Accountancy Forum
POETRY?? - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: POETRY?? (/showthread.php?tid=1384)

Pages: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30 31 32


- ophie - 12-15-2004

I guess the letter is "y"

Yeh aalam shoq ka dekha na jaaye
woh "but" hei ya khuda, dekha na jaaye

hamesha ke liye mujh se bichar jaa
yeh manzar baraha dekha na jaye


The letter is again "Y"




- Humaira - 12-15-2004

AOA
"Yeh main bhi kiya hoon usay bhool ker usi ka raha
Kay jis kay saath na tha,humsafaer usi ka raha
Bohat see khuahishain soo barishoon main bheegi hain
Main kis tarhan kahoon umer bher usi ka raha"

So the last letter is "A"

Allah hafiz




- ophie - 12-15-2004

Aao keh aaj khatam hui daaastaan-e-Ishq
Ab khatam-e-aashiqee ke fasaaney sunaaein hum (Faiz)

"M"




- Humaira - 12-15-2004

AOA
Meyray khuluce pay ger kabhi
Teyray shaq ki dhuol chayeh
Mujhay azmanay main
Kahbi dair tum na kerna
Main wo saya hoon
Jo srif dhuop main
Saath day
Khushiyoon main her koi
Saath chalta hai
Hassnay waloon kay saath
Her koi hass layta hai
Agher kabhi tumhain
Zmanzy kay gham satain
Phir mujhay pukar layna
Her qadam per azma layna

SO the last letter is "A"

Allah hafiz




- ophie - 12-15-2004

Ab meray paas tum aayee ho to kya aaayee ho
Mein ne mana keh tum ik paikar-e-ranaai ho
chaman-e-dahar mein koo-e-chaman araai ho
Talat-e-mehar ho, firdos ki barnai ho
Bint-e-mehtaab ho, gardoon se utar aai ho
Mujh se milnay mein ab andesha-e-ruswai hei
Mein e khud apney kiyay ki yeh saza pai hei (Israr ul Haq "Majaz")




- Humaira - 12-16-2004

AOA

"Yeh na samaj kay bechra hoon to bhool gaya hoon tujhay
Teyri dosti ki khushbu meyray hathoon main hay
Muhabat say ber kar tum say aqeedat hay mujhay dost
Yun mukaam tayra buland sab dostoon main aaj bhi hay
Tu wo jo meyri bersoon ki talashay hassel hay
Tumhain soochna meyri yaadoon main aaj bhi hay"

So the last letter is "Y"

Allah hafiz




- Humaira - 12-16-2004

AOA

"Yeh na samaj kay bechra hoon to bhool gaya hoon tujhay
Teyri dosti ki khushbu meyray hathoon main hay
Muhabat say ber kar tum say aqeedat hay mujhay dost
Yun mukaam tayra buland sab dostoon main aaj bhi hay
Tu wo jo meyri bersoon ki talashay hassel hay
Tumhain soochna meyri yaadoon main aaj bhi hay"

So the last letter is "Y"

Allah hafiz




- zahoor - 12-16-2004

hi,
apni gazal kay chund shair


yehee hay kwaeshoon keee inteehaa
tumhare aankoon ka kazaana chahyay
yeh gum be un say mansooob hay
is koo bee chupaaana chahyay
doostoon nay to gam hee diay hein
dushmanoon ko be aazmaana chahyay


now last word is .......y....agian

It's not about anger,it's about peace.
it's not about power,it's
about grace.it's not about knowing your enemy,it's all about knowing your self.


- Humaira - 12-16-2004

AOA

"Yeh shab yeh khiyal-o-khuab teyray
Kiya phool khilay hain moon undhayray
Sholay main hay aik rang teyra
Baqi hain tamam rang meyray
Ankhoon main chupayeh phir raha hoon
Yaadoon kay bhojhay huay sayvray
Daytay hain suragh fasl-e-gull ka
Shakhoon pay jalay huay basayray
Manzeal na milli to qafloon nay
Rastay main jama liyeh hain dayray
Jungal main hui hay shaam hum ko
Basti say challay thay moon undhayray
Rudad-e-safer na chayrana Nasir
Phir ashq na tham na sakain gay meyray"

So the last letter is "Y"
Allah hafiz




- Huma - 12-16-2004

YEH LOG TAMASHA HAIN TO JUNON MAIN IN SAY

BAYAN DIL KI KOI HAQAYAT NA KI JAYEY.. (NOSHI GILANI)

REGARDS

HUMA








- ophie - 12-16-2004

Yeh sheeshay yeh sapnay, yeh rishtay yeh dhagay
Kisay kiya khabar hei kahan toot jaaein
Mohabbat kay dariya mein tinkey wafa key
Najaney yeh kis mor par doob jaaein

Ajab dil ki waadi ajab dil ki basti
har ik mor mousam nayee khawahishon ka
lagaye hein hum ne bhi sapnon ke poday
magar kiya bharosa yahan baarishon ka

muradon ki manzil key sapnon mein khoyay
mohabbat ki raahon peh hum chal pare thay
zara door chal kar jab aankhein khuli to
karee dhoop mein hum akalay kjarey thay

Jinhein dil sey chaha, jinhein dil sey pooja
Nazar aa rahey hein wohi ajnabee say
Rawayat hei shayad yeh sadiyon purani
shikaya nahin hei koi zindagi say

Yeh sheeshay yeh sapnay, yeh rishtay yeh dhagay
Kisay kiya khabar hei kahan toot jaaein


Guess what ......... I am running short of options as far as "Y" is concerned........




