Accountancy Forum
POETRY?? - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: POETRY?? (/showthread.php?tid=1384)

Pages: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30 31 32


- Mahtab - 04-20-2006

Edit


- Mahtab - 04-20-2006

Haath Choote Bhi To Rishtey Nahi Choora Karte..
Waqt Ki Shakh Se Lamhein Nahi Toda Karte..

Jiski Awaaz Mein Silwat Ho NigahoN Mei Shikan..
Aisi Tasvir Ke Tukre Nahi Jora Karte..

Shahad Jeene Ka Mila Karta Hai Thora Thora..
Jaane WaaloN Ke Liye Dil Nahi Tora Karte..

Lagke Sahil Se Jo Behta Hai Usse Behne Do..
Aise Dariya Ka Kabhi Rukh Nahi Moda Karte..


- Mahtab - 04-20-2006

Mere Jaise Ban Jao Ge jab ishq tumhein ho jaaye gaa
diivaroon se sar Takaraaoge jab ishq tumhein ho jaaye gaa

har baat gavaaraa kar loge mannat bhii utaaraa kar loge
taveezein bhii bandhavaao ge jab ishq tumnhein ho jaaye gaa

tanhaii ke jhuule khuuleinge har baat puraanii bhuleinge
aaiine se tum ghabaraao ge jab ishq tumhein ho jaaye gaa

jab suuraj bhii kho jaaye gaa aur chaand kahiin so jaaye gaa
tum bhii ghar der se aaoge jab ishq tumhein ho jaaye gaa

bechainii bard jaayegii aur yaad kisii kii aayegii
tum merii Ghazlein gaaoge jab ishq tumhein ho jaaye gaa

This one is my most favourite


- Mahtab - 04-20-2006

Kaun Kahata Hai Mohabbat Ki Zubaan Hoti Hai,
Ye Haqiqat To Nigaahon Se Bayaan Hoti Hai,

Vo Na Aaye To Sataati Hai Khalish Si Dil Ko,
Vo Jo Aaye To Khalish Aur Javaan Hoti Hai,

Ruuh Ko Shaad Kare Dil Ko Jo Puranuur Kare,
Har Nazaare Mein Ye Tanviir Kahaan Hotii Hai,

Zabt-e-sailaab-e-mohabbat Ko Kahaan Tak Roke,
Dil Mein Jo Baat Ho Aankhon Se Ayaan Hoti Hai,

Zindagi Ek Sulagati Si Chitaa Hai "sahir",
Sholaa Banti Hai Na Ye Bhuj Ke Dhuaan Hotii Hai






- Mahtab - 04-20-2006

judaee kay lamhay guzar rahey hain aahista aahista
hum waapis zindagi basar ker rahe hain ahista ahista
log achay lag rahe hain phir se aahista aahista
lekinn ab un ki yaad aahee jati hai aahista aahista

mujhye bhee khush rehney kaa haq hai poora poora
lekinn phir bhee us ne kya mujhey ghamgeen aahista aahista
woh tou hamein aasani shayad bhulaa bethey hain
lekinn itna yaqeen hamein bhee hai kay
unhein bhee hum yad atay hongey aahista aahista

ab khushee ka ehsaas hamein bhee hota hia lekinn jald hee
dil kuchh lamhay kay liye bhar jata hai aahista aahista
itna sangdil hum thhay pehley kay bhula dete thhay aram se
phir usse bhulana kyun mushkil ho raha hai pata naheen
shayad woh hamari zindagee mein aye tou achanak
lekinn jayeingee un ki yadein aahista aahista

humein tou un ki yaad aa hee rahi hai lekinn
dua hai kay woh hamein bhulaa sakein agar chahein tou
magar forenn naheen aahista aahista
hum unhein zindagee mein basa leinge ab bhee ger woh aye tou
magar un per pehley jaisaa bharosa qaim hoga aahista aahista

woh waapis aatay lagtay naheen hamein
phir dua hai kay khuda se kay ......
hamein un ki yaad aye zindagee bhar aahista aahista
shayad yeh dua ajab lagay raqeebon magar ....
hal-e-dil badal jata hai insaan kaa raftaa raftaa....




