![]() |
POETRY?? - Printable Version +- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum) +-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general) +--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general-discussion) +--- Thread: POETRY?? (/thread-poetry--1384) |
- maani - 01-01-2005 gurez-e-shab se sehar se kalam rakhte the kabhi woh din the kay zulfoon mein sham rakhte the tumhare haath lage hain to jo karo so karo wagarna tum se to hum so ghulam rakhte the' hamein bhi gher liya ghar kay zaam ne to khula kuch aur log bhi is mein qayam rakhte the yeh aur baat hamein dosti na raas aaye hawa thi saath to khushboo maqam rakhte the najane konsi rut mein bichar gaye woh log woh aa to jata kabhi hum to us kay rastoon per diye jalae howe subh-o-sham rakhte the Ace - maani - 01-01-2005 jo khyal thay na qayas thay wohee loog mujh say bichar gayee jo mohabbato0n ki asaas thay wohee loog mujh say bichar gayee jinhain manta hee nahi ye dil wohee loog meray hain humsafar mujhee hur trha say jo raas thay wohee loog mujh say bichar gayee mujhee lamha bhar ki rafaqatoon kay saraab or satayee gay meri umr bhar ki jo pyas thay wohee loog mujh say bichar gayee ye khyaal saray hain aarzi ye gulaab saray hain aarzi gul e arzo ki jo baas thay wohee loog mujh say bichar gayee jinhain kar saka na qobool main wo shareek raah e safar hoye jo meri talab meri aas thay wohee loog mujh say bichar gayee meri dharkano0 kay qareeb thay meri chah thay mera khwab thay wo jo rooz o shab meray pass thay wohee loog mujh say bichar gayee Ace - maani - 01-01-2005 Zindagee ki raahon main aik lamha lagta hai dil kisee pay anay main mujh ko bhi mila tha woh jis ko dekhtay hi dil betahasha dharka tha mujh se keh raha tha woh tum se piar hai mujh ko muskura k main nay bhi phool le lia us say haath haath main le kar piar kay ata karda aasman pay hum dono chahtay thay saath urna aasman pay jeevan bhar koi urr saka hai kia haath haath se choota aik sitara jo toota tab khabar hui mujh ko aik lamha lagta hai dil kay toot janay main aur umar lagtee hai kirchian uthanay main Ace - maani - 01-01-2005 Zindagee ki raahon main aik lamha lagta hai dil kisee pay anay main mujh ko bhi mila tha woh jis ko dekhtay hi dil betahasha dharka tha mujh se keh raha tha woh tum se piar hai mujh ko muskura k main nay bhi phool le lia us say haath haath main le kar piar kay ata karda aasman pay hum dono chahtay thay saath urna aasman pay jeevan bhar koi urr saka hai kia haath haath se choota aik sitara jo toota tab khabar hui mujh ko aik lamha lagta hai dil kay toot janay main aur umar lagtee hai kirchian uthanay main Ace - maani - 01-01-2005 Gum apni mohabbat main dono, nayab ho tum nayab hain hum Kia hum ko khuli aankhain dekhain,ik khuwab ho tum ik khuwab hain hum Kia mehsher-khaiz. judai hai ,kia visal, qayamat ka ho ga Jazbaat ka aik sailab ho tum ,jazbaat ka aik sailab hain hum Ik hans purani yaadon ka betha hua kankar chunta hai Tapti hui hijar ki gharion main sookha hua talaab hain hum Ik waqt talatum-khaiz hain hun,gardish main tumhay bhi le lain gain Is waqt na tair aey kashti-ae-dil is waqt tau khud gardab hain hum Aey chashm-e-falak aey chashme-zameen!hum log tau phir