Accountancy Forum
POETRY?? - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: POETRY?? (/showthread.php?tid=1384)

Pages: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30 31 32


- Huma - 12-09-2004


"DO HI TO BAA-ZOQ AADMI HEIN FAQAT
MEIN HUA YAA MERA RAQEEB HUA" (Ustad Abdul Hameed Adam)


Really liked this shair... kafi arsay baad koi acha shair suna,, maza aya.. )

AA jaye kay aap ko tarsay hay yeh nigah
dekha nahi hay hum nay bohat din guzar gaye.. (NN)

best regards
HUMA




- ophie - 12-09-2004

There is a poem by ahmad faraz ........

"dekho zara idhar keh chaley thay jahan se hum
kuch phool kuch charaagh abhi wahimon mein hein

ba-eitmaadion ka dhuan bhi sahi magar
kuch geet bhi to shahr ki khamoshion mein hein

ik sogvaar sham-e-khizan bhi sahi magar
bikhray huay gulaab abhi raaston mein hein


If you liked this then I'm gonna quote the whole poem ........

By the way there is another shair of "Adam"

"Uljha hei paaon yaaar ka zulf-e-daraz mein
Lo aap apne daam mein sayyad aa gayaa




- Sarfaraz - 12-09-2004

Umer kay samnder main;
Zindgi kay dharay hain;
Roshni ki khuahish main;
Waqat kay sitaray hain
Jis khuda nay yeh dherti;
yeh falaq sawaray hain;
Us say illtaja yeh hai;
Bus mari dua yeh hai
Wo tumhari kismat main;
Elm ki reda likh day;
Khawab ki adda likh day;
Piyar ki sadda likh day Ameen

There is a will. There is a way.
www.sarfraz.cjb.net
0333-4502662


- n/a5 - 12-09-2004



dastan-e-dil sun kar kia karoo gay tum
mujeh tum sab chain sey rehay kuon nahee daitay
suna bhee doo agar dastan-e-dil apna
too tum bhee mairee tarah baichain rehnay lago gay


HEART BEATS ( try try again )


- n/a5 - 12-09-2004



dastan-e-dil sun kar kia karoo gay tum
mujeh tum sab chain sey rehay kuon nahee daitay
suna bhee doo agar dastan-e-dil apna
too tum bhee mairee tarah baichain rehnay lago gay


HEART BEATS ( try try again )


- ophie - 12-09-2004

Sorry to say but all the mates are advised to post goos poetry ....... Dont get ofended but ........ I think wasi shah and farhat abbas shah are not worth quoting ....... I mean farhatabbas shah is a marshall artist ..... not a poet .....




- Saahil1 - 12-10-2004

Assalam-o-Alaikum
hello friends i am new in this forum. my name is Saahil i love poetry and i am doing masters in Computer science living in London. i wish to publish my poetry on net as well as book. Inshallah in future i will do that Inshallah. i just need your feed back. here is my favourite poem about someone but unfortunatly i have lost my someone.but ok khair late on ok you take care all Allah hafiz bye

main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi
main toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi

har aik maslay ka hal nikal rakhti thi
zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi

main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha
woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi

bas aik woh thi jisay ghaow main dikhata tha
bas aik woh thi keh jo andmal rakhti thi

woh mairay dard ko chunnti thi apni pooron say
woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi

woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main
mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi

duain us ki balaon ko rook laiti thin
woh mairay chaar soo hathon ki dhaal rakhti thi

ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni
woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi

usay nadamatain mairi kahan gawara thin
woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi

bichar kay uss say main dunya ki thokaron main hon
woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi

sahar tha naam , ujalay ghulam thay us kay
woh zindagi kay andhairay ujaal rakhti thi

woh muntazir mairi rehti thi dhoop main shaid
main laut-ta tha to chaon nikal rakhti thi




- zahoor - 12-10-2004

Hi to all ,
Saahil its really great ……….carry on……….amazing………
I am zahoor………..i think still I am a new member ……………..i love poetry.
Ibteeda mein to yeh mehfil baat bazi ke the but ab pata nahien baat bazee hoo rahe
Hay yah nahein still I will like to follow rules……
Yeh kia kay sab say byaan dil ke haalatein karnee
Faraz tuj ko na aaein mohabatein karnee
( Ahmed faraz)


doosra shair

yeh dard kum to nahien hay kay to humein na mila
yeh aur baat kay hum bee naaa ho sakay teray
(Mohsin naqvi)
My favourite poets are Sahar ludyanwee, Faz, Nasir kazmi etc.
I think no body can write like sahar and faz ………..
Take care.
byeeee<font color=red></font id=red>

It's not about anger,it's about peace.
it's not about power,it's
about grace.it's not about knowing your enemy,it's all about knowing your self.


- ophie - 12-10-2004

Saahil ........ that was freaking good man ........ keep it up .........




- Saahil1 - 12-11-2004

Assalam-O-Alikum all;
it's me Saahil again with my new poem

kiyun barhnay ye faaslay lagay hain
kiyun ghatnay ye raabtay lagay hain

baiwafa hum nahin na woh hi baiwfa hai
phir kiyun barhnay doriyun kay silsilay lagay hain

Aik baar hi dekha tha chah se os ne
hamain bholnay main woh nazar zamaanay lagay hain

Sochtay hi os ko kiyun roshni se meray 4 soo
han os ki yadon ko shayad chamaktay sitaray lagay hain

bhatak raha hun osi shehar ki galiyun main ANjaan main
dekhay bhaalay jis kay mujhay sabhi raastay lagay hain

sochta hun dushman ki baahon main panaah na lay lon
k qatal kernay ko mujhay yaar meray saaray lagay hain

Chal meray saahil Aansoo na la aankhon main
teray dobnay se yaar teray kinaaray lagay hain







- Huma - 12-12-2004

Salammmmmmmm

Last word was KARNI.. that means I...

ITNA BHI NA HO SEHAN KAY DAR TAK MAIN POHANCH KAR
DAR KHOLON TO DARWAISH-E-DUA GO HI CHALA JAYE..

Take care

HUMA




- maani - 12-12-2004

AASUON KO BAHOT SAMJHAYA,
KE TANHAIYON MAIN AAYA KARO,
MEHFIL MAIN HUMARA MAZAK MAT UDAYA KARO,
IS PER AANSOO TADAP KER BOLE,
ITNE LOGO MAIN BHI AAPKO TANHA PAATE HAI,
ISILIYE TUMHARA SAATH DENE CHALE AATE HAI....!!!!



Ace


- Saahil1 - 12-13-2004

Salamzzzzzz;
Hum kay raat ki siyahi main bhi chamaktay hain kay Saahil
Os ki yaadain hamaray gird Ujala kiyay rehti hain





- ophie - 12-13-2004

The last letter was "n" so here we go

"Naya ik rishta paida kyun karein hum
Bichharna hei to jhagra kyun karein hum

Hamaree hi tamanna kyun karo tum
Tumharee hi tamanna kyun karein hum

Kiya tha ehad jo lamhon mein hum ne
To barson kyun isay "aifa" karein hum

"M" should be the new letter to start with ....... and this is from a ghazal by Jon Alia




- Humaira - 12-13-2004

AOA
The last word was "m"so

"Maray hathoon ki lakiroon kay izafay hain gawah
Main nay pather ki terhay khud ko tarasha hai bohat"

So plz come up with the shair starting with "T"

Allah hafiz