Accountancy Forum

Full Version: POETRY
You're currently viewing a stripped down version of our content. View the full version with proper formatting.
Chote se chehre par bari bari naak hai

Accounting aati nahi karni kia khaak hai



Aap humare ustaad hain tamam parde chaak hain

Ye hamari class hai duster hai na chalk hai



Naqal ki aadi hai class sari test ka kia faida

Ye beemari aam hai kon iss se pak hai




___________________________________________________
Mere dil ko debit kar lo

Apne dil ko credit kar lo



Jo dil chahe kar lo lekin

Mujh se milna habit kar lo



Kaisa phudakta phirta hoon main

Mujh ko apna rabbit kar lo

___________________________________________________

BAKRA

Kash iss eid par main tera bakra hota

Aur kissi ne na sahi tu ne to mujhe pakra hota



Tu hinai lege hathon se mujhe pathe khilati

Thore thore nahi sare akathe khilati



Tu mujhe bain bain kar ke bulati

Aur sham ko gali main saath ghumati



Main teri qurbat ka nasha bar bar karta

Tere lams ka ahsas mujhe sarshar karta



Mere pass gari na sahi chakra hota

Kash iss eid par main tera bakra hota



Tu meri suhbat par naaz karti

Bila-jhijhak mujhe aashnae-raz karti



Agar mera raqeeb mujhe chehra karata

Seeng marta foran usse takar karata



Raat ko sardi main bahir akra hota

Kash iss eid par main tera bakra hota



Phir eid par zibah ho jata main

Teri khatir cut mar jata main



Teri muhabat ne kuch iss tarah jakra hota

Kash iss eid par main tera bakra hota



There is a will there is a way.
hi nice poetry but do it well
in next time
ha ha ha ha ah ahah
i will see u again after my exam
ammar