Accountancy Forum
Lets be poet - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general-discussion)
+--- Thread: Lets be poet (/thread-lets-be-poet)

Pages: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12


- WARDAH - 08-02-2010

good one kasim. . .but is aadat or mohabbat ko is rang sy bhi lia ja skta hai keh,
Abhi tum soch skty ho
Khud ko rok skty ho
Abhi aaghaz-e-mohabbat hai,tumhain aadat nahin mairi
Abhi aadat nahin tujhko
Wasel ki haseen shamon ki
Abhi aadat nahin mujhko
Teri ankhon mai khony ki
Abhi tum soch skty ho,
Khud ko rok skty ho
Abhi aaghaz-e-mohabbat hai,tumhain aadat nahin mairi
Bra mushkil hota hai
Kisi ko chor ker jana
Ik dil ka rishta dosray sy tor ker jana
Yeh dunya chor daiti hai
Bharam sab tor daiti hai
Abhi aghaz-e-mohabbat hai,tumhain aadat nahin mairi





- ciapk - 08-02-2010

Distraced Kuch mushkil kam nahi hay yar bus himat kro jb moqa milay usay aram sy bol daina k propose krna hay agr usay itraz nahi hay tu khudi bta day ge k bhai jan meri engagment ho gai hay ya apnay abba jan ka number day day ge -)


- Sh.Mohsin - 08-02-2010

Muje apni mah****a se milne ka bra shok tha
Use kareeb se dekhne ka bra shok tha
Aik din likh dya khat us ko sabar kr k
Bholi bhali samaj na saki mere pyar ko
De dya khat apne bhai Gulzar ko
Me ne darya ki aik bari moj dekhi
Jb apne piche Gulzar ki foj dekhi
Un k maarne se jism se saaz nikal rahe the
Muu se agle pichle sab raaz nikal rahe the
Logon ne kaha kis pe azaab aya hai
Dil ne kaha khat ka jawab aya hai...


- ciapk - 08-02-2010

Hahhaahahahahahahahha acha jwab aya hay -)

Usnay kaha mujy mohabat ki saza do faraz
main ny sb kuch uskay abba ko bta dia


- WARDAH - 08-02-2010

hahahahhahaha wa wa wa ciapk.


- Sh.Mohsin - 08-02-2010

TERI BEWAFAI PE FIDA HOTI HAI JAAN MERI
KHUDA JAANE TUJ ME WAFA HOTI TO KYA HOTA


- Namia Beera - 08-15-2010

Perhtey phirein gey gallion me in reekhtaun ko log
muddat rahey gi yaad baraatein humaariaan....


- Namia Beera - 08-15-2010

kissi dasht me kisi shehr me
kissi waqt bhi kissi pehr me
kissi rah k kissi mor per

jo kabhi miley mera humnawaa
mera dilrya mera bawafa
mera rahnuma ussey bolnaa
k phira karey yu naa darbadar
kabhi iss k ghar kabhi uss k ghar

merey mautbar mere charah gar
kabhi aa miley to yeh bolna

yu galli galli na phira karey
meri justaju naa kia karey
meraa nam he naa liaa karey

yeh bhi bolnaa mere humnasheen
kissi ultey sidhey khayaal me
kissi waqt ki kissi chaal me
terey baad tujh se baddal gya
kahi dur tum see nikal gyaa

mere namaa bar yeh bhi bolnaa
wh shakhs jo teraa habib tha
woh jo had se tere qarib tha
whi be reham whi naarsa
barri berukhi se hai lub kusha

me hu bewafa mjhe bhool ja
mjhe bhool jaa mjhe bhul jaa.....


- yasir_live - 08-16-2010


Yeh Shairi Tu aap ko APnay mobile contacts per Forward karni chaiyay thi ) Filhaal yahan forum per tu Allah k karam say aap ki mohabat main koi mubtula nahi hay.

Regards.


- raza 123 - 08-16-2010

Mehfil e husn

kisi pe husn ka guroor jawani ka nasha,
kisi k dil pe mohobbat ki rawani ka nasha,
kisi ko dekh k saanso se ubharta h nasha,
bina piye hi kabhi had se guzarta h nasha.
nashe me kon nai hai mujhe bata do zara.
kise h hosh mere saamne to lao zara.
nasha h sabme magar rang nashe ka hai juda.
khili khili subah p hai rimjhim ka nasha.
hawa pe khushbu pe sawal pe rimjhim ka nasha.
kahi suroor hai khushiyo ka kahi gam ka nasha.
nasha sharab me hota toh naachti botal.
maikade ghumte paimano me hoti halchal.
nasha hai sabme magar rang nashe ka hai juda.


- Namia Beera - 08-16-2010

hahahaahahaha ap bhi na bhai...


- Namia Beera - 08-16-2010

MARTI HUI ZAMEEN KO BACHAANA PARA MJHE
BADAL KI TARAH DASHT ME ANAA PARA MJHE

WOH KAR NAHI RAHA THA MERI BAAT KA YAQEEN
CHEHREY PE EK ZAKHM LAJANA PARA MJHEY

US AJNABI SE HAATH MILANEY K WASTEY
MEHFIL ME SUB SE HATH MILANA PARA MJHE

YADEIN THI DAFN AISI K BAAD-AZ-FAROKHT BHI
US GHAR KI DEKH BHAAL KO JAANA PARA MJHE

US BEWAFA KI YAAD DILAATA THA BAAR BAAR
KAL AAINEY PE HATH UTHAANA PARA MJHE....


- WARDAH - 08-16-2010

is it ur own?


- Namia Beera - 08-16-2010

NAHI WARDAH BJ.... ME APNI LIKHI HUI POEM SAVE NHI RKHTI... DELETE KAR DETI HU... YA AGAR KISI PAPER PE LIKHI HO TO COMPLETE LIKHNE K BAAD PHAR DETI HU......


- yasir_live - 08-16-2010


Namia.

Matlab itni Kharab Poetry hoti hay k Aap ka khud bhi dil nahi chatha hay Usay perhnay ka ) Tu aap phaar deti ho ) Tumhari poetry main tu Choclaton wagera ki baatain hoti hongi Jesay

Chobiss Ghantay ka din hay Namia
Chobiss Ghantay ka din hay Namia
Kuch Rozay main guzer gya Aur kuch Choclatain kha kar guzra )

Wah Wah Kartay hain Shair perhnay k baad )

Regards.