Accountancy Forum
POETRY?? - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: POETRY?? (/showthread.php?tid=1384)

Pages: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30 31 32


- maani - 12-30-2004

Ret par likh ke meraa naam miTaayaa na karo
aankhein sach bolati hain pyaar chupaaya na karo
log har baat kaa afsaana banaa lete hain
sab ko haalaat kii rudaad sunaayaa na karo
ye zaruuri nahin har shaKhs masiihaa hii ho
pyaar ke zaKhm amaanat hain dikhaayaa na karo
shahar-e-ehasaas mein pattharaav bahut hain 'Mohsin'
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaayaa na karo

Ace


- maani - 12-30-2004

Mujhay bas itna kehna hai
Kabhi main yaad aaoon to
Kabhi tanhai ki raatain
Tumhain ziada sataein to
Kabhi titli na bolay to
Aur jugnoo lout jaye to
Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sunn na paye to
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jaaein to
Kabhi jab khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jao
Kabhi chahtay huay bhi khud akelay
Ro na paao to
Apni aankhon ko band karna
Mujhay aawaz de dena
Aur phir meray tasawwur se
Jo chaho batain keh dena
Meray kaandhay pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab loat jao to
Us he duniya chalay jana
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
Hamain dil se pukaro gay
Hamain tum saath pao gay

Ace


- maani - 12-30-2004

Aik tehzeeb hai dosti ki
Aik mayar hai doshmani ka
dosto ne murawat na sikhi
Doshmano ko adawat to aye~

Ace


- n/a6 - 12-31-2004

achchi haasya kavita


Ek Anokhi Mulakaat
Dekh kar uska sundar mukhda,
Naach uTha man kaa mayur,
Wah bhii hans kar pyar se boli,
“Kyon baiTHe ho itnii door?
Aaaiye, idhar aa jaaiye,
aaraam se baith jaaiye”.

Haule haule kadam badhata,
pahunch gaya maiN uske paas,
Uskii neeli ankhoN meiN,
dhoonDh raha tha koi aas.

“Jab bhii aate ho,
tum itna ghabrate ho,
Karke oopar pair,
Late kyon nahiN jaate ho”

Na weh boli,
Na maiN bola,
Usne kiya isharaa,
Maine apna munh khola.

Mere oopar jhuk kar phir weh,
Lagi jhaank_ne mere munh maiN,
Kya bat_laa_ooN kaise toofaaN,
Daud rahe they mere man meiN.

Halki sii muskaan khila kar,
boli, “sab kuchh bigad gaya hai.
Peechhe se teesra to bilkul hii sa.D gaya hai.”

Bas isi baat ka dar tha mujhko,
Socha, “Beta, ho gaya kaam”.
Wah phir bhii muskaati boli,
“Aa jaayega tumheN aaraam.”

“Daant tumhara nikal jaayega,
dard bhii saara mi_T jaayega.
Mere paas aa gaye ho to,
Har sankat ab kat jaayega”.

Bholi soorat, sundar kaya,
man se kaisi zaalim nikli.
Dard ka maara aaya tha maiN,
Yeh to daant kii dushman nikli.

Uske auzaroN se darta,
“Aah” “ooh” karta karta,
Daant nikalwana hii pa.Da,
marta aakhir kya na karta.

Uske gaal haath par chhoote,
sihran tan-man meiN ho jaatii,
Mujhko ek dilaasaa deti,
Weh meethey se muskaati.

Daant dard ka maara hooN,
Aur dentist ka bhii maara,
Uske roop aur yau_van par,
dil bhii haara, daant bhii haara.

Wah phir boli,
“Ab to hans do, dard mitega,
Waqt tumhara badal gaya hai,
Jisne tumheN sataaya tha,
weh daant tumhara nikal gaya hai”.


Kaise usse bat_ata maiN,
Kaisa usne kehar tha DHaya,
Daant mera dukhta thaa baanyaaN,
Kheench nikaala usne daayaaN.