anay kay nahi Do char ghari ka sapna hain, Do char ghari ka khuwab hain hum !!!!! Ace - maani - 01-01-2005 yaar kia main and swalat are the only poets here? Ace - n/a6 - 01-02-2005 HAZRAT MUHAMMAD(P.B.U.H) FARMATY HAIN K KHUDA FARMATY HAIN K, "Ay ebny adam! ek teri chahat hai oar aik meri chahat hai, per hoga wahi jo meri chahat hai, bas agar tum ny apny aap ko supert kay diya uss ky jo meri chahat hai, to main baksh doona tujh ko woh bhi jo teri chahat hai, agar tuny nafarmani ki uss ki jo meri chahat hai to main thaka donga tujh ko uss main jo teri chahat hai, phir wahi hoga jo meri chahat hai." Thanks........ Happy New Year - maani - 01-02-2005 main tum say juda hojaon to aye dost tum apni in khoobsorat o gahri ankhoon main kabhi bhi ashk na anay daina balkay tum mairay baray main soochna us waqt apnay dil k kisi konay main mairi yad ka aik diya jalaan aor apni in khoobsorat o gahri ankhoon koband kar k dhimi si muskurahat k sath maira nam pukarna mairi wafaoon ko yad karna mairi batoon ko dohrana mairay tumharay sath guzray un tamaam lamhoon ko soochna Haan Dost....!!!! magar kabhi bhi apni ankhoon main ashk na any daina aor na kabhi hamari judai ko rog bana laina sada iasay hi muskuratay rahna Han bhool janay ki kooshish zaroor karna !!!! aor yeh bhi yad rakhna k duniya k kisi konay main koi tumharay liye aaj bhi duaa karta hai k tum sada apni duniya main khooye raho ... Ace - maani - 01-02-2005 Ab Jo Lotey Hou Itne Saalon main Dhoop Utri Hui Hai Baalon Main Tum Meri Aankh Ke Samandar Mein Tum Meri Rooh K Ujalo Main Tumse Abad Hai Yeh Tanhai Tum Hi Roshan Hou Ghar Ke Ujalo Main Phool Hi Phool Khil Uthey Mujh Mein Kon Aya Mere Khayalon Main Humne Ji Bhar ke Us Ko Dekh Liya Usko Uljha Ke Kuch Sawalon Mein Kia Usey Yaad Araha hoon Wasi Rang Ubhrey Hain Uske Galon Main Ace - maani - 01-02-2005 Shaam ke phelte andhere men Thaki thaki si fiza ke lamh0n men Hole hole ubharte chaand ke gird Chamakti chaandni ban kar aksar Tera chehra nigahoon ke ru ba ru aata hai Aur phir aize men buhat paaz kaheen Teri masoom hansi muJh ko sunaai deti hai Kaan0n men goonj uthti hai jal tarang jaize Khil uthta hai har aik manzar jaize Mehek uthti hai thaki hoi si fiza Hole hole chalne lagti hai tand-o-tez hawa Jab teri khusboo liye ata hai koi bhatka jhonka Ufaq ke paar chamkta hua chaand Kizi khayaal se sharma ke simat jata hai Kizi awara badal ki o0t men chup jata hai Men aankhen moonde h0e Do0or khayalon men kaheen kho jata hoon Apni zaat se hat kar, men TUM ho jata hoon Magar aize men najane kahaan se Tanhaai apni bharpoor sakhtiaan le kar Shaam ke phelte andhere men Ghata si ban ke cha jaati hai Aur phir uz par teri yaad sitam dhaati hai Har guzarte pal mujhe tarpaati hai...! Shadeed karb ke aalam men baahen khole h0e Men apni kham0sh zubaaN se tujh ko sada deta hoon Soochta hoon ke tum dori chali aao gi Zindagi bhar ko meri bahoon men simat jaao gi Phir haqeeqat ehsaas ki dehleez par dastak de kar Mujh par ik sach ko ayaan karti hai Kay ae deewaane... Tu dasht-e-zeest mein ab bhi tanha hai Apne barhte qadam rok le to acha hai Tu khud ko ab bhi tok le to acha hai Warna... Tu dasht-e-zeest mein kaheen kho jaayega Apne armaanoon ki aag men jal