- Mahtab - 04-20-2006

Koi Kesu, Koi Aachal Hame Aawaz Na De,
Ab Kisi Aakh Ka Kajal Hame Awaz Na De,

Hum Hai Khamosh To Khamosh Hi Rehne Do Hame,
Koi Aahat Koi Halchal Hame Awaz Na De,

Hum Ne Tanhai Ko Mehboob Bana Rakha Hai,
Raakh Ke Dher Ne Sholo Ko Daba Rakha Hai,

Phir Pukara Hai Mohabat Ne Hame Kya Kijye,
Di Sada Husn Ki Janat Ne Hame Kya Kijye,

Jis Ke Saye Se Bhi Aksar Hame Dar Lagta Tha,
Choo Liya Akhir Usey Hasrat Me Kya Kijye,

Hamne Jasbat Ke Daman Ko Bacha Rakha Hai,
Raakh Ke Dher Ne Sholo Ko Daba Rakha Hai,

Raas Ayena Kabhi Pyar Ke Halat Hame,
Dil Ke Is Khel Mein Har Bar Hui Mat Hame,

Kya Karenge Kaha Jayenge Kidhar Jayenge,
De Gayi Jabbhi Daga Yeh Mulakat Hame,

Bas Isi Soch Ne Hame Devana Bana Rakha Hai,
Raakh Ke Dher Ne Sholo Ko Daba Rakha Hai.


- Mahtab - 04-20-2006

Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise

Har Mulaakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai
Mujhse Kuch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise

Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise

Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar
Zindagi Tez Bahut Tez Chali Ho Jaise

Is Tarah Pehron Tujhe Sochta Rehta Hoon Main
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise

Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise




- Mahtab - 04-20-2006

Baat Nikalegee To Phir Duur Talak Jaayegee
Log Bewajah Udaasee Kaa Sabab Poochhenge
Ye Bhee Poochhenge Ke Tum Itnee Pareshaan Kyoon Ho
Oongliyaan Uthengee Sookhe Huye Baalon Kee Taraf
Ek Nazar Dekhenge Guzre Huye Saalon Kee Taraf
*****iyon Par Bhee Kai Tanz Kiye Jaayenge
Kaanpate Haathon Pe Bhee Fikre Kase Jaayenge

Log Zaalim Hain Har Ek Baat Kaa Taanaa Denge
Baaton Baaton Mein Meraa Zikr Bhee Le Aayenge
Unakee Baaton Kaa Zaraa Saa Bhee Asar Mat Lenaa
Warnaa Chehre Ke Taasur Se Samajh Jaayenge
Chaahe Kuchh Bhi Ho Sawaalaat Naa Karnaa Unse
Mere Baare Mein Koi Baat Na Karnaa Unse
Baat Nikalegii To Phir Door Talak Jaayegee


- Mahtab - 04-20-2006

Merii Tanhaaiyon Tum Hii Lagaa Lo Mujhako Siine Se
Ki Mai.n Ghabaraa Gayaa Huu.n Is Tarah Ro-ro Ke Jiine Se

Ye Aadhii Raat Ko Phir Chuu.diyo.n Se Kyaa Khanakataa Hai
Ko_ii Aataa Hai Yaa Merii Hii Za.njiire.n Khanakatii Hai.n
Ye Baate.n Kis Tarah Puuchhuu.n Mai.n Saavan Ke Mahiine Se

Mujhe Piine Do Apane Hii Lahuu Kaa Jaam Piine Do
Na Siine Do Kisii Ko Bhii Meraa Daaman Na Siine Do
Merii Vahashat Na Ba.d Jaaye Kahii.n Daaman Ke Siine Se





- Mahtab - 04-20-2006

Apna Gham Bhool Gaye, Teri Jafa Bhool Gaye
Hum To Har Baat Mohabbat Ke Siwa Bhool Gaye

Hum Akele Hi Nahin Pyaar Ke Diwaane Sanam
Aap Bhi Nazren Jhookaanen Ki Adaa Bhool Gaye

Ab To Socha Hai Ke Daaman Hi Tera Thaamenge
Haath Jab Humne Uthaaye Hain Dua Bhool Gaye

Shukr Samjho Ya Ise Apnee Shikaayat Samjho
Tumne Wo Dard Diya Hai Ke Dawa Bhool Gaye




- Mahtab - 04-20-2006

Aankh Ko Jaam Samajh Baitha Tha Anjaane Mein
Saaqiya Hosh Kahan Tha Tere Diwaane Mein

