Accountancy Forum
POETRY?? - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: POETRY?? (/showthread.php?tid=1384)

Pages: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30 31 32


- maani - 12-31-2004

Daaim Para Hon Tere Dar Par Nahi Hon Men...
Khak Aisi ZindaGi Pe Ke Pathar Naheen Hon Men
Kyun Gardesh-e-Madaam Se Ghabra Na Jaye Dil.....
Insaan houn Payaala-o-Saagar Naheen Hon Men
Yaa Rab Zamana MuJhe Mitata Hai Kiz LiYe...
Loh-e-Jahaan Par Harf-e-MuQarrar Naheen Hon Men
Had Chahe Saza Men Aqoobat Ke Waaste....
Akhir Gunh-e-Ghaar Hon Kaafir Naheen Hon Men

Ace


- maani - 01-01-2005

Unka humse milna pal do pal ka hasna
unka humse juda hona aur umar bhar ka rona,
unka hame gale lagana aur phir kehna ho jaye ab juda,
unka hasna unki battain kyon is jahhan se juda??
unka hame betabi se milna aur phir muskrana,
unka har baar me gazab karna aur hamara bas unpe marr jana??
unka humse battaain karna aur apna hak jatana,
unka hame khilona samajhkar har bar tor jana??
apne dil ko yuuN samjhaana tha, hum intezaar karte rahe
waada kiyaa tha nibhaana tha, hum intezaar karte rahe
apni khalish mitaane ke liye jazbaat hamaare tarpaa gaye
unki khaatir muskuraana tha, hum intezaar karte rahe
unhone kiya haal-e-dil beyaan, hazaar zakhm mehak uthe
unko haal-e-dil sunaana tha, hum intezaar karte rahe
Unka humse milna pal do pal ka hasna
unka humse juda hona aur umar bhar ka rona.


Ace


- maani - 01-01-2005

Gum Apni Mohabbat Main Dono,
Nayab Ho Tum Nayab Hain Hum
Kya Hum Ko Khuli Aankhein Dekhein ,
Ek Khawab Ho Tum Ek Khawab Hain Hum
Kya Mehsher Khaiz Judai Hai ,
Kya Visl Qayamat Ka Ho Ga
Jazbat Ka Ek Sailab Ho Tum
Jazbat Ka Ek Sailab Hain Hum
Ek Huns Purani Yadoon Ka
Betha Hua Kanker Chunta Hai
Tapti Hui Hijr Ki Ghairyoon Main
Sookha Hua Ek Talab Hain Hum
Ek Waqat-E-Talatum Khaiz Hain Hum ,
Gerdish Main Tumhay Bhi Lay Lein Gay
Is Waqat Na Tair Aay Kishti-E-Dil
Is Waqat To Khud Girdaab Hain Hum
Aay Chasham-E-Falak Aay Chasham-E-Zameen !
Hum Loog to Phir Aanay Kay Nahin
Do Chaar Gharee Ka Sapna Hain ,
Do Chaar Gharee Ka Khawab Hain Hum

Ace


- maani - 01-01-2005

Gum Apni Mohabbat Main Dono,
Nayab Ho Tum Nayab Hain Hum
Kya Hum Ko Khuli Aankhein Dekhein ,
Ek Khawab Ho Tum Ek Khawab Hain Hum
Kya Mehsher Khaiz Judai Hai ,
Kya Visl Qayamat Ka Ho Ga
Jazbat Ka Ek Sailab Ho Tum
Jazbat Ka Ek Sailab Hain Hum
Ek Huns Purani Yadoon Ka
Betha Hua Kanker Chunta Hai
Tapti Hui Hijr Ki Ghairyoon Main
Sookha Hua Ek Talab Hain Hum
Ek Waqat-E-Talatum Khaiz Hain Hum ,
Gerdish Main Tumhay Bhi Lay Lein Gay
Is Waqat Na Tair Aay Kishti-E-Dil
Is Waqat To Khud Girdaab Hain Hum
Aay Chasham-E-Falak Aay Chasham-E-Zameen !
Hum Loog to Phir Aanay Kay Nahin
Do Chaar Gharee Ka Sapna Hain ,
Do Chaar Gharee Ka Khawab Hain Hum

Ace


- maani - 01-01-2005

Dil ko samander, piar ko lehrain kehta hoon
Milna behter, judai ko behtareen kehta hoon
Ashk-baar aankhain, Sougwaar yaadoon kay saath
Dil pur-malal ho to, chehray per khushi rakho kehta hoon
Phool guldaan mai taaza achay lagtay hain
Aur dil kay zakhm haray achay, kehta hoon
Beech samandar kay yaar ka sahaara he bohat
Na-mukammal zindagi say mukammal maut achi hai, kehta hoon
Bay-wafaaon ki khatir baar baar maray hain
Raahi Ik wafa ki khatir mer ker dekhaiyay kehta hoon
Yahi kahani baar baar suni hai akheer tak
Ab aap kay samnay ik naya qissa kehta hoon

Ace


- maani - 01-01-2005

Dil ko samander, piar ko lehrain kehta hoon
Milna behter, judai ko behtareen kehta hoon
Ashk-baar aankhain, Sougwaar yaadoon kay saath
Dil pur-malal ho to, chehray per khushi rakho kehta hoon
Phool guldaan mai taaza achay lagtay hain
Aur dil kay zakhm haray achay, kehta hoon
Beech samandar kay yaar ka sahaara he bohat
Na-mukammal zindagi say mukammal maut achi hai, kehta hoon
Bay-wafaaon ki khatir baar baar maray hain
Raahi Ik wafa ki khatir mer ker dekhaiyay kehta hoon
Yahi kahani baar baar suni hai akheer tak
Ab aap kay samnay ik naya qissa kehta hoon