jaayega Khaak ban jaayega, Hawaoon mein bikhar jaayega... Magar kia karoon, keh meri ik uljhan hai... Mein apni zaat ka hakim hi nahi Mere wujood par tu qabiz hai Aur meri rooh men tu shamil hai Yeh mera dil tere naam par dharakta hai Dehkta hoon to sirf tum hi tum ho Soochta hoon to sirf tum hi tum ho Khud ko kho hi chuka hoon magar dilbar mere Men ab tujh ko khona nahi seh paaonga Tum bin jeene ka tasawwur hi naheen Tum se bichra to shayed yunhi marjaonga... Ace - maani - 01-02-2005 BijliiyaaN aksar vo giiraate rahe aashiyaane hum bhi banaate rahe kitni mujhko aap se umeedeN thiiN kitnaa aap mujh ko rulaate rahe dekhtaa rahaa maiN ek phool ko khayaal mujhko aapke aate rahe aapke dil ko Khuda humne kaha aap mere dil ko dukhaate rahe kaatii is tarah se humne zindagii diiye jalaa-jalaa ke bhujhaate rahe hum bhii sun ke an-suni karte rahe samjhaane waale humko samjhaate rahe dil gaNwaya barson pehle ishq meN jaan se bhi aaj hum jaate rahe duniya deewana kahegii yuuN hi agar shair sunaate rahe... Ace - maani - 01-02-2005 us ney poocha haath ki reeykhaoon per wishwas hai tumhara? mein ney kaha bus thoda thoda woh bola, dekhlana tu tehreer hai kya haathoon pey tumharey mein ney kaha choro jaaaney do, kya rakha hai in baatoon mein us ney jab israar kiya tu, mein ney muthee khol dekhai us ney haath ko thaama,,,dekha aur yeh bola cross buhut hain zayada is per waisay qismat buri nahi hai haath chura ker mein yeh boli,,, such kehtey hoo,, yun hi ho ga tab woh aahista sa bola such poocho tu, mein ney sab jhoot kaha hai qismat k is ellam sey mein bhi nawaqif hoon mein ney tu bus haaath tumhara chhona chaha.... Ace - maani - 01-02-2005 come on other poets yaar... Ace - n/a6 - 01-03-2005 Neend se ankh khuli hey abhi dekha kiya hey dekh lena abhi kuch dair mein dunya kiya hey bandh rakha hey kisi shoch ne ghar se hum ko warna apna dar-o-dewar se rishta kiya hey rait ki ,pathar ki ho ya mittti ki ... kisi dewar ke saye ka bharosa kiya hey apni danest mein samjhey koi dunya shayad warna hatoon ki lakeeroon ke illawa kiya hey Thanks........ Happy New Year - maani - 01-03-2005 BAZAHIR WO MERA KHAYAL KARTI HAI JHOOT BOLTI HAI MAGAR KAMAL KARTI HAI DIL HAI MERA LOSE ISAY NA KARNA USE AGHAR HOGAYA FUSE TUMHAI PARANGAY SHOES APPLE KAT'TA HO KNIFE SE PANI PITA HO PIPE SE KIYA ZAMANA AGAYA HAi JUTAI KHATA HO WIFE SE HUM CHAHAIN AAP KO AAP CHAHAIN KISI AUR KO AAP JISAY CHAHAIN KHUDHA KARAY WO CHAHAIN KISI AUR KO TU SAWAL NAHI EK PHALI HAI MERI MANZIL TU NAHI TARI SAHELI HAI TU SHAMA HOTI MAIN PARWANA HOTA NA TU COACHING JATI NA MAIN DIWANA HOTA PYAR MAIN KISI NE DHOKHA KHAYA TO KISI NE KSAM KHAI HAI HUM WO MAJNOO HAI JIS NE SIRF LAAT KHAI HAI DUNIYA SE JO DARAY USAY KAHIL KHATE HAI DUNIYA JIS SE DARAY USAY SHAIRE KHATE HAI SHAIR CHARA SAMAJ KAR HAR GHADHA CHARNE LAGA URDU ZABAN AATI NAHI SHAIRE KARNE LAGA SHAMA RO RO KAY PARWANOO SE KHA RAHI HAI MUJAI RUMAL LA DO MARI NAAK BHA RAHI HAI HUM DIL KI THABHAI KA SAMAN NA KARANGAY BUN JAINGAY DHULAY MAGAR HAAN NA KARANGAY PANI AANAY KI BAAT KARTE HOO DIL JALANE KI BAAT KARTE HOO CHAr DIN SE MOO NAHI DHOIYA UM NAHANE KI BAAT KARTE HOO PHOOL KO MAT TORO KANTA LAG JAI GA LARKI KO MAT CHAIRO CHANTA LAG JAI GA Ace |