![]() |
poetry - Printable Version +- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum) +-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general) +--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general-discussion) +--- Thread: poetry (/thread-poetry--2814) |
- Namia Beera - 09-17-2010 <blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Arial, Helvetica, san" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by raza 123</i> <br />Ek masoom si mohabbat ka itna hi fasana hai Ek kagaz ki haveli aur baarish ka zamana hai Uff ye kya sharte mohabbat kya shart-e-zamana hai Aawaz bhi zakhmi aur vo geet bhi gaana hai Us paar utarne ki umeed bahut hi kum hai Kashti bhi purani aur toofan ko bhi aana hai Koi samjhe ya na samjhe ye raze mohabbat Kisi shaks ko ankho se ye sher sunana hai this powm is one of my all time favourite poems.... Ek bholi si ada, aaj koi phir ishq ki zid par hai Phir aag ka dariya hai, aur phiir doob ke jaana hai <hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote"> - Safoora - 09-18-2010 Yahan her shaks har pal hadsa honay se darta hay khilona hay jo mitti ka fanaa honay se darta hay mere dil k kisi konay mai aik masoom sa bacha baroon ki dekh k dunya bara honay se darta hay ajab hai zindagi ki qaid mai dunya ka her insaan rihaai mangta hay aur riha honay se darta hai na bas mai zindgi is k na qabu maut pe iska Laikin insan phr bhi kab Khuda hunay se darta hay - aamalik - 09-19-2010 <blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Arial, Helvetica, san" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by helow</i> <br />good post friends. keep posting. <hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote"> U to r welcome. dude! - Kasim - 09-23-2010 Barbaad-a-gulshan k liyeah aik he ullo kafi tha her shak pay ullo baitha hay anjaam-a-gulistan kia hoga? - WARDAH - 09-23-2010 ye tumhari ijaad krda hai??? - yasir_live - 09-27-2010 apni soi hui dunya ko jaga loon to chaloon apne Gham_khaney mein ik dhoom macha loon to chaloon aur ik jaam-e-may-e-talkh chadhaa loon to chaloon abhi chalta hoon zara Khud ko sambhaloon to chaloon jaane kab pi thi abhi tak hai may-e-Gham ka khumaar dhundlaa dhundlaa sa nazar aata hai jahan-e-bedaar aandhiyan chalti hain dunya hui jati hai Ghubaar aankh to mal loon zara hosh mein aa loon to chaloon meri aankhon mein abhi tak hai muhabbat ka Ghuroor mere honton ko abhi tak hai sadaaqat ka Ghuroor mere maathe pe abhi tak hai sharaafat ka Ghuroor aise vehmon se bhi ab Khud ko nikaloon to chaloon - yasir_live - 09-27-2010 Saaki Teri Sharaab Ne Aisa Nasha Diya Dil mein unki yaad thi usko bhula diya. Ye husn kya, shabaab kya, hai kya naseeb mein, Aaj toone jaam mein, kya-kya mila diya. - WARDAH - 09-28-2010 strange to c yasir buddy..........luvly sharing second last one. - yasir_live - 09-28-2010 Wardah, Kyun Dear Strange kis liay laga ) Regards. her aik mor pe phela hai hasraton ka dhuwan na koi rah na manzil na roshni ka nishan jiye to kis liye koi aas bhi to nahin jo hum guzaar rahe hai yeh zindagi to nahin - yasir_live - 09-28-2010 Apni neend say mujhe kuch yunh bhi mohabbat hai faraz k us ne kaha tha mujhe paana tumhare liye sirf ek khuwaab hai......... kherat mien mili hui khusi humien achi nahe lagte faraz hum apny dukhoan mien nawaboan ki tarhan rehty hien - WARDAH - 09-29-2010 is topic mai post tumhari prh k or kis liey dear.... Haal ye hai ke KHwahish-e-pursish-e-haal bhi nahiN Uus ka KHyaal bhi nahiN apna Khyaal bhi nahiN Ae shajar-e-hayat-e-shauq..... aisee KHizaaN raseedgi ??? Poshish-e-barg-o-gul to kya jis'm pe chhaal bhi nahiN ??? Mujh mein wo shaKHs ho chuka jis ka ko'ee hisaab tha Sood hai kya...ziy'aaN hai kya iss ka sawaal bhi nahiN Mas't hai apne haal mein dil zadgaan-o-dil baraaN Sul'h-o-salaam to kujja behas-o-jadaal bhi nahiN Tu mera hosla to dekh daad to de ke ab mujhe Shauq-e-kamal bhi nahiN KHauf-e-zawaal bhi nahiN KHema gah-e-nigaah ko loot lia gaya hai kya ?? Aaj ufuq ke dosh par gar'd ki shaal bhi nahiN Uff ye fiza-e-ehti'yaat taa kahiN uDH na ja'en hum Baad-e-junoob bhi nahiN baad-e-shumaal bhi nahiN GHarat-e-roz-o-shab to dekh waqt ka ye GHazab to dekh Kal to nidhaal bhi tha mein aaj nidhaal bhi nahiN Mere zamaan-o-zaat ka hai ye mu'aamla ke ab Sub'eh firaaq bhi nahiN shaam-e-wisaal bhi nahiN Mein bhi bahut ajeeb hun itna ajeeb hun ke bas KHud ko taba'ah kar liya aur malaal bhi nahiN. - raza 123 - 09-29-2010 Chand Bhe Ankhir Mera Angan Chor Gya Rat Ka Pichla Peher Dhala Or Tanha Mein - raza 123 - 09-29-2010 Kash Koi Tu Mera Bhe Humraaz Bune Mujhse Sare Log Khafa Or Tanha Mein - raza 123 - 09-29-2010 <blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Arial, Helvetica, san" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by yasir_live</i> <br /> Saaki Teri Sharaab Ne Aisa Nasha Diya Dil mein unki yaad thi usko bhula diya. Ye husn kya, shabaab kya, hai kya naseeb mein, Aaj toone jaam mein, kya-kya mila diya. <hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote"> Great.. - Ali RAZA - 09-29-2010 <blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Arial, Helvetica, san" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by yasir_live</i> <br /> Saaki Teri Sharaab Ne Aisa Nasha Diya Dil mein unki yaad thi usko bhula diya. Ye husn kya, shabaab kya, hai kya naseeb mein, Aaj toone jaam mein, kya-kya mila diya. <hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote"> the best..!! |