Accountancy Forum

Full Version: Learning
You're currently viewing a stripped down version of our content. View the full version with proper formatting.
Pages: 1 2
Here we will post a new word or thing to learn. Actually learning sirf kitaab sy ya published text sy parh kar he nahe hoti. Sometimes hum kuch seekhtay hain tou who kisi ki chooti si harkat ya baat sy associates hoti hai aur na sirf hamary ilm mai izafa karti hai balky hamain hamesha yaad rehti hai aur hum dosron ko bhe batatain it can be a small word, or a sentence or an incident or so…. Ap apni zindagi kay wakiat jin sy aap ny kuch seekha ho dossron ko bata sakty hain take dossry bhe iss sy kuch seekh sakain, take it as a baithak or zavia (zavia ka tou pata he ho ga na, Afshaq Ahmed ki book bhe hai unhon ny khob biyan ki hai is main, chalo let me give you an idea again as a reminder, “Ek baithak jahan aap aamny saamny baith kay apny mislay discuss kar sakty hain, logon ki sun sakty hain aur apni faryad kar sakty hain, aisy logon mai koi na koi ek aisa, Sahib e Ilm hota hai jo apni baat ya raay say aap ki ko matlooba cheez ka hal muyasir karta hai, asi jaghon ko takiya ya baikhtak kehtay hai aur shumali Africa, aljazair main in takiyon ko “Zavia” kehtay hai) So ……….

Let me start, Once a day I was sitting in my room and suddenly my country manager came in and started jumping slightly, I became astonish keh yeh in ko kiya ho gaya hai, suddenly he asked me Anam, ye kia hai? Yeh jo mai halka halka jump kar raha hon? I said its slight jumping he said no its called “hop” I am hopping. I smiled and said will remember. So its been a long time but I still remember this word due to his way of telling, waisy hum najany kitnay nai alfaz roz parhaty hain lakin yaad nahe rehty…..-)[)]
@ Ciapk

Here I hope to learn many good and wise things from you.

Anamz.

Bohat hi chichoray Country manager hain aap ki company main )

Regards.
Lo yeh tou aap logon ka level hai, phir aap logon ki demand hoti hai keh serious topic hon, we want to discuss and bla bla bla...... topic ko kharab tou aap log khud karty hain.

Dear I need something related to Economics, Finance, Investments, Stocks........Etc.

Anyways sorry for intrupptions. Lagta hay mari koi baat Aap k dil per lagi hay Thaaaaaaa kar k.

Regards.
@Annamz

An incident / few words always have some impact on our soul, less or more. How much it affects us depends upon the state of mind or mood at the time of incident, our thoughts, view points, and may be the environment within which a person is grown up. Some people may take a little impact as nothing happened and just ignore the incident or the word, the other one may take a huge impact of the same incident or words so that it changes his entire life. Or an incident / word at one time did not have any affect but may have some drastic impact some other time on the same person.

Anyhow, the words that have great impact on me always (Allah kmi baishi maaf frmain)

“Kia abhi tak momino k liay wo waqt nahi aaya k Allah ko yad krnay sy or jo Allah nay nazil frmaya us k suntay hoay un ki dil naram ho jain? Or wo un logo ki tarah na ho jain jin ko pehlay kitabain di gai thin, phir un pay zmana taweel ho gia or un k dil sakht ho gay or un main akser na farman hain” ( Sorah Al Hadeed 5716)

And

“ maal or olaad tu dunya ki zindagi ki he ronaq hain, baqi rehnay wali , teray rab k han, naikian hain jo ummed k lehaz sy behter hain. Or jis din ham paharoon ko chlain gay or tu zameen ko saaf daikhay ga, or sb ko jama krain gay, or in main say ksi ko bhi na chorain gay. Or sb teray rab k samnay saf bandhay paish kiay jain gay, yaqeenan tum hmaray pass aay ho jaisa ham nay tum ko pehli baar peeda kia tha, kia tum nay yay khayal kia tha k ham nay tmharay liay koi wada muqrar nahi kia. Or aamal naama rakh dia jay ga, phir mujramo ko daikhay ga jo is cheez say darnay walay hungay jo is main hay or wo kahain gay, Afsoos, Ham pr yay kaisa aamal naama hay is main na koi chooti baat choori gai hay na bari, is main sab kuch likha hoa hay, or jo kuch unhook nay kia hoga sb moojod hoga. Or tera rab kisi pay zulam krnay wala nahi hay.” (Sorah 18110)

