Accountancy Forum

Full Version: poetry
You're currently viewing a stripped down version of our content. View the full version with proper formatting.
abb toh kisi say muhabat ka qabil na raha
na wo shokhi,na koi mad_e_moqabil raha
jab thak thi doosthian on say zamany main
rathon ki nend main aksr on ka khalal raha
jo pass thay abb woh dorr ho gaye aye mani
jo makan tha mera abb woh mahal na raha
Koi meray dil say puchay teray tere-e-neem kash ko
yeh khalish kaha say hoti jo jigar k par hota

I dont know why but there are only few contributors to this topic. Is it because of that accountants are dry in nature? any way do contribute to this topic as poetry is good for accountants. ---------Regards
unke aane ki ummeed hai,
hum intezar karte hain,
waadon ko aazmaya hai,
tabhi to aitbaar karte hain
der se hi sahi,
woh aayenge zaroor,
woh jaante hain,
hum unse kitna pyaar karte hain.
takleef jo mujh ko deta tha
woh daur purana beet gaya
ab aap se mujhe kuch kehna hai
sunnay ka zamana beet gaya
Kabhi tou kee ho gi Suraj ne chand se mohabaat
Tabhi tou chand mein daagh hai.
Mumkin hai chand ne kee ho gi bewafaiee,
Tabhi tou suraj mein aag hai.................... adaab arz hai, adaab arz hai [)]
One of my most favorites...

Na tha kuch tou Khuda tha, Kuch hota tou Khuda hota -
Dabboya mujh ko honay ne, na hota tou kiya hota -
Hoowa jab gham se yun Be-hiss, tou gham kiya sir ke katnay ka -
Na hota agar judda tann se, tou zaano parr dharra hota -
Hoowi muddat ke ghalib marr giya, Parr yaad aata hai -
Woh her ikk baat per kehna ke yunn hota tou kiya hota ...........(Ghalib)
Muhabbaton men dikhave ki dosti na mila
Agar gale nahin milta to haath bhi na mila

Gharon pe naam thay naamon ke saath ohday thay
Bahut talash kiya koi aadmi na mila

Tamaam rishton ko main ghar pe chhod aaya tha
Phir iske baad mujhe koi ajnabi na mila

Bahut ajib hai ye qurbaton ki doori bhi
Vo mere saath raha aur mujhe kabhi na mila

Khuda ki itni badi kainaat main main ne
Bas ek shakhs ko manga mujhe vo hi na mila
Always remember to forget the
Things that made u sad…….
But never forget to remember the
Things that made u glad…..

Always remember to forget the
Friends that proved untrue…..
But don’t forget to remember those
That have stuck by you…..

Always remember to forget the trouble
That have passed away…..
But never forget to remember the
Blessings that came each day….

Kal Halki Halki Barish Thi,
Kal Sard Hawa Ka Raqs Bhi Tha,

Kal Phool Bhi Nikhrey Nikhrey Thay,
Kal Un Main Aap Ka Aks Bhi Tha,

Kal Badal Kalay Gehray Thay,
Kal Chand Pe Lakhoon Pehray Thay,

Kuch Tukray Aap Ki Yadoon K,
Bari Dair Se Dil Main Thehrey Thay,

Kal Yadain Uljhi Uljhi Thein,
Aur Kal Tak Ye Na Suljhi Thein,

Kal Yaad Bahut Tum Aaye Thay,
Kal Yaad Bahut Tum Aaye Thay……!
AOA..[)]

yeh zara zara se baat pe
tarah tarah kay azab kiun
jo kisi say khafa na ho
mujhay uss khuda ki talash hai
mujhay laghzishoon pe her gari
koi tokta hai bar bar
jissay ker kay dil ko
dukh na ho
mujhay uss guhnah ki talash hai
bina musafer ke
kab talaq koi musaftoon main
lage rahay jahan koi kissi say
juda na ho
mujhay uss rah ki talash hai
mujhay daikh ker jo aik
nazer mere sare dard samjh sake
jo ho iss qader charger
mujhay uss nigha ki talash hai

ok Alla hafiz[)]

