![]() |
poetry - Printable Version +- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum) +-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general) +--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general-discussion) +--- Thread: poetry (/thread-poetry--2814) |
- FARHAN123 - 06-08-2010 Hasrat hai ke Unn ko kabhi nazdeek sey dekhein Nazdeek hon tou Aankh uthaai nahin jaati Chaahat pe kabhi bus nahin chalta hai kissi ka Lag jaati hai yeh Aag, lagaai nahin jaati - FARHAN123 - 06-13-2010 Jaaney Uss shakhs ko kaisa yeh hunar aata hai Raat hoti hai tou, aankhon mein utar aata hai - FARHAN123 - 06-13-2010 Chali Aati hai Teri Yaad Staane ke Liye Raat Ban Jaati hai Azab, Jalane ke Liye Chaaro Taraf Phaili Khamoshi Dasti hai Mujhe Phir Teri Awaz Aati hai Rulaane ke Liye Yeh Tanhai, Be jan Jism, aur Dhuwan hi Dhuwan Zehar Peeta Hoon, Dil ki aag Bujhane ke Liye Mere Saathi Tere Sang Guzre huve Lamhe Hain Roz Rota Hoon, Un lamhon ko Bulaane ke liye Surkh Aankhon Mein Intazaar Bus Tera Hai Koi Rah Nahi Hai Ab Tujhe Manane ke Liye Yeh Khushiyaan, Yeh Baharein Yeh Rangin Manzar Mere Liye To Bus Too Hai, Baaqi Sab Zamane ke Liye Teri Be Rukhi hai, Aur main Tanha hi To Hoon Ek Mayyet Ki Tarha Para hoon, Bas Jalane ke Liye - FARHAN123 - 06-13-2010 jeene ki umeed me mare ja rahe hain log, marne ki umeed me jiye ja raha hun main, khuda ko pane ke liye mare ja rahe hain log, khud ko pane ke liye jiya ja raha hun main, gammon se bachne ke liye khushiyon ko piye ja rahe hain log, kushiyon se bachne ke liye gammon ko piye ja raha hun main, manzil tak pahunchne ka rasta bana rahe hain log, manzil ke baad ka safar tay kiye ja raha hun main, meri nazmon ko gam samjhe ja rahe hain log, lekin apni zindagi ke falsafe ko likhe ja raha hun main - Distracted - 06-25-2010 Paband-e-takdeer k paband-e- ahkam! ye masla mushkil nhe ae mard-e-khird mand Ik an me so bar badal jate hy takdeer hy us ka mukalad abhe na khush' abhe khursand takdeer k paband nabatat-o-jamadat momin fakat ahkam-e-ilahi ka hy paband - Humaira - 06-28-2010 Woh Tamam meri hamaqatain jo hui gunah ki chaon main Woh amal ki sari kasafatain Jo likhi gai hain fizaon main Tere samne hain zarrah zarrah Teri zaat wakif-e-hall hain Main bura sahi mujhay bakhsh dain Mere dill ko sakht malal hain Meri neend ankhon se door hain Mera mazi Itna kharab hain Yeh karam hain rab-e-jahan tera Mera her gunah pe naqab hain Tujhe ikhtiyar hain sab Mera tujh se itna sawal hain Tu maaf ker tu kareem hain Tu rab-e-zuljalal hain... Have a nice day Allah Hafiz[)] - ciapk - 06-28-2010 Lab pay saja liay hain yonhi ajnabi say naam Dil py tmam zakhm kisi ashna kay hain - bizmen - 06-28-2010 Ameen! Summa Ameen! Thanks for sharing Humaira - raza 123 - 07-06-2010 Raahi Hain Or Safar Nahi Jaante Karan Apni Khabar Nahi Jaante Hum Apne Ghar Mein Itne Tanha Hain Humko Divaar-O-Dar