![]() |
POETRY?? - Printable Version +- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum) +-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general) +--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general-discussion) +--- Thread: POETRY?? (/thread-poetry--1384) |
- Mahtab - 04-20-2006 jin ko dunya ki nigahon se chhupaye rakha jin ko ik umr kalejay se lagaye rakha deen jin ko jinhein eeman banaye rakha tu ne duniya ki nigahon se jo bach ker likhey salha sal mere naam barabar likhey kabhee din mein tou kabhee raat ko uth ker likhey teri khushboo mein base khat mein jalata kaisey pyar mein doobey huee khat mein jalata kaisey tere hathon kay likhay khat mein jalata kaisey teri khat aaj mein ganga mein baha aaya hoon aag behtey huey pani mein lagata kaisey. - Mahtab - 04-20-2006 Yuh To Guzar Raha Hai, Harek Pal Khusi Ke Saath Phir Bhi Koi Kami Si Hai, Kyu Zindagi Ke Sath Rishte Wafaye Dosti, Sab Kuch To Pass Hai Kya Baat Hai Pata Nahi, Dil Kyu Udaas Hai Har Lamha Hai Hassen, Nayi Dil Kashi Ke Sath Phir Bhi Koi Kami Si Hai, Kyu Zindagi Ke Sath Chahat Bhi Hai Sukun Bhi Hai Dilbari Bhi Hai Aakho Me Khawab Bhi Hai, Labo Par Hasee Bhi Hai Dil Ko Nahi Hai Koi, Shikayat Kisi Ke Saath Phir Bhi Koi Kami Si Hai, Kyu Zindagi Ke Sath Socha Tha Jaisa Waisa He Jewan To Hai Magar Ab Aur Kis Talash Mein Baichain Hai Nazar Kudrat Bhi Meharban Hai Daryadili Ke Saath Phir Bhi Koi Kami Si Hai, Kyu Zindagi Ke Sath - Mahtab - 04-20-2006 kuchh an kuch tou zaroor hona hai samna aaj un se hona hai toro, phenkon, rakho kero kuchh bhee dil hamara hai kya khilona hai zindagi aur maut ka matlub tum ko pana tum ko khona hai itna darna bhee kya hai duniya se jo bhee hona hia woh tou hona hai. uth ke mehfil sey mat chaley jana tum sey roshan yeh kona kona hai kuchh an kuchh to zaroor hona hai samna un se aaj hona hai. - Mahtab - 04-20-2006 Suntay Hai Key Miljatee Hai Har Cheez Dua Se, Ek Roz Tujhe Mang Ke Dekhege Khuda Se, Duniya Bhi Mili Hai, Gume Duniya Bhi Mila Hai, Woh Kyu Nahi Milta Jise Manga Tha Khuda Se, Aye Dil Tum Unhe Dekh Ke Kuch Aaise Tadapna, Aajaye Hasi Unko Baithe Hai Khafa Se, Jab Kuch Na Mila Haath Duayo Ko Utha Kar, Phir Haath Uthane Hi Pade Hamko Dua Se - Mahtab - 04-20-2006 sham se ankh mein nami se hai aaj phir aap ki kami see hai dafn ker dou hamein kay sans mile nabz kuchh der sey thamee se hai waqt rehta naheen kaheen tik ker is kee adat bhee admi see hai koee rishta naheen raha phir bhee aik tasweer lazmee see hai. sham se ankh mein nami se hai aaj phir aap ki kami se hai. - Mahtab - 04-20-2006 aag ho to jalane main dair kitnii lagatii hai barf ke pighalane main dair kitnii lagatii hai chaahe koi ruk jaaye chaahe koi rah jaaye qaafiloon ko chalne main dair kitnii lagatii hai chaahe koi jaisaa bhii ham_safar ho sadiyoon say raastaa badalne main dair kitnii lagatii hai yay to vaqt kay bas main hai ke kitnii mohalat daay varnaa baKht Dhakne mainn dair kitnii lagatii hai mom kaa badan lekar dhuup main nikal aanaa aur phir pighalne main dair kitnii lagatii hai soch kii zamiino main raaste judaa hoon to duur jaa nikalne main der kitnii lagatii hai - Mahtab - 04-20-2006 Khudaa Humko Aisee Khudaayee Na De Ke Apne Siwa Kuchch Dikhaayee Na De Khatawaar Samjhegee Duniyaan Tujhe Ke Itnee Ziyaada Safaayee Na De Hanso Aaj Itnaa Ke Is Shor Mein Sada Siskiyon Ki Sunaayee Na De Abhi To Badan Mein Lahoo Hai Bahot Kalam Cheen Le Roshnaayee Na De Khuda Aise Ehsaas Ka Naam Hai Rahe Saamne Aur Dikhayee Na De - Muhammad Adnan Arshad - 04-20-2006 ARZ KIYA HAI ......!!!!! 