Ager translation ko smjtay hoay ayat ki recitation sunain or in mnazir ko mehsoos krain tu dil kanp jata hay.
@yasir....dear tum ye sb dosray forums mai b seekh smjh jaan skty ho idher isko mt ghusairo )

@anumz....yup me also waiting for ciapk )
more over mujhy nicklodian ki dora yaad arai hai jo kehti hai aaj hum ny sikha "hop" ) waisay mujh jaisi laa prwa lrki k liey acha thread hai jo kbhi b deep down ni sochti or dictionaray to bohat mjbori ho to kholti hai wrna jumly ko prh k hi mtlb nikal laiti hai.heheheh ab tumny word btaya to mainy dictionaray kholi k hop birds k liey use hota hai wo dono feet akhty utha k slight movement krty hain.....or for persons wo jo hum lngri paala khailty ty bchmn mai aik pair py jump krty huae usy b yei kehty hain)
Aslam o Alikum to every one.

Jis tarha sy mai ny pehly kaha k zindagi hamain bohat kuch sikhati hai, achy aur talkh tajrbat sath sath hoty hain, lakin kuch cheezain ibrat bun k hamary samny aati hain shaid hamain ye realize karwany k liay keh hum apni paidaish ka maksad bhool chukain hain aur ek baar dobaara yeh ehsah dilany keh liay keh zindagi Allah ki ek bohat bari naimat hai, beyond this k kaisi hai, aur mai is nazriay sy mutafiq honk eh zindage basically cheezon aur kafiyaat ka imtizaaj hai, overall and basically yeh achi hai as Allah ki naimat hai, lakin jab bura wakt ata hai tou hum kehty hain zindagi azzab hai, azmaish hai, ache nahe hai, lakin jab acha waqt ata hai to hum har tarha sy pursakoon zindagi kay mazy lootaty hain tou basically zindagi mai yeh totay/ tukary aaty jo kabhi achy hotay hain kabhi buray lakin zindagi az khud ek naimat hai (Afshaq Ahmed ny bhi iss baat ko bohat khubsorti sy biyan kiya hai)

Anyhow baat kahan sy kahan chali gai, tou mai keh rahe the keh kuch sanihat ya ibrat wali cheezain bhi hamary samny roonuma hoti hain…..Kal raat ek aisi he ajeeb si kafiyat rahi, Main jab apny kam kar k ghar pohnci abhi mujhy driver ny drop kar ki gari park he ki ho ge ammm 10 sy 15 minute hoay houn gy, k meri mother kisi kam sy bahir gain, abhi main gate sy bahir gaien then aur wapis aa k kehny lagen keh bahir tou tent lag gay hain aur dariyan bich gai hain. I said “Ammi Jan mai abhi aai hon bahir tou aisa kuch bhe nahe tha, phir pochany par pata chala keh koi accident hua hai aur us mai kisi ki death ho gai hai….. Hum kafri heran huay aur obviously pareshan bhi but duniya ki baton ki tarha Allah sy maghfirat ka kehny lag gay, achank bahir cheekhon ki awazain aaien aur bahir ja k daikhny par pata chala keh accident nahe the us bandy ny khud kushi ki………….khula hua aur masakh hua hua sar, ek aadmi kay hath mai us ki dimagh ki viens, dosry admi k hath mai us ki ek ankh aur bazo, aur kuch log mil ky in sab cheezon ko ek kapray mai bandh rahy thay…………………………………………………………………………….

………………………Railway ka on duty officer tha, quite young, having 3 young daughters age 23, 22, and 21, and a son of 19 years old. Apnay aap ko maal gari k neechay day diya, hamary ghar sy kuch hi fasly par.............

