![]() |
poetry - Printable Version +- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum) +-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general) +--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general-discussion) +--- Thread: poetry (/thread-poetry--2814) |
- Gull - 03-03-2007 Pal bhar mein tamam umer ki sochein badal jati hain jin rahon per chaltey hain wohi, rahein badal jati hain karney ko kia nahi kartey log muhabbat mein sirf hamarey liye hi kyun? rasmein badal jati hain woh aisa hai k us ka naam sunney k tasawwur say hi hamari tamaam tar sAatein badal jati hain sochti hoon jane kaise? kah paoon ghi main us say milti hoon to dil ki sari batein badal jati hain chahe "Manzil" "Dushwar" ho aur "Duur" bhi humsafer us jaisa ho to musaftein badal jati hain yun to "Raat" ka alam haseen hota hai, madhosh bhi magar"chand" dekhoon to meri ratein badal jati hain mat chaho, k mujhe aadat nahi itna chahne walon ki yeh na ho log kahein, jald hi adatein badal jati hain - Gull - 03-03-2007 dua ke soorat mein uss ke khatir jo mere honton say lafz niklay jo mere ankhoon say ashk nikle us key badlaym ein ah KHudaya jab b us ka naseeb likhna urooj likhna,kamal likhna, kabhe na lafz-e-zawal likhna - Gull - 03-03-2007 kash tum dekh saktay es tutay hoye dil ko is behty hoye aansoun ko in adhury mosmon ko Kash tum perh saktay meray lafzoun ke gehrai ko mere baaton ke sachi ko mere mehfil ke tanhai ko Kash tum jorh saktay id dil ko is rishtay ko is waday ko leken mein ye souch ke kahmosh ho jata hoon Kaash tu hamesha Kaash rah jata hay - Gull - 03-03-2007 Ajeeb shakas hay kesa mazaj rakhta hay pass reh ker b ikhtelaf rakhta hay mein kiyoun na daad don us key fun ke mere hr sawal ka pehlay hi jawab rakhta hay woh tu roshniyoun ka basio hay maghar mere andher nagri ka bara he khiyal rakhta hay Mouhabbat tu thi usay kisi aur say shayed Hum se to younhe hansi mazak rakhta hay - Gull - 03-03-2007 woh anna parash sahi us ke baaton mein iqrar b tha us key chubtey hoye lehjay meinchupa piyar b tha woh mujhey kehta hay muntazir na rahoo lekin! Us ke tehrir mein sadyoun ka intezar b tha Woh kehta hay mat rootho k manana nahe ata mere narazge per lekin wo beqrar bhi tha mein shayed na likhta ussay apni khaber lekin dosti ka bharam rakhna tha,kuch dil pay b ikhtiyar tha sahyed yehe us ka andaz-e-muhabbat ho wohmera haandam b tha aur sitam shaar b - Gull - 03-03-2007 Tum ko chahtey hoey bhi bhool jana acha laga Ansoon ko chupa kar muskurana acha laga Tum ajnabi they meray liey mager apna jaan kar acha laga Pehchaan to ik pal ki thi, mager sadiyon se jaan kar acha laga Khaboon main yadoon main tum thay mager tum ko bhulana acha laga Meri rooh ka ik hissa thay mager khud se juda karna acha laga Meri zindagi ka sarmaya thay mager tum ko lutana acha laga Meray armanon ka sawan thay mager tum ko barsana acha laga Meri khushiyon ka jahan thay mager tum ko mitana acha laga Khud ko bhool jana aur tum ko yaad karna acha laga Sab khahishon ko mitana sirf tumhin pana acha laga Logon k kehney main aana aur sab kuch bhulana acha laga Yehi to rasm-e-duniya hai isay nibhana acha laga Tum ko chahtey hoey bhi bhool jana acha laga Ansoon ko chupa kar muskurana acha laga - Gull - 03-03-2007 Aik baat kahoon Agar suntee ho ? Tum Mujh ko achee lagtee ho Kuch chanchal se , kuch chup chup se kuch pagal pagal lagtee ho hain chahney waaley aur buhut par tum mein hai aik baat buhut............. Tum apnee apnee lagtee ho Aik baat kahoon Agar suntee ho ? Tum Mujh ko achee lagtee ho Yeh baat baat pe kho jaana kuch kehtey kehtey ruk jaana yeh kiss uljhan mein rehtee ho....? Kiya baat hai hum se keh daalo Aik baat kahoon Agar suntee ho ? Tum Mujh ko achee lagtee ho - Gull - 03-03-2007 Khabhi Socha Hai Tu Nay Dil Kia Kheta Hai? Khabhi Socha Hai Kia Hota Jab Dil Toot ta Hai? Kitna Dard HotaHai ... Jab Aapnoo Say Khauff Hota Hai ... Woh Manzar Bhi Kia Manzar Hota Hai .. Jab Tu Kareeb Reh kar Bhi Door Hota Hai ... Kitna Kamzor Vo Shakhs Hota Hai ... Jo Dost He Ko Dhoka Deta Hai ... itna Bandnaseeb Woh Q Hota Hai ... Jo Majmay Main Bhi Aakela Hota Hai... Judaee Ka Ghum Bhi kia Ghum Hota Hai... Kyioun Her Koi Mujh Say Sawal Karta Hai .. Kyioun Mera Dil Her Bar Roo Deta Hai .. Abb Tu Saya Bhi Yeh He Sawal Karta Hai... Kisay TOo itna Khush Rehta Hai...????? - Gull - 03-03-2007 Our Allah