Accountancy Forum
POETRY?? - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: POETRY?? (/showthread.php?tid=1384)

Pages: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30 31 32


- Humaira - 09-08-2005

AOA

Sorry i was not here becoz i was out of station.now i am back.next word is "Y" ....here is the sher..


"yeh tumhari telkh nawaziyaan koi aur seh kay dikha to day
yeh jo hum main tum main nibhah hai meray hoslay ka kamal hai"
and next word is again "Y"...
Allah hafiz n take care.



- shahhh - 09-12-2005

HI HUMA .....
U STARTED A NICE DESCUSSION HERE .................GO ONNN...
I LIKE POETRY BUT I THINK THERE R MANY PERSON WHO R REALLY FOND
OF THIS THING ...I APPRECIATE ALL OF ONE WHO R THERE AND ALSO U ..
UR ONE VERSE IS REALLY FANATIC ...WHIC IS TAT
HUM BHI KYA AJAB HAIN KAY KARI DHOOP KAY TALAY
SEHRA KHARID LAYE HAIN BARSAT BAICH KAR
REALLY APP KAI BOAT DEEPZ THOUGTH HAIN..INTERESTING ....KEEP IT UP
MAI KOI VERSE YAHAN NAI DAI SAKOON GA ,,,,BUT ASAI ACHHI VERSE
ZAROOR PAROON GA SAB LOGON KI AUR YUR ALSO ...NICE HUMA



syedi


- Humaira - 09-12-2005

AOA[)]
so the next word was "R"


Raaz waloon say bhi raaz ki na keh
Raaz khultay hain raazdaroon say

the next word is "Y"
Allah Hafiz.
Remember Me In Ur Prayers.[)]


- ibrishah - 09-13-2005

rahai na hum on kai pass na wo humarai huwai
is dinya mai sab humarai liya baighanai howai
tota tha wo bandhan yai hum b mantai hai
kiya howa jo zindaghi mai wo humrai na howai

Ibri


- ibrishah - 09-13-2005

sorry i thought the next word is R actualy that was Y i saw that later

Yai hum hai kai ab tak wafa kar rahai
tora hai tum to rishtai barsoo pihlai
humai na khushi hai na app ko ghum
is dunyai app mazai mai hum satayai hai

Ibri


- Humaira - 09-13-2005

AOA[)]


yuoon hi to shakh say patay gira nahi kertay
bicher kay log ziyada jiya nahi kertay

jo aanay walay hain mosam inhain shumar main rakh
jo din guzar gay in ko gina nahi kertay

na daikha jan kay is nay koi sabab ho ga
isi khayaal say hum dil bura nahi kertay

woh mil gaya hai to kiya qisa-e-faraq kahain
khushi kay lamhoon ko yuoon bay maza nahi kertay

nashat-e-qurb ' gam-e-hijraan kay eewaz mat mang
dua kay naam pay yuoon baddua nahi kertay

munafqat pay jihain ikhtayaar hasil hai
woh arz kertay hain tujh say gila nahi kertay

Allah hafiz[)]
REMEMBER ME IN UR PRAYERS[)]


" NOthing in this world can compansate for the loss of self-respect,nobleness of mind and self-honour "


- ibrishah - 09-13-2005

Mai khud pai jabar karoongha tujai bola dongha
maraongha khud b tujhai b kari saza dongha

wafa karoongha kisi sooghwar chehrai sai
porani qabar pai katba naya saja doongha


issi khayal sai ghuzri hai sham-e- dard aksar
kai dard had sai ghuzar jayai to muskora dongha

to asman ki sorat hai ghir paraigha kabhi
zamin mai ho magar tujh ko abroo doongha

Bara rahi hai mari dokh nishaniyan teri
mai teri khat teri tasweer tak jaladongha

Baohot dino sai dil bara udas hai ......
iss ayinai ko koi aks ab naya doongha

I have read this Ghazal some 5 years back when i was student of Matric.May be there some mistakes please forgive and correct the errors if any.APOLOGY from the POET. Thanks


Ibri


- ibrishah - 09-13-2005

"Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay "



Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay

Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay

Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya

Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay

Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain

Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay

Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua

Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay

Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh

Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay

Koi To Baat Hia Us Main Faiz

Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay ...


Ibri


- Humaira - 09-13-2005

AOA[)]

younhi mausam ki ada daikh kay yaad aya
kis qadar jald badal jatay hain isaan jana.


