![]() |
POETRY?? - Printable Version +- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum) +-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general) +--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general-discussion) +--- Thread: POETRY?? (/thread-poetry--1384) |
- n/a5 - 12-26-2004 mani app bhi Muskaratay Raho ) ,,,, udass na hooooo buddy your post is realy so koool ) i like it ) HEART BEATS ( try try again ) - maani - 12-26-2004 Dil ko samander, piar ko lehrain kehta hoon Milna behter, judai ko behtareen kehta hoon Ashk-baar aankhain, Sougwaar yaadoon kay saath Dil pur-malal ho to, chehray per khushi rakho kehta hoon Phool guldaan mai taaza achay lagtay hain Aur dil kay zakhm haray achay, kehta hoon Beech samandar kay yaar ka sahaara he bohat Na-mukammal zindagi say mukammal maut achi hai, kehta hoon Bay-wafaaon ki khatir baar baar maray hain Raahi Ik wafa ki khatir mer ker dekhaiyay kehta hoon Yahi kahani baar baar suni hai akheer tak Ab aap kay samnay ik naya qissa kehta hoon Ace - maani - 12-26-2004 raaz koi bhi ho chupa laitay hain hum; chupanay ka kisi ko bata daitay hain hum, koi sunna na chahay tu koi ghum nahi humay; kubhi akailay main bhi gun gunalaitay hain hum, or jo ger humay koi chup kara day; tu yey baat bhi dil ko sumjhalaitay hain hum, mushkil nahi humaray liay kisi raaz ko chupana; kubhi sun laitay hain kubhi sunadetay hain hum. ab seekh lo sohaib raaz ko raaz rukhna; raaz kubhi kubhi tor detay hain bharam Ace - n/a6 - 12-26-2004 Very Very Nice Shary.... Lets have a funny One. Kaun Kambakht Jeene Ke Liye peeta Hai Kaun Kambakht Ghum Bhulane KJe liye peeta Hai Hum to is liye peeta hai .... kyonke CHEETAH BHI PEETAH HAI. - maani - 12-28-2004 pathar kay mehloon mai matti kay insaan rehtay hain bahar kay mausam mai bhi khizaan ki manind lagtay hain billa sabab jhoti wafaaon kay dam bhernay walay aisay he pathar aksar khuda bantay hain zindagi ujray bagh ki tasveer hui hai jab say hum bhanwroon ki misal phoolon say gham chuntay hain baharoon kay mausam to chand bay wafaoon kay naam ker diye ab beth khizan main hum pachtaawoon say galay miltay hain jinhoon nay apna wajood khud taarikion kay hawalay ker diya tha ab kion gaye waqt per kaif-e-afsoos maltay hain karl logoon nay hamain hujoom-e-gham mai bhi muskuratay dekha hai issi liye ab aankh nam hai to chuptay phirtay hain jo chowdhween ka sama ker dain aa ker mehfil main karl woh chand phir din ki roshni mai rotay hain Ace - maani - 12-28-2004 Pooch Lo tum Bhi Iss Zamaane Se, Pyaar Chhupta Nahin Chhupaane Se. Paas Aate Ho Chhootay ho Baat Karte ho, Kabhi Matlab Se Kabhi Bahaane Se. Pyaar Dil Mein Hai To Laao Zabaan Pe, Aag Badhti Hai Ye Bujhaane Se. Tumhein Na Paana Shaayad Behtar Hai, Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwaane Se. Chalo Ek Dua To Apni Poori Huyee, Mil Liye Apnay Ek Deewaane Se. Roye Jaate ho, Bas Roye Jaate ho, Kya Hoga Ye Dhan Lutaane Se. Karo Koshish K qurbatein Hee Rahein, Dooriyan Badh Jaati Hain Badhaane Se. Kya Sunaayein Kisi Ko Raaz-e-Dil, Dard Bhi Badhta Hai Sunaane Se. Bhool Jaao Kar K Achcha Hai Ehsaan Rehta Nahin Jataane Se Ace - maani - 12-28-2004 shaam hone ko hai shaam hone ko hai sooraj dhalne ko hai mera dil ghabra raha hai kiyon kuch hone ko hai kou bewafa hone ko hai apna koi paraya hone ko hai aisa lagta hai jane kiyoun jaise ghar koi lut jane ko hai koi zakhmi hone ko hai koi qatal hone ko hai yeh mera dil hi hai jo chup hone ko hai koi yeh shahar