Jaane Kis Baat Ki Unko Hai Shikaayat Mujhse
Naam Tak Jinka Nahin Hai Mere Afsaane Mein

Dil Ke Tukdon Se Teri Yaad Ki Khushboo Na Gayee
Hue Main Baaqi Hai Toote Huye Paimaanon Mein

Dil-e-barbad Mein Umeed Ka Aalam Kya Hai
Timtimathi Huyee Ik Shamma Hai Veeraane Mein





- Mahtab - 04-20-2006

janay woh kasiey log thhay
jin kay pyar ko pyar mila
hum ney tou jab kalyan mangee
kanton ka haar mila

khushyon ki manzil dhoondhi tou
ghum ki gard mili
chahat kay naghme chahy tou
banhein sard mileen
dil kay bojh dugna ker gaya
jo ghum khwar mila

hum ney tou jab kalyan mangee
kanton ka haar mila

janay woh kasiey log thhay
jin kay pyar ko pyar mila
hum ney tou jab kalyan mangee
kanton ka haar mila

bichher gaya bichher gaya
bichher gaya her sathi de ker pal dou pal ka sath
kis kou fursat hai jo thamay deewanon ka hath
hum ko tou apna saya aksar bezaar mila
hum ney jab kalyan mangee
kanton ka haar mila

is ko hee jeenaa kehtey hain tou yunhee jee leinge
uff na karein ge lab see leinge ansoo pee leinge
ghum se ab ghabrana kaisey ghum so baar mila
janay woh kasiey log thhay jin kay pyar ko pyar mila

janay woh kasiey log thhay
jin kay pyar ko pyar mila
hum ney tou jab kalyan mangee
kanton ka haar mila





- Mahtab - 04-20-2006

Baat Nikalegee To Phir Duur Talak Jaayegee
Log Bewajah Udaasee Kaa Sabab Poochhenge
Ye Bhee Poochhenge Ke Tum Itnee Pareshaan Kyoon Ho
Oongliyaan Uthengee Sookhe Huye Baalon Kee Taraf
Ek Nazar Dekhenge Guzre Huye Saalon Kee Taraf
*****iyon Par Bhee Kai Tanz Kiye Jaayenge
Kaanpate Haathon Pe Bhee Fikre Kase Jaayenge

Log Zaalim Hain Har Ek Baat Kaa Taanaa Denge
Baaton Baaton Mein Meraa Zikr Bhee Le Aayenge
Unakee Baaton Kaa Zaraa Saa Bhee Asar Mat Lenaa
Warnaa Chehre Ke Taasur Se Samajh Jaayenge
Chaahe Kuchh Bhi Ho Sawaalaat Naa Karnaa Unse
Mere Baare Mein Koi Baat Na Karnaa Unse
Baat Nikalegii To Phir Door Talak Jaayegee


- Mahtab - 04-20-2006

kiya hai piyar jisyy Humne zindagi ki tarhan
woh aashna bhi mila humse ajnabi tarhan

Kisy khaber thii bharegi kuch aur tareekhi
chupega woh kisi badlee main chandni ki tarhan

woh ashna bhi mila humse ajnabi ki tarhan!!

bhara ke piyas meri usne haath chor diya
woh ker raha thaa mura'vat bhi dil lagi ki tarhan

woh aashna bhi mila humse ajnabi ki tarhan!!

sitam to yeh hai ke woh bhi na ban saka apna
kabool humne kiye jiske ghum khushi ki tarhan


woh aashna bhi mila humse ajnabi ki tarhan!!

Kiya hai piyar jisy humne zindagi ki tarhan

Kabhi na socha tha humne Kateel uske liye
karega humpe sitam woh bhi her kisi ki tarhan

Kiya hai piyar jisyy humne zindagi ki tarhan


- Mahtab - 04-20-2006

JHUKI JHUKI SI NAZER BAI QARAR HAI KE NAHI
DABA DABA SA SAHI DIL MAIN PIYAR HAI KE NAHI

Tu apne dil ki jawan dharkano ko gin ke bata
Meri tarhan tera dil beqarar hai ke nahi

woh pal ke jismein mohabbat jawan hoti hai
us aik pal ka tujhe intizar hai ke nahi

teri umeed pe thukra raha hon dunia ko
tujhe bhi apne pe yeh aitbar hai ke nahi

daba daba sa kahin dil main piyar hai ke nahi
jhuki jhuki si nazer..