Ace


- maani - 01-01-2005

Dil ko samander, piar ko lehrain kehta hoon
Milna behter, judai ko behtareen kehta hoon
Ashk-baar aankhain, Sougwaar yaadoon kay saath
Dil pur-malal ho to, chehray per khushi rakho kehta hoon
Phool guldaan mai taaza achay lagtay hain
Aur dil kay zakhm haray achay, kehta hoon
Beech samandar kay yaar ka sahaara he bohat
Na-mukammal zindagi say mukammal maut achi hai, kehta hoon
Bay-wafaaon ki khatir baar baar maray hain
Raahi Ik wafa ki khatir mer ker dekhaiyay kehta hoon
Yahi kahani baar baar suni hai akheer tak
Ab aap kay samnay ik naya qissa kehta hoon

Ace


- maani - 01-01-2005

Qismat meri jiss qelam say likhi gai thi
Woh qelam aaj tak noha ger hai jaanta hoon main
Jo mera tha woh mujhey na mil saka
Kion? yeh baat bhi janta hoon mai
Tum aye meri zindagi mai, aa ker chalay gaye
Kaisay? Yeh baat bhi jaanta hoon mai
Ab to ghum-e-janan hai zindagi kay saath
Maut ayi to isska saath bhi choutay ga, janta hoon mai
Ab ask bahana chour diye hain mai nay
Yeh ghum bhi sab tumharay hain jaanta hoon mai
Milna, bicherna, terapna aur sissakna
Yeh sab baab piar kay hain janta hoon mai

Ace


- n/a6 - 01-01-2005

Na shikaayatein na gilaa kare
koii aisaa shakhs huaa kare
jo mere liye hii sajaa kare
mujh hii se baatein kiyaa kare

kabhii roye jaaye vo bepanaah
kabhii betahaashaa udaas ho
kabhii chupake chupake dabe qadam
mere piichhe aa kar hansaa kare


merii qurbatein merii chaahatein
koii yaad kare qadam qadam
main taviil safar mein huun agar
merii vaapasii kii duaa kare


«·´`·.(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*).·´`·»
«.......... S w a l a t ..........»
«·´`·.(¸.·*(¸.·´ `·.¸)*·.¸).·´`·»





- n/a5 - 01-01-2005

Jo muddat se hota aaya hai,
woh repeat kar doonga...
Tu naa mili to apni zindagi
ctrl+alt+delete kar doonga...

Shayad mere pyar ko
taste karna bhool gaye...
Dil sey aisa cut kiya
ke paste karna bhool gaye...

Laakhon honge nigaah mein
kabhi mujhe bhi pick karo...
Mere pyaar ke icon pe
kabhi to double-click karo...

Roz subha hum karte hain
pyar se unhe good morning...
Woh aise ghoor ke dekte hain
jaise 0 errors aur 5 warning...

HEART BEATS ( try try again )


- n/a5 - 01-01-2005

Aisa bhi nahin hai ke
I don't like your face.
Par dil ke storage mein
no more disk space.

Ghar se jab tum nikale
pehen ke reshmi gown.
Jaane kitne dilon ka
ho gaya server down.

Jabse meri zindagi mein,
aayi hai ik female.
Bhool gaya hai sab kuchh
kya mailbox, kya e-mail.


HEART BEATS ( try try again )


- n/a5 - 01-01-2005

Dil se ek ishq ki
application create kar raha hoon.
Pyaar se debug karna
mein wait kar raha hoon.

Tumhaare intezaar mein
neend aayee so gaya.
Yeh dekho mera connection
time out ho gaya..

Nazar mein to kai hain
aur shaayad lonely hain...
Problem yehi hai ki voh
ab read only hain..

)

HEART BEATS ( try try again )


- n/a6 - 01-01-2005

<BLOCKQUOTE id=quote><font size=1 face="Verdana, Tahoma, Arial" id=quote>quote<hr height=1 noshade id=quote>
Dil se ek ishq ki
application create kar raha hoon.
Pyaar se debug karna
mein wait kar raha hoon.

Tumhaare intezaar mein
neend aayee so gaya.
Yeh dekho mera connection
time out ho gaya..

Nazar mein to kai hain
aur shaayad lonely hain...
Problem yehi hai ki voh
ab read only hain..

)

HEART BEATS ( try try again )
<hr height=1 noshade id=quote></BLOCKQUOTE id=quote></font id=quote><font face="Verdana, Tahoma, Arial" size=2 id=quote>

Holla

a nice Computerized poetry......

«·´`·.(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*).·´`·»
«.......... S w a l a t ..........»
«·´`·.(¸.·*(¸.·´ `·.¸)*·.¸).·´`·»





- n/a5 - 01-01-2005

hola ,, como eastas? P [)
do u know spainsh?


HEART BEATS ( try try again )


- n/a5 - 01-01-2005

Gunghat Mein Tujhe Dekha To Deewanna Hua,
Sangeet Ka Taraana Hua,
Shamaa Ka Parwana Hua,
Masti Ka mastaana Hua,
Jaise Hi Gunghat Uthaya Is Duniya Se Ravana Hua


HEART BEATS ( try try again )