chodne ko hai koi yaha se kooch karne ko hai yeh main hi hoon ae aamir jo yeh jahan chorne ko hai Ace - maani - 12-29-2004 Jao tum! Theek hai Chali jao Mai nay tumhain bohat sataya hai Mager Tum bhi kissi say kam nahi ho Mai to shehroon ki musafat per tha Aur phir tumharay shehar mai ajnabi tha Ghamoon ka ik pahar tha ser per aur Mera haal ajeeb sa tha Jab jatay huay uss nay mur ker poocha kay "Mai Jaon.....?" Ace - maani - 12-29-2004 Humain Muskarana Ki Adaat See Ho Gyi Hai, Her Ghum Ko Chupana Ki Adat See Ho Gyi Hai, Sahna Nahi Pata Ho Mera Ghum Janti Hoon, Main Inain Apna Daman Main Chupati Hoon, Her Ghum Bhool Jaoon Is Duniya Ka Main, Chupa Lo Ager Humain Apna Daman Main, Ek Dosra Ki Muskrahat Bana Rahain Sada Hum, Her Dukh-o-Ghum Sa Lar Ka Jiuyan Sada Hum, Ace - Huma - 12-29-2004 where are you Humaira and Ophie,, missing you guys here.. thanks for all your posts maani.. and happy writing - n/a6 - 12-29-2004 Funny SMS Shairy Sooraj bana to Badal bane Chaand bana to Sitare bane Husna bana to Parwane bane Zaroor kucch baat hai aap mein .. Unhi to nahi PAGALKHANE bane ! While i will also try to post here some serious shairy but that wont be mine. thanks........ «·´`·.(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*).·´`·» «.......... S w a l a t ..........» «·´`·.(¸.·*(¸.·´ `·.¸)*·.¸).·´`·» - n/a6 - 12-30-2004 Hamara Dil Bhi Hai Kaliyon Ki Tarah ! ! Khila Kam Hai MurJhaaya Bohat Hai ! ! Humey Jisney Bholaya Aksar, ! ! ! ! Wohi Aik Shaakhs Yaad Aya Bohat Hai.... ek yaad hey ke damun-e-dil chorti nahi ek bail hey ke lipti hoi hey shajur ke sath is murhuley ko muat bhi kehtey hain dustoo ik pal main tout jaien jaha umer bhur ke sath muhabbat sitaare jo damakate hain kisi ki chashm-e-hairan mein mulaaqaaten jo hoti hain jamaal-e-abr-o-baaran mein ye na abaad vaqton mein dil-e-naashaad me.n hogi muhabbat ab nahin hogii ye kuchh din baad mein hogi guzar jaaynge jab ye din ye un kii yaad mein hogi «·´`·.(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*).·´`·» «.......... S w a l a t ..........» «·´`·.(¸.·*(¸.·´ `·.¸)*·.¸).·´`·» - ophie - 12-30-2004 Maam Huma .......... check your hotmail account - maani - 12-30-2004 meri zindagi aik kushk sehra ki turha thee, tumnay isper maiy bun ker bersi ho or isko ujala dia. jub tum dor hojati ho tu aisa lugta hay k saray tofano nay gher rukha hay, mujh say dor na hona; mujh say dor na hona, k dori k din bardasht nahi , her mulaqat k baad aik mulaqat aur , kyuon k koi mulaqat akhri mulaqat nahi. zindagi bher rehna tum saath meray savera bun ker, k her undhera dhul jaiy ga mera teri roshnion say Ace - maani - 12-30-2004 kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee, mager us din bohot daer ho jai gee , tum milna chaho gee mager mujh ko daekh na pawo gee, tum dhoondo gee mujhe mager daekh na pawo gee, tum tarpo gee meri yaad me or aansoo bahawo gee. mujhe daekhe bina ik pal bhe na reh pawo gee. meri yaad me tum gum sum ho jawo gee, khud apni gali ka pata bhe bhool jawo gee, mere tasauwur me tum aise kho jawo gee , koi pukare ga tum meri hi bataen dohrawo gee, or me door khra teri bechen ko daekhta rahoon ga, or tum kuch pal ke liye mujh se khafa ho jawo gee, or me teri bikhri zulfoon ko sunwaroon ga, or tum sharma kar mere gale se lag jawo gee,, or phir jab tum rooth kar kaheen door chali jawo gee, us din me phir tum se yahee baat kahoon ga, kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee , me tum hare bot kareeb hoon , Ace |