AOA[)]


chota sa ek gaaon tha jiss main
diyeh thay kam aur bohat undhera
bohat shajar thay thoray gher thay
jin ko tha duri ne ghera
itni bari tanhai thi jiss main
jagta rehta tha dil mera
bohat kadeem firaq tha jiss main
aik muqarer hadd se aagey
soach na sakta tha dil mera
raz jo hadd se bahir main tha
apna aap dekhata kease
sapne ki bhi hadd thi akhir
sapna aagay jata kease


ok Allah hafiz[)]
Khuda Karay Kay Meri Arz-e-Pak Pay Utray
Woh Fasl-e-Gul Jissay Andesha-e-Zawwal Na Ho...

Yahan Jo Phool Khillay Khila Rahay Sadiyon...
Yahan Say Khizan Ko Guzarnay Ki Majaal Na Ho...

Yahan Jo Sabza Ugay Hamesha Sabz Rahay..
Aur Aisa Sabz Kay Jisski Koi Misaal Na Ho...

Khuda Karay Kay Na Kham Ho Sir-e-Wiqar-e-Watan
Aur Iss Kay Husn Ko Tashweesh-e-Mah o Saal Na Ho..

Har Aik Fard Ho Tahzeeb-o-Fun Ka Aouj-e-Kamaal..
Koi Malool Na Ho, Koi Khasta Haal Na Ho...

Khuda Karay Meray Aik Bhi Ham Watan Kay Liyay...
Hayat Jurram Na Ho, Zindagi Wabaal Na Ho...
AOA...h r all of u...!!![)]

mujhe apne zabt pe naaz tha, sar-e-bazm raat ye kiya howa,
meri aankh kaise chalak gai, mujhe ranj hay ye bura howa

meri zindagi k charagh ka ye mizaaj koi naya nahi,
abhi roshni abhi teergi, na jala howa na bujha howa

mujhe jo bhi dushman-e-jaan mila, wohi pukhta kaar-e-jafa mila,
na kisi ki zarb ghalat pari na kisi ka teer khata howa

mujhe aap kiyu na samajh sake, kabhi apne dill sey bhi pocheye,
meri dastaan-e-hayaat ka tu waraq waraq hay khula howa

jo nazar bacha k guzar gay merey saamne sey abhi abhi,
ye mery hi shehr k log they, merey ghar sey ghar hay milaa howa

humain is ka koi bhi huq nahi k shareek-e bazm-e-kholoos hon,
na humarey paas naqaab hay, na kuch aasteen main chupa howa

merey aik gosha-e-fik'r main, meri zindagi sey aziz tar,
mera aik aisa bhi dost hay, jo kabhi mila na juda howa

mujhe ik gali main para howa, kisi badnaseeb ka khat mila,
kaheen khoon-e-dill sey likha howa, kaheen ansoon sey mita howa

mujhe hum-safar bhi mila koi tu shikasta haal meri tarha,
kai manziloon ka thaka howa, kaheen raaste main luta howa

humain apney ghar sey chaley howe, sar-e-raah um'r guzar gaii,
koi justuju ka sila mila, na safar ka huq hi ada howa


Allah Hafiz...!!![)]
It's master piece Humaira.

Who is the poet?

Regards,

Kamran
<b>kabhi chahaton mei chupa liya
kabhi naftraton mei jala diya
kabi hans k hum ko mana liya
kabhi ansoon mei baha diya
ye zindgi bhi ajeeb hai
kabhi khushbu ban k bikhar gaei
kabhi lamha bhar mei guzar gaei
kabhi jugnoo ban k chamak uthi
kabhi mil k phir se bichar gaei
yeh zindgi bhi ajeeb hai..........</b>