Nahi Jaante Apne Kuche Ko Bhul Baithe Hain Log Jo Tera Ghar Nahi Jaante Be-Hudd Pyaar Kerne Waale Hume.N Jaante Hain Magar Nahi Jaante Jo Jee Mein Aata Hai Likh Dete Hain Hum Koi Bhi Hunar Nahi Jaante Main Darindo Mein Ek Insaa.N Hun Log Meri Kadar Nahi Jaante Zuth Ka Zahar Roz Peete Hain Or Kya Hai Zahar Nahi Jaante Wo Mere Humsafar Banenge Kabhi Jo Meri Rehguzar Nahi Jaante Kat Gaye Kin Khudgarzon Ke Liye Ye Shaheedon Ke Sir Nahi Jaante Maut Ko Daavat Roz Dete Ho âRazaâ Shayad Marrne Ka Darr Nahi Jaante - raza 123 - 07-06-2010 <b>Ajj itni bhi muyaser nhi Maykhanay mai, jitni hum Chooor diya kerty thy pamanay mai.</b> - WARDAH - 07-06-2010 For All My Friends. . . Kuch yaadain hain un lamhon ki Jin lamhon mai hum sath rahay khushion sy bhary jzbaat rahy Ik umer guzari hai hum ny jahan ruthy huae bhi hustay thya kuch kehty thay kuch sunty thay, hum roz subha jab miltay thay to sub k chehry khilty thay pur-lutf wo manzer hota tha sub mil ker batain kerty thay hum soch k kitna hustay thay wo goonjh humaray husny ki Ab aik purani yaad bani... Ye batain hain un lamhon ki jin lamhon mai hum sath rahay. - Humaira - 07-06-2010 Sookhay honto pay hoti hain meethi baatain Pyas bujh jaye to lehjy badal jate hain Allah Hafiz [)]Have a nice day[)] - raza 123 - 07-06-2010 Usse upne farda ki fiker thi jo mera waqif-e-haal tha, Wohi subha uski urooj thi,jo mera waqt zawal tha, Mere baat kese wo manta mera dard kese wo janta, Wo to khd fana k safer mein tha,usse rokna muhal tha, Wo jo uske samne aa gaya wohi roshni me naha gea, Ajab uska hebat e husn tha,ajab uska rango jamal tha, Dam-e-wapsi use kia hoa na wo dil kashi na wo sadgi, Wo sitara kese bikhr gaya,jo aap apni misaal tha, Wo mila to sadyon k bad bhi mere lab pe koi gila na tha, Use meri chp ne rula dia,jise guftugu mein kamal tha, Mere sath lg kr wo ro dia mjhy faqat wo itna khe saka, Jise janta tha me zindagi,wo mere whem-o-khayal tha, - raza 123 - 07-06-2010 Wo Mujh se meri udasiyon ki waja poochta hai, Kaisa pagal hay dhalti raat k sanatay ki waja poochta hai, Wo Mujh se meri barasti ankhon ki waja poochta hai, Kaisa pagal hai barish kay barasnay ki waja poochta hai, Wo mujh se meri MOHABBAT-O-WAFA k baray main poochta hai, Kaisa pagal hai sumandar per kharay uski gehrai poochta hai, Wo mujh se meri pasand kay baray mai poochta hai, Kitna nadan hai apnay hi baray mai poochta hai, - raza 123 - 07-06-2010 Ek masoom si mohabbat ka itna hi fasana hai Ek kagaz ki haveli aur baarish ka zamana hai Uff ye kya sharte mohabbat kya shart-e-zamana hai Aawaz bhi zakhmi aur vo geet bhi gaana hai Us paar utarne ki umeed bahut hi kum hai Kashti bhi purani aur toofan ko bhi aana hai Koi samjhe ya na samjhe ye raze mohabbat Kisi shaks ko ankho se ye sher sunana hai Ek bholi si ada, aaj koi phir ishq ki zid par hai Phir aag ka dariya hai, aur phiir doob ke jaana hai |