jo kehty they zindagi


Hum jo kehty they zindagi kuch nahi hay terey bina
laikin yeh kia kay zindagi sub kuch hay terey bina

ab tu raat bi kat jati hay din bi guzer jata hay
sub waisa hi hay kuch bi tu nahi badla terey bina

terey janey pey jo rim jhim si thi ankhoon mein ab
thaher giya hay ankhoon ka woh samander terey bina

waqt nay bohet kuch sikhla dia hay mughey
ab tu waqt bi guzar jata hay terey bina

shayeid muhabbat kereny kay adaab hi na they
ab zindagi nay woh bi sikhla diey terey bina

jo guzar giya hay waqt .,, so guzar giya dost
jo reh giya hai guzar jayega terey bina
kabhi milnay chalay Aao

sabhi udaas moasam hain kabhi milnay chalay aao
dukhon main ham tu gum sum hain kabhi milnay chalay aao

tumharay baad kesi roanaqain is dil ki nagri main
sabhi charagh madham hain kabhi milnay chalay aao

tumharay paas to hon gi zamanay bher ki sab khushian
hamaray paas to gham hain kabhi milnay chalay aao

tumhari yaad ab dil ko bohat taklif deti hai
nigahain bhi to purnam hain kabhi milnay chalay aao

lagay hain zakham kitnay bay baha dil pay mohabbat main
tumharay lafz merham hain kabhi milnay chalay aao

bohat hamderd hain yun to hamaray bhi zamanay main
mager phir bhi bohat kam hain kabhi milnay chalay aao

yeh pather hi na ho jaain nigahain dekhtay rasta
k khushian bhi to berham hain kabhi milnay chalay aao

na janay kab yeh larka haar day saanson ki bazi ko
isay lahaq tere gham hain kabhi milnay chlay aao!
hijr-e-jana ki ghari achi lagi
ab ke tanhai bari achi lagi

qarya-e- dil par udasi ki tarah
dund ki chadar pari achi lagi

aik tanha faakhta urti howi
ek hiran ki chokri achi lagi

zindagi ki ghup andheri rat mein
yad ki aik phuljhari achi lagi

shehr-e-dil aur itne logo ka hujoom
woh alag sab se khari achi lagi

aik shehzadi magar dil ki faqeer
us ko meri jhonpari achi lagi

dil mein a bethi ghazal si woh ghazhaal
yeh tassavvar ki ghari achi lagi

tera dukh, apni wafa, kaar-e-jahan
jo bhi shay mehangi pari achi lagi

ankh bhi barsi bohat badal ke saath
ab ke sawan ki jhari achi lagi

yeh ghazal mujh ko pasand ayi faraz
yeh ghazal us ko bari achi lagi
Wabasta hain

Suraj se kirain

Chand se Sitare

Sumndar se Sahil

Daraya se Kinare

Phool se Khushbo

Jism se Roh

Dil se Darkhan

OR

APP SE HUM
Zakham dene ka andaz kuch asa hai,
Zakham de kar poochte hain ab haal kesa hai,
Kisi ek say gila kia karna yaaro,
Saari dunia ka mizaj ek jesa hai.
Ab agar tum milay to
Itna yaaqeen hai
Hans dain gay ab to
Rona nahi hai!!!

abhi kya kahein,abhi kya sunei'n
ke sar e faseel e sakoot e jaan
kaf e roz o shab pe sharar numaa
wo jo harf harf charagh tha
usey kis hawa ne bujha diya
kabhi lab hilei'n gey tou pochhna
sar e shehr eid e wisaal e dil
wo jo nikhato'n ka hujoom tha
usey dast e mauj e furaaq ne
tah e haak kab se mila diya
kabhi gul khilein gey tou pochhna
yunhi khawhisho'n ke fishaar mein
kabhi besabab, kabhi behalal
kahan kaun kis se bichhar gaya
kisey kis ne kaise ga'nwa diya
kabhi phir milei'n gey tou pochhna

I dont know whether or not this has been contributed in whole of 6 pages.

TU NAY DEKHI HAI WOH PAISHAANI, WOH RUKHSAAR WOH HONT
ZINDAGI JIN KAY TASSAWER MAIN LUTAA DEE HAM NAY

TUJH PAY UTHI HAIN WOH KHOI HUI SAAHAR AANKHEIN
TUJH KO MALOOM HAI KYUN UMER GANWAA DEE HAM NAY

from
Faiz Sahib.

AA JAA KEH ABHI ZABT KA MAUSAM NAHI GUZRA
AA JAA KEH PAHAARON PAY ABHI BARF JAMI HAI

KHUSHBU KAY JAZEERON SAY SITAARON KEE HADON TAK
IS SHEHAR MAIN SAB KUCH HAI IKK TEREE KAMI HAI

regards,

A ghazal from Ahmed Nadeem Qasmi (Late)

JAB TERA HUKAM MILA TARK MUHABBAT KAR DEE
DIL MAGAR IS PAY WHO DHARKAA KEH QAYAMAT KAR DEE

TUJH SEY KIS TARAH MAIN IZHAAR-E-TAMANNA KARTAA
LAFZ SOOJHA TU MUAANI NAY BAGHAAWAT KAR DEE

MAIN TU SAMJHA THAA KEH LAUT AATEY HAIN JAANEY WAALEY
TU NAY JAA KAR TU JUDAAI MEREE QISMAT KAR DEE

MUJH KO DUSHMAN KAY IRAADON PAY BHI PIYAAR AATAA HAI
TEREE ULFAT NAY MUHABBAT MEREE AADAT KAR DEE

POOCH BETHAA HOON MAIN TUJH SEY TERAY KOOCHAY KA PATA
TEREE HAALAT NAY YEH KAISEE TEREE SOORAT KAR DEE


Regards,
HER ik muskurahat MUSKAAN nahin hoTe
nafarat ho ya MUHHABAT asaan nahin hoti
AanSoo GUm k aur khusHi k AiK JESE hote hain
magar un ki pEHCHAN asaan nahin hote
So if u see darkness in your life ,
assume that
God is making a beautiful picture for you

Have a great day today

CHANDD KALIYAAN NISHAT KEE CHUN KARR
MUDDATON MEHW-E-YAAS REHTAA HOON

TERAA MILNAA KHUSHI KEE BAAT SAHI
TUJH SEY MIL KAR UDAAS REHTAA HOON..

Regards,
Uski yaadon se dil ko abaad kya karein
Jisko bhulay he nahi usay yaad kya karein
Jab apne he hathon Ujaad de zindagi apni
Phir ghairon se jaker is ki Faryad kya karein!!!