Accountancy Forum

Full Version: poetry
You're currently viewing a stripped down version of our content. View the full version with proper formatting.
Pila de mujhe woh may pardah soz
Keh aati nahin fasl-e-gul roz roz

Woh may jis say roshan zameer-i-hayaat
Woh may jis say hai mastee-e-kainaat

Kon Bashar hay is Ishq say khali
Kardiyay jis nay ghar k ghar khali.

<b>
Dard ki syahi se likha yeh mera naseeb tha,
Bik gayi meri mohabbat kyu ke main gareeb tha,
Pal bhar ko toh hum bhi na shambhal paye thay,
Guzra hi hum par woh hadsa ajeeb tha,
Tamam umar zindagi samajh ke jise chaha,
Akhri safar mein na woh dil ke kareeb tha,
Khushiaan bant ta raha main sab ko zindagi ki,
Ab ghum ke andheron mein na koi shareek tha,
Dil, duniya, devta sab pathar ke hai,
Pooja ek pyaar ko, par woh bhi fareeb tha.
</b>
<font size="3"><b><u>
MUJHE KUCH AUR KEHNA THA
</font id="size3"></b></u>
<b>
rawan tha piyar NUS NUS main,bohat qurbat thi apis main,
usay kuch aur sun-ana tha,mujhe kuch aur kehna tha.

ghalat fehmi ne baton ko barha dala younhi warna,
kaha kuch tha,wo kuch samjha,mujhe kuch aur kehna tha.
</b>
Bikhre Hai Ashq Koi Sath Nahi Deta,
Khamosh Hai Sab Yahan Koi Awaz Nahi Deta,
Kal Ke Wade Sab Karte Hai Magar,
Kyon Sath Mera Koi Aaj Nahi Deta…
Wo Log Bahut Khushkismat The,
Jo IshQ Ko Kaam Samajhte The,
Ya Kaam Se AashiQui Karte The,
Hum Jeete Jee Masroof Rahe,
Kuch IshQ Kiya Kuch Kaam Kiya,

Kaam IshQ Ke Aare Aata Raha,
Aur IshQ Se Kaam Ulajhta Raha,
Phir Aakhir Tang Aa Kar Humne,
Dono Ko Adhura Chhod Diya
<font face="Courier New"><font size="3"><font color="red"><b>
Har sham uss se milne ke aadat si ho gai
phir rafta rafta uss se mohabbat si ho gai
shayad ye taza taza judai ka tha asar
har shakal yak-bayak teri surat si ho gai

</font id="red"></font id="size3">
</font id="Courier New"></b>
Socha Tha Tujhy Toot k Chahain gay uhat Ham
Chaha bhi buhat Janan. or tootay b buhat ham
Betab se rehty hen teri yad men aksar

shab bhar nahin soty teri yad men aksar

be dard zamany ka bahana sa bana k….

hum toot k roty hen teri yad men aksar
Dil Ki Dharkanoo Ko ik lamha saber nahi,
Shayd k us ko ab meri kader nahi,

Her safer mein mera kabhi hamsafer tha woh,
Ab safer to hai mager wo hamsafer nahi.

Piyar Ka Pehla Khat Likhne Mein Waqt To Lagta Hai,
Naey Parindon Ko Urrne Mein Waqt To Lagta Hai,
Jism Ki Baat Nahi Thi Un K Dil Tak Jana Tha,
Lambi Doori Tey Karne Mein Waqt To Lagta Hai,
Ganth Agar Lag Jaey To Phir Rishte Hon Ya Dauri,
Laakh Karein Koshish Khulne Mein Waqt To Lagta Hai,
Humne Illaj-e-Zakhm-e-Dil To Dhoond Lia Lekin,
Gehre Zakhmoon Ko Bharne Mein Waqt To Lagta Hai,
Piyar Ka Pehla Khat Likhne Mein Waqt To Lagta Hai,
Naey Parindon Ko Urrne Mein Waqt To Lagta Hai
<font face="Courier New"><font size="3"><font color="red"><b>
Phool Din Bhar Hanste Rahate Hain,
Par Na Jane Kyon Ranton Ko Ye Rote Hain.
Agar Nahin Yakeen To Dekh Lo Subaah,
Enke Chehre Aansuon Se Tar Hote Hain.
</font id="red"></font id="size3">
</font id="Courier New"></b>
Tum aksar sochty hogy

Hum tumhain yaad nhi kerty

Tumhain hum bhool jaty hyn

Magar ye bhool tumhari hy

Asal baat kuch yun hy

K

Jab tum yaad aaty ho

Tou kuch yaad nahi rehta

Aur tumhari yaad main kho kr

Batana bhuul jaty hyn

Humain tum aksar
yaad aaty ho
<font face="Courier New"><font size="3"><font color="red"><b>
Aa Gayi Thi Ik Din Tanhaye Bhi Jazbaat Mein
Aank Sai Bhi Chand Boondein Gir Pari Barsaat Mein


</font id="red"></font id="size3">
</font id="Courier New"></b>
Ye Baarishon K Mausam

Bas Tum Hi Se Hyn Wabasta

k MohabbatonMain Baarish

Bari Lazmi Si Shey Hy

Chahey Aasman Se Barsey

Chahey Chashm-e-Nam Se