«·´`·.(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*).·´`·»
«.......... S w a l a t ..........»
«·´`·.(¸.·*(¸.·´ `·.¸)*·.¸).·´`·»





- maani - 12-31-2004

kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee,
mager us din bohot daer ho jai gee ,
tum milna chaho gee mager mujh ko daekh na pawo gee,
tum dhoondo gee mujhe mager daekh na pawo gee,
tum tarpo gee meri yaad me or aansoo bahawo gee.
mujhe daekhe bina ik pal bhe na reh pawo gee.
meri yaad me tum gum sum ho jawo gee,
khud apni gali ka pata bhe bhool jawo gee,
mere tasauwur me tum aise kho jawo gee ,
koi pukare ga tum meri hi bataen dohrawo gee,
or me door khra teri bechen ko daekhta rahoon ga,
or tum kuch pal ke liye mujh se khafa ho jawo gee,
or me teri bikhri zulfoon ko sunwaroon ga,
or tum sharma kar mere gale se lag jawo gee,,
or phir jab tum rooth kar kaheen door chali jawo gee,
us din me phir tum se yahee baat kahoon ga,
kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee ,
me tum hare bot kareeb hoon ,


Ace


- maani - 12-31-2004

Niyaat e shauq bhar na jaye khahi
Tu bhi dil say uther na jaye khahi
Ajj dhekha hai tujh ko dear ke baad
Ajj ka din guzar na jaye khahi
Na mila ker udaas logoo say
Husan tera bikher na jaye khahi
Arzoo hai ke tuu yahan aye
Aur phir umer bherna jaye khahi
Aoo kucch deear roo hi lea nasir
Phir yhe derya uthre na jayee khahi

Ace


- maani - 12-31-2004

Isi tarah se har aik zakhm khushnuma dekhe
Woh aye tou mujhe ab bhi hara bhara dekhe

Guzargaye hain bohat din rifaqat shab main
Aik omar hogayi chehrah woh sa dekhe

Mere Sakoot se Jis Ko Giley Rahe Kia kia
Bicharte Waqt In Aankhon Ka Bolna Dekhe

Tere Siwa Bhi Kayi Rang Khushi nazar thai magar
Jo tujhe ko dekh chuka hou aur kia dekhe

Bas aik ret ka zarra bacha tha aankhon main
Abhi talak jo musafir ka rasta dekhey

Usi se pooche koi dasht ki rifaqat jo
Jab Ankh kholo paharon ka silsila dekhe

Tujhe aziz tha aur maine usko jeet lia
Meri taraf bhi tou aik pal tera khuda dekhe



Ace


- n/a6 - 12-31-2004

Ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
Aa phir se mujhe chhopr ke jaane ke liye aa

Pahale se maraasim na sahii phir bhii kabhii to
Rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa

Kis kis ko bataayein gey judaaii kaa sabab ham
Tuu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa

Kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
Tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa

Ek umr se houn lazzat-e-giriyaa se bhii maharuum
Ai raahat-e-jaa.n mujh ko rulaane ke liye aa

Ab tak dil-e-Khush_faham ko tujh se hai.n ummiidein
Ye aaKhirii shammein bhii bujhaane ke liye aa

«·´`·.(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*).·´`·»
«.......... S w a l a t ..........»
«·´`·.(¸.·*(¸.·´ `·.¸)*·.¸).·´`·»





- maani - 12-31-2004

Samander Poochta Hai Ab Wo Dono Kiyu Nahi Attey
Wohi Donno Jo Bhegi Reet Per
Ek Dosarey Ka Haath Thammay Duur Taak
Kabhi Hansttey,Kabhi Kuch Gungunattey
Ya Kabhi Chup Chap Bhittey Duur Ufaq Ki Goodh May
Ropposh Honay Walla Sooraj Dekhttey
Ansoo Bhahattey Loat Jattey!
Samander Poochta Hai Ab Wo Donno Kiyu Nahi Attey
Jo Attey Thay To Apnay Saath Kitnay Khwab Lattey Thay
Kabhi Sahi Say Dehairoo Seepiyaa Chunttey Thay
Nangay Paoo Pani May Challey Attey Thay
Bhegi Reet Say Nannay Gharondhay Bhi Banattey Thay
Aur Unmay Seepiya,Rangeen Say Kuch Sangreezay Yu Sajattey Thay
Kay Jaisay Aj Kay Jugnoosay Lamhay
Anay Walley Kal Ki Moothhi May Chupattey Thay!
Samander Poochta Hai Ab Wo Donno Kiyu Nahi Attey
Mager Samander Nay Khiza Ki Siskiya Laiti Hoee
Ek Shaam Ko Wo Nojawanno Ko Nahi Dekha
Jo Dair Taak Tanha Sarey Sahil Raha Bhaitta
Phir Ussnay Dair Sarey Khaat
Buhut Say Phool Sookay Aur Tasveeray
Aur Apnay Akhri Ansoo
Samander Kay Hawalley Kerdiyey..