Kis kaqadar azeeat hai is ulaad k liay jo marty wakt apny baap ka chehra nahe daikh sakti thee, baition ki behad cheekon pukar kay baad bhi logon ny unhain nahe dikhaya, aur dikhana bhe nahe chahiy tha, raat ka koi pehar aisa nahe tha jab ye wakiayh zaehan sy nikla ho, ek takleef ki si kafiat dil mai aur bus maghfirat aur Rehmaan o Reheem sy….Wo hum sab ki maghfirat farmay, Us wakat sy ab tak nadamat ke kai ehasaat ny dil ko lapaita hua hai. Ek insane honay kay naaty hum zara bhi is kabil nahe keh hamara rab hum sy jo deserver karta hain who usy dain, balkay ulta us ki ata ki hui naimaton k sath aisa dil dehla dainy wala salook kar k usy bohhhhhhhhhhhat naraz karty hai, hum insane kisi ko janty bhe nahe lakin kisi anjan ki aisi takleef bardasth nahe hoti tou who tou Rab e Karim hai, hamar Khaliq, jo har insane sy 70 maon jitna pyar karta hai, hum kis kadar takleef pohncahty hai…………………………….ah………………………

Kai nadamton keh ehsas, aur us ki jawan biwi, batiyon aur baity ki cheekhain, maa baap ki ahoo bakah, janazy k kalmay kay sath is subha ka aghaz dil dehlaa dainy wala thaa, office kay liay saary rasty bemaini zindagi ka ehsas jo hum duniya ky liay rakhty hain abhi tak dil par tari hai…………..Lakin bohat si duain keh Allah pak hum sab py rehm farmay, apni rehmat sy hamary mamlat hal kary aur kisi ky nafs ko itna bykaboo na kar dy keh wo aisi harkat kar k apny peachy reh jany walon ko hamesha ki azeeat main mubtala kar dy, Allah ap sab py reham kary aur aasaniayn ata farmay Ameen, Apna aur apny ird gird ky logon ka khayal rakhain aur pyar dain.
Ameen,Inna Lillah e Wa Inna Ilay hay Rajeoon. Allah ki Rehmat say Mayoos ho gia wo shakhs kash k Sbr krta or Allah say duaa krta.
Do You Believe This???

A girl went to her friends house and she ended up staying longer than planned, and had to walk home alone. She wasn't afraid because it was a small COMMUNITY and she lived only a few blocks away..

As she walked along under the bike trail Amina asked ALLAH to keep her safe from harm and danger.

When she reached the alley, which was a short
cut to her house, she decided to take it. However, halfway down the alley she noticed a man standing at the end as though he were waiting for her. She became uneasy and began to recite a dua, asking for ALLAH for protection.

Instantly a comforting feeling of quietness
and security wrapped round her, she felt as
though someone was walking with her. When she reached the end of the alley, she walked right past the man and arrived home safely.

The following day, she read in the newspaper
that a young girl had been raped in the same
alley just twenty minutes after she had been there.

Feeling overwhelmed by this tragedy and the
fact that it could have been her, she began to weep.Thanking ALLAH for her safety and to help this young woman, she decided to go to the police station.

She felt she could recognize the man, so she
told them her story. The police asked her if she would be willing to look at a lineup to see if she could identify him..

She agreed and immediately pointed out the
man she had seen in the alley the night before. When the man was told he had been identified, he immediately broke down and confessed.

The officer thanked AMINA for her bravery and asked if there was anything they could do for her. She asked if they would ask the man one question. Amina was curious as to why he had not attacked her.

When the policeman asked him, he answered, 'Because she wasn't alone. She had two tall men walking on either side of her..'

Amazingly, whether you believe or not,
Ameen
Bayshak Allah apnay har bnday ki mdad krta hay jb bhi us say mdad talab ki jay.

Olympia.

Tumhain yeh incident kis nay bataya....Yeh sachi baat hay ??? Routine main jawab dijiyay ga Quotations k zariyay nahi jawab dena plz.

Regards.
read the first post of anum... lol nice and funny manager.. P


hum k Law k sir hain ( a very well known tracher in karachi) sir Khalid Farid Abbasi...
un ka teaching style bht ausum hay... aik bar woh hum ko contract Act parha ray thay..( at a very initrial stage) hum sab bht confused thay k agreement aur contract me kia difference hay...
then sir ne aik aisi example di k jis se saari confusion door hugai hamesha k liye..P

he said..
every "kutta" is an animal.. but not every animal is " kutta" like wise..
every Contract is an agreement and not every agreement a contract P

haahahhahaah kuttai walo bat foran samjh main aja te hai DDD

Pages: 1 2