- Humaira - 12-16-2004

AoA
"Na gaanwaoo nowkey neem kash dill-e-rayza rayza gaanwa diya
Jo bachay hain sang sameyt lo tana-e-dagh dagh loota diya
Meyray charagher ko naveed ho saf-e-doshmana ko khaber karo
Jo wo hisab rakhtay thay jaan per wo hisab aaj chuka diya
Idher aik heraf ki kastani yahaan lakh uder tha ghuftani
Jo kaha to suun kay ura diya jo likha to perh kay mita diya
Jo rukay to koh geraanh thay hum jo chaly to jaan say guzer gay
Rah-i-yaar hum nay qadaam qadaam tujhay yaad gaar bana diya "

So the last letter is "A"

Allah hafiz




- ophie - 12-16-2004

Nice piece of poetry humaira. You have a good taste.

"Aaiyay haath uthaein hum bhi
Hum jinhein tarz-e-dua yaad nahin
Hum jinhein soz-e-muhabbat key siwa
Koi jurm koi khata yaad nahin (Faiz)




- Humaira - 12-17-2004

AOA
Thanks OPhie

"Na kashteeoon na kinaroon ka aehtaram karoo
Faqat bhawner kay isharoon ka aehtaram karoo
Yaheen say guzray ga aik rooz karwanay bahar
Fersuda rahguzaroon ka aehtaram karoo
Jo ho sakay to badal do nooshta-e-takdeer
Na ho sakay to seetaroon ka aehtaram karoo
Khezaan ki gooad main bhi phool muskura uthain
Kabhi to ujray diyaroon ka aehtaram karoo
yeh hi hay zooq-e-ebaadat ki inthah sagher
Gham-e-haayat kay maroon ka aehtram karoo "

So the last letter is "O"

Allah hafiz

"
Peace cannot be achieved through violence, it can only be attained through understanding."











- sajjad_dar2000 - 12-17-2004

O sai sunoo mairaee aik tazaa guzal

its me again with my own written poetry

<center>LAKAAT</center>


KASH MAI TAIREE HASEEN GARDIN KA LAKAAT HOTA
TO BARAY PAYAR SAI CHOW SAI BARAY MAAN K SATH

APNE NAZAAK SI GARDIN MAI SIJ-JAATI MUJ KO
AOR BAITABI SAI FURKAT K KHAZAAN LAMHOON MAI

TOO KISI SOOCH MAI DOOBI JO HILATI MUJ KO
MAI TAIRAY HAATH KI KHUSHBO SAI MEHAK SA JATA

JUB KABI MOOD MAI AA KAR MUJAY CHOOMA KARTI<img src=icon_smile_blush.gif border=0 align=middle>
TAIRAY HOONT KI MAI HIDAT SAI DAIHAK SA JATA

RAAT KO JUBB TOO NAINDON K SAFAAR PAR JATI
MAR-MAREE HATH KA AIK TAKYAA BANAYA KARTI

MAI TAIRAY KANOON SAI LUG KAR KAHE GOOSHAY KARTA
TAIRAY ZULFOON,GULAY AOR GAAL KO CHOOMA KARTA<img src=icon_smile_blush.gif border=0 align=middle>

MAI TAIRE ROOH K GULSHIN MAI MEHKTAA REHTAA
MAI TAIRAY JISM K AANGAN MAI HILTA REHTAA

KUCH NAHI TO YOUU HE BAINAM SAI TAKAAT HOTA
KASH MAI TARAY HASEEN GARDIN KA LAKAAT HOTA





<img src=icon_smile_big.gif border=0 align=middle><img src=icon_smile_big.gif border=0 align=middle><img src=icon_smile_big.gif border=0 align=middle><img src=icon_smile_big.gif border=0 align=middle><img src=icon_smile_big.gif border=0 align=middle><img src=icon_smile_big.gif border=0 align=middle><img src=icon_smile_big.gif border=0 align=middle><img src=icon_smile_big.gif border=0 align=middle><img src=icon_smile_big.gif border=0 align=middle><img src=icon_smile_big.gif border=0 align=middle><img src=icon_smile_big.gif border=0 align=middle><img src=icon_smile_big.gif border=0 align=middle><img src=icon_smile_big.gif border=0 align=middle><img src=icon_smile_big.gif border=0 align=middle><img src=icon_smile_big.gif border=0 align=middle>


Edited by - sajjad_dar2000 on Dec 17 2004 55559 PM