knows what's best for us, But our hearts would lose there tende So why should we complain ... We always want the sunshine, But He knows there must be rain. We love the sound of laughter And the merriment of cheer; But our hearts would lose their tenderness If we never shed a tear. Our Allah tests us often With suffering and with sorrow; He tests us, not to punish us, But to help us meet "tomorrow." For growing trees are strengthened When they withstand the storm; And the sharp cut of the chisel Gives the marble grace and form. Allah never hurts us needlessly And He never wastes our pain; For every loss He sends to us Is followed by rich gain. And when we count the blessings That Allah has so freely sent; We will find no cause for murmuring And no time to lament! - Gull - 03-03-2007 I feel I've lost a thousand years, just living day by day. I'm hidden behind the pain and tears, my sorrow guides the way. I cannot see where I have gone, nor where my life shall go. But leaving you my life-long friend, is the only way I know. It will be painful, I will be weak but true friendship never dies. So call upon the Greatest Power, when you feel you can't survive. He will heal you saddest hours, and keep our memories alive. For in the eternal love of God, true friendship never dies. - Gull - 03-03-2007 GOOD TIMES/BAD TIMES Many broken pieces Shattered, now apart What can I do to mend it? To mend by broken heart? I walk along the beach Leaving footprints cold and bare How can I enjoy the sunset, When thereâs no one here to share? There used to be a pair, Of footprints next to mine. But they washed away with waves And the shifting sands of time. All I can do now, Is remember how things were. The good times, not the bad times, Which caused my heart to stir. To live to die, What does it matter? While I am in this state. I didnât know how much I loved, Until it was too late. - shahzori - 03-04-2007 merey hamsafar,merey humnashee'n mein ne rub se maanga tou kuch nahi mein ne jab bhi maangi koi duaa nahi maanga kuch bhi terey siwa ye talab kiya ke merey khuda naye saal ki ye musaafatei'n sabhi raahatei'n,sabhi chaahatei'n wo ataa karey tujhey manzilei'n ye talab kiya ke merey khuda tujhey takht de,tujhey taaj de,tujhey bakht de meri iltajayei'n suney kabhi wo meri duaayei'n suney kabhi unhein bakhsh de wo qabuliyat merey hamsafar,merey charagar merey saath chalna ye soch kar ke ye dosti ka kathin safar na mein shehr mein barra mautabar merey paas zar na koi hunar sabhi theek hai ye baja magar zara dekh tou mera hausla nahi aur kuch bhi terey siwa nahi maanga kuch bhi terey siwa ye meri duaa ke merey khuda meri dosti,meri zindagi meri khaamoshi,meri bebasi meri subh bhi,meri shaam bhi merey shehr ke dar o baam bhi ke jo mil sakei'n merey daam bhi sabhi kuch tujhey wo ataa karey wo meri duaa jo suna karey - shahzori - 03-04-2007 jura'at hai tou afkaar ki dunya se guzar ja hein behr khudi mein abhi poshida jazirey khultey nahi iss qulzam e khamosh ke israar jab tak tu isey zarb e qaleemi se na cherey - shahzori - 03-04-2007 hum khawbo'n ke byopaari thay par iss mein hoa nuqsaan bara kuch bakht mein dhairo'n kaalak thee kuch abb ke ghazab ka kaal para abb raakh bhari hai jholi mein aur sar pe hai saahokaar khara jab dharti sehra sehra thee hum darya darya roey thay jab haath ki rekhayei'n chup thee'n aur sur sangeet mein khoye thay tab hum ne jeewan khaiti mein kuch khakistar se gajrey thay aur dooor ufaq ke sagar mein kuch doltey doltey bajrey thay abb paao'n kharrao'n dhool bhari aur jism pe jaug ka chaula hai sab sangi saathi bhaid bharey koi maasha hai koi taula hai hum basti chhorey jaatey hein tu apna farz chuka baba - shahzori - 03-04-2007 koi parchayee'n zer e aasmaa'n rehne nahi doon ga kisi ke sar pe koi saaebaa'n rehne nahi doon ga mein pehle munhadim kar doon ga har shae har ta'aluq ko phir uss ke baad dharti par makaa'n rehne nahi doon ga mein ik laa_inteha ki aarzo mein saari dunya ko aseer e khawhish e wehm o gumaa'n rehne nahi doon ga mein pardey chaak kar doon ga sabhi be_ma'ani rishton ke kisi ko bhi kisi pe mehrbaa'n rehne nahi doon ga ta'aluq gar nahi koi tau raah o rasm e dunya bhi mein apne aur tumharey darmiyaa'n rehne nahi doon ga mein pehle khainch loon ga paao'n ke neechey se dharti ko phir uss ke baad sar par saaebaa'n rehne nahi doon ga |