Ace


- maani - 12-31-2004

Shararat.......

us ney poocha
haath ki reeykhaoon per wishwas hai tumhara?
mein ney kaha bus thoda thoda
woh bola,
dekhlana tu tehreer hai kya haathoon pey tumharey
mein ney kaha choro jaaaney do,
kya rakha hai in baatoon mein
us ney jab israar kiya tu,
mein ney muthee khol dekhai
us ney haath ko thaama,,,dekha aur yeh bola
cross buhut hain zayada is per
waisay qismat buri nahi hai
haath chura ker mein yeh boli,,,
such kehtey hoo,, yun hi ho ga
tab woh aahista sa bola
such poocho tu, mein ney sab jhoot kaha hai
qismat k is ellam sey mein bhi nawaqif hoon
mein ney tu bus haaath tumhara chhona chaha

Ace


- maani - 12-31-2004

apne haatho se u chehre ko chupate q ho,
mujh se sharmate ho tou saamne atay q ho...

tum kabhi mere tarha kar bhi lo ikraar-e-wafa,
pyar karte ho tou phir pyar chupate q ho...

ashq aankho mei mere dekh k rote q ho,
dil bhar aata hai to phir dil ko dukhate q ho...

in se vaabasta hai jab mera muqadar phir tum,
mere shano se ye zulf hatatay q ho...

roz mar mar k mujhe jeenay ko kehte q ho,
milne aatay ho to phir laut k jatay q ho...

apne haatho se u chehre ko chupate q ho,
mujh se sharmate ho tou saamne atay q ho...


Ace


- n/a6 - 12-31-2004

Road to Destination

"Chaha Tha Unhe Hale Dil Sunana,
Chaha Tha Unhe Junoone Mohhabatt Dikhana,
Nasme Laye The Hum Dil Kured Kured Kar,
Per Alfaaz Bhi Chale Gaye Unhe Dekh Kar"


Road to Destination

Har ek paaon mujhe Raundete huye guzre,
Na jaane kaun si manzil ka rasta hoon main.




«·´`·.(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*).·´`·»
«.......... S w a l a t ..........»
«·´`·.(¸.·*(¸.·´ `·.¸)*·.¸).·´`·»





- maani - 12-31-2004

Mujay,
Tum say bichray huay
Halan kay,
Ek mudaat hue
Magar ajj bhi tum sansoo main
Shamill ho
Maray dard ke
Mare tanhaye ke
Wahid rafeeq
Tumhare tasweer
Keh,
main nay
Ghamo main yadoo main
Jaltay huay
Apnay silghtay huay hath
Jaab bhi
Tumhare tasweer per rakhay
Ek pur sakoon se thandak
Mare Ruh main
Uther ti chali gae.


Ace


- maani - 12-31-2004

Tum meri Aankh ke Tewar na bhula PaoGi...
Unkahi Baat ko samJhoGi To Yaad aaonGa...
Hum ne KhushYon ki tarah Dukh bhi ikathe Dekhe...
Safha-e-Zeest ko PaltoGi To Yaad aaonGa...
Iz Judai men to Ander se Bikhar JaoGi...
Kisi Ma'zoor ko daiKhoGi To Yaad aaonGa...
Iz Andaz men hoti then MuKhatib muJh se...
Khat kiSi Aur ko LiKhoGi To Yaad aaonGa...
Meri KhuShboo tumhen KhuleGi Gulab0n ki Tarha...
Tum aGer Khud se Na BoloGi To Yaad aaonGa...
Sard Raaton ke Mehekte hoYe Sunnaton men...
Jab kiSi Phool ko ChoomoGi To Yaad aaonGa...
AaJ to Mehfil-e-Yaaran Pe ho MaGroor Buhat...
Jab kabhi Toot ke BikhroGi To Yaad aonGa...
Ab to Yeh Ashk men Honton se Chura leta h0n...
Hath se Khud Inhen PonchoGi To Yaad aonGa...
Shawl PehnaYeGa Kon Ab DeCember men Tumhen...
Baarish0n men Kabhi BheeGoGi To Yaad aoonGa...
Hadse aYenGe Jeewan main To Tum ho ke Nidhaal...
Kisi Deewar ko ThaamoGi To Yaad aoonGa...
Iz men Shamil hai Mere Bakht ki Tareeki bhi...
Tum SiYah RanG Jo PehnoGi To Yaad aoonGa...

Ace


- maani - 12-31-2004

Dhal GaYa Aaftab Ae SaaQi
Laa Pila De Sharaab Ae SaaQi!!
Ya Surahi LaGa Mere M0n Se
Ya Ulat De NaQab Ae SaaQi!!
Maikada Chor Kar Kahan Jaon
Hai Zamana Kharab Ae SaaQi!!
Jaam Bhar De Gunnah Garon Ke
Ye Bhi Hai Ik Sawab Ae SaaQi!!
AaJ Peene De Aur Peene De
Kal KarenGe Hisaab Ae SaaQi!!



Ace