The next word is "A"
Allah Hafiz n Take Care.
Remember Me In Ur Prayers.[)]

" NOthing in this world can compansate for the loss of self-respect,nobleness of mind and self-honour "


- geelani - 09-14-2005

Hi

i dont involve too much in poetry but i dont forget one " sher" of Iqbal
Izat mohabat ki he qaim hijab-e-mohmil se
mohmil jo gaya izat bhi gayi gharat bhi gayi laila bhi gai


Naeem


- Humaira - 09-14-2005

AOA

how r u all ok the next word was "y"

"Yaad reh jain gi baybakiyaan
Nafs to raam ho hi jay ga
Ay raza her kaam ka ek waqt hai
Dil ko bhi araam ho hi jay ga"
next word is 'A'
Allah hafiz n take care.
REMEMBER ME IN UR PRAYERS

" NOthing in this world can compansate for the loss of self-respect,nobleness of mind and self-honour "


- pinky - 09-15-2005

<blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Tahoma, Arial" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by Ehrar_ACMA</i>
<br />hi Dear Friends

Yes I do like Parveen Shakir(Late) , Faraz & Galib & few others..
Waqar U r correct it is Galib's share...

Ok lets start

* Ah ko chahiyee ik Umer aser honay tak
Koon Jeeta hay Teri zulf ke ser honay Tak (By Galib)

Yes when ever we talk about "khusboo" we remeber Parveen Shakir
It is title gazal of his book "Khusboo"


* Koba Koba Phail Gaye Baat Shanasayee ki
Us ne Khushboo ki tarah meri Pazeeraye ki

Kaisay keh doon ke mujhay Choorhdiya us ne
Baat to such hay mager baat hay Ruswayee ki

Regards







Kh. Ehrar Ul Hasan
APA,ACMA,CIA(Usa),MA(Eco),CIMA(Inter),IBP-Stage-I (Only Sky is the limit.$$$.....
<hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote">


- Humaira - 09-15-2005

AOA[)]
Aisi koi duniya nahi aflak kay nichay
bay maarka haath aay jahan takhta-e-jam-o-kay"
Allama Iqbal
Allah hafiz

" NOthing in this world can compansate for the loss of self-respect,nobleness of mind and self-honour "


- ibrishah - 09-25-2005

Waqt yo b kut jayaigha aghar na milai hum
yai tasawoor b mahal hai o marai jane man
kaha teri wo khubsorat adayai kaha koi aur!
shaid yai dastoor hai milai kai app ko hum

Ibri


- ibrishah - 09-25-2005

Jo utar key ziinaa-e-shaam sey terii chashm-e-Khush mein samaa gaye
Wohii jalate bujhate sey mahar-o-maah merey baam-o-dar ko sajaa gaye

Yeh ajiib khel hai ishq kaa main ney aap dekhaa yeh moajezaa
Woh jo lafz merey gumaan mein thy Woh terii zubaan par aa gaye

Woh jo giit tum ney sunaa nahiien merii umer bhar kaa riyaaz thaa
Merey dard kii thii daastaan jisey tum hansii mein uraaa gaye

Woh charaaG-e-jaan kabhii jis kii lau na kisii havaa sey niguun hueii
Terii bevafaaei key vaasavaay usey chupake chupake bujhaa gaye

Woh thaa chaand shaam-e-visaal kaa key thaa ruup tere jamaal kaa
Merii ruuh sey merii aankh tak kisii raushanii mein nahaa gaye

Yeh jo bandagaan-e-niyaaz hai yeh tamaam hai woh lashkarii
Jinhein zindagii ney amaan na dii to terey huzuur mein aa gaye

Terii beruKhii key dayaar mein main hawaa ke saath hawaa huvaa
Terey aaiine kii talaash mein merey Khwaab cheharaa ganwaa gaye

Terey Waasavaaon key fishar mein teraa sharar-e-rang ujar gayaa
Merii Khwaahishon key Gubaar mein merey maah-o-saal-e-vafaa gayey

Woj ajiib phuul sey lafz thy terey honTh jin sey mahak uThy
Merey dasht-e-Khvaab mein duur tak koeii baaG jaisey lagaa gaye

Merii umr sey naa simaT sake merey dill mein itaney sawaal thy
Tere paas jitaney jawaab thy terii ek nigaah mein aaa gaye


Ibri