1 mithha intazaar tay intazaar nalo yaar mithha mithha yaar tay yaar nalo piyaar mithha mithha piyaar tay piyaar nalo mithhi saadhi yaari aistoo mithha kujh nai labna; lab lai duniya saari! 2 ishq aur azaadi dono bahar-e-zeast k sama hai ishq mairi zindagi aur azaadi maira eemaa hai ishq pay ker doon mai apni saari zindagi magar .. azaadi pay maira ishq b qurbaan hai !! 3 paani ka ek katra aankh saay girra abhi abhi kia aapnay mujhaay yaad kiya abhi abhi aapsay millay zamana howa magar .. yoon laga, koi mujhsay mil k gaya abhi abhi!! 4 aasmaan ko neend aayay tu sulaayain kahan dharti ko maut aayay tu dafnaayain kahan sagar mai lahar aayay tu chupaayain kahan hamain aap kee yaad aayay tu jaayain kahan 5 (*aik chut pata sher b tu ho jaayay) aap hamaari gali mai aayay thorha sharmaayay, thorha itraayay thorha muskuraayay, thorha ghabraayay phir ik dum zor saay chillaayay ALOO CHHOLAAY BARHAAY KARAARAY MASALAY WALAY - Humaira - 04-20-2006 AOA.....how all of u.... nice poetry Mr adnan[)] yeh dard kum to nahien hay kay to humein na mila yeh aur baat kay hum bee naaa ho sakay teray ok Allah hafiz[)] - Muhammad Adnan Arshad - 04-21-2006 1 yeh ishq nahi aasaan bus itna samaj leejeeyay! ik aag ka daryaa hai; aur doob ker jana hai 2 khushee k sath duniya mai hazaron ghum b hotay hain jahan bajtee hai shahnai, wahan maatam b hotay hain Thanks "HUMAIRA" for your encouragement. I welcome you on the forum again after a long span. - Humaira - 04-21-2006 AOA[)] yuuN to har lamhaa terii yaad kaa bojhal guzaraa Dil ko mahasuus huii terii kamii shaam ke baad okAllah hafiz[)] - mrihfl - 04-22-2006 hi all of frined apanii rusavaa_ii tere naam ka charchaa dekhuu.N ek zaraa sher kahuu.N aur mai.n kyaa kyaa dekhuu.N niind aa jaaye to kyaa mahafile.n barpaa dekhuu.N aa.Nkh khul jaaye to tanhaa_ii kaa sahara dekhuu.N shaam bhii ho ga_ii dhundhalaa ga_ii aa.Nkhe.n bhii merii bhuulanevaale mai.n kab tak teraa rastaa dekhuu.N sab zide.n us kii mai.n puurii karuu.N har baat sunuu.N ek bachche kii tarah se use ha.Nstaa dekhuu.N mujh pe chhaa jaaye vo barasaat kii Khushbuu kii tarah ang ang apanaa usii rut me.n mahakataa dekhuu.N tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib jii me.n aataa hai ko_ii aur bhii tujh saa dekhuu.N mai.n ne jis lamhe ko puujaa hai use bas ek baar Khvaab ban kar terii aa.Nkho.n me.n utarataa dekhuu.N tuu meraa kuchh nahii.n lagataa hai magar jaan-e-hayaat jaane kyo.n tere liye dil ko dha.Dakataa dekhuu.N Contributed by Umang Bali - Muhammad Adnan Arshad - 04-27-2006 nice poetry by mrihfl - mak_thecaian - 04-27-2006 salam to all! ranjeshain sahi dil hi dukhaane k liye aa aa phir se mujhe chor k janay k liye aa n ophie bhai aap ne jo versus quote kiye hain ye GHALIB k hain MIR TAQI MIR k nahi - Muhammad Adnan Arshad - 04-29-2006 nice poetry |