Accountancy Forum
POETRY?? - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: POETRY?? (/showthread.php?tid=1384)

Pages: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28 29 30 31 32


- Huma - 12-23-2004

correction

EK DIN WOH MERAY AIB GINWANAY LAGA FARAZ
JAB KHUD HI THAK GAYA TO MUGHAY SOCHNA PARA..

regards..

huma




- ophie - 12-23-2004

AAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAa

here is a "Nazm" frpm Faiz

The subject of Nazm is "Raqeeb sey" ..... The "nazm" is a bit lengthy but I want you to read this whole poem ........ It's beautiful

AA keh wabasta hein us husn ki yaadein tujh se
Jis ne iss dil ko pari khana bana rakha tha
Jis ki ulfat mein bhula rakhi thi dunya hum ne
dahar to dahar ka afsana bana rakha tha

Aashna hein teray qadmon se woh raahein jin par
us ki madhosh jawaani ne anaayat ki hei
Kaarwan guzrey hein jin sey usee ranaai key
jis kee in aankhon ne bay-sood ibaadat ki hei

Tujh se khailee hein woh mahboob hawaein jin mein
uss ke malboos ki afsurda mahak baaqi hei
tujh peh bhi barsa hei uss baam se mahtaab ka noor
jiss mein beeti hui raaton ki kasak baaqi hei

Tu ne dekhi hei woh paishaani woh rukhsaar woh hont
zindagi jin ke tasawwur mein luta di hum ne
Tujh pe uthi hein woh khoi hui saaahir aankhein
Tujh ko maaloom hei kyun umr ganwa di hum ne




- Huma - 12-23-2004

THIS IS ONE OF MY PERSONAL FAV MR OPHIE... FAIZ SAHAB KI TO KYA HI BAAT HAY.. unhi ka hi aek aur shair aap ki nazar hay


YEH BAZI ISHA KI BAZI HAY JO CHAHY LAGA DO DAR KAISA
GAR JEET GAYE TO KYA KAHNA HARAY BHI TO BAZI MAAT NAHI .. (FAIZ)


regards

huma




- ophie - 12-23-2004

kab yaad mein us ka saath nahin, kab hath mein us ka haath nahin
sad shukr keh apni raaton mein ab hijr ki koi raat nahin

Maidaan--wafaa darbaar nahin, yahan naam-o-nasab ki pooch kahan
Aasiq to kisi ka naam nahin, kuch ishq kisi ki zaat nahin

Jis dhaj se koi maqtal mein gaya woh shaan salaamat rahti hei
yeh jaan to aani jaani hei iss jaan ki to koi baat nahin


It is indeed one of my favourites ............... Maam ....... congratulation for starting such a good topic .......... Credit goes to you ..............




- maani - 12-24-2004

Ruswaion mein ajab ik maza hai
Dushwarion mein ajab ik maza hai
Kabhi is mefil mein akar to dekho
Tanhaeion mein ajab ik maza hai
Soraj ko dobhte dekha to samjha
Pasteon mein ajab ik maza hai
Kabhi ho jo hum per bhi nazre karam
In inyaton mein ajab ik maza hai
Na hum un ko samjhe na woh hum ko samjhe
Khushfemeion mein ajab ik maza hai
Chale ja rahe hain yu hi be irada
Is darbadri mein bhi ajab ik maza hai
Mil kar bhi un se door kitne
In faslon mein ajab ik maza hai
Na kehna koi bewafa un ko yaro
In bewafaion mein ajab ik maza hai
Na hum kuch kahen gay na who kuch kahein gay
Khamosheon mein ajab ik maza hai
Apni hi dhun mein guzari hai sayed
Meri zindagi mein ajab ik maza hai

Ace


- Huma - 12-24-2004

thanks Ophie.. urdu-poetry is one of the best thing i ever have come across..
I AM REALLY HAPPY TO SEE SUCH A GREAT RESPONSE FROM ALL THE PPPL..

nnnnn
here a few shairs of FARAZ..

NASHTAR CHUBHAY HUWAY THAY RAG-E-JAN KAY AAS PASS
WOH CHARA_GAR THA AUR MUGHAY DAR BHI USSI KA THA
(NEXT IS ANOTHER FAV)
KHANJAR DAR-E-ASTIN HI MILA JAB KABHI MILI
WOH TAIGH KHAINCHTA TO YEH SAR BHI USSI KA THA

DEKHA MUGHAY TO TARK-E-TALAQ KAY BAWAJOD
WOH MUSKURA DIYA, YEH HUNAR BHI USSI KA THA

REGARDS
HUMA




- ophie - 12-24-2004

AAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAA

Awwaleen qurb ki sarshaari mein
kai armaan thay jo ab yaad nahin

yeh haqeeqat hei keh ahbaab ko hum
yaad hi kab thhay jo ab yaad nahin

rishta-e-jaan tha kabhi jis kaa khayaal
uss ki soorat bhi to ab yaad nahin




- Huma - 12-24-2004

NNNNNN

NAHIN YAQIN TO AZMA KAR DEKH LO KAISAY BADATA HAY
TUMHARAY MUSKARANAY SAY DIl-e-NASHAD KA MOSAM

RUTON KA QAIDA HAY YEH WAQT PER ATI JATI HAIN
HAMARAY SHEHAR MAIN KYON RUK GAYA FARYAD KA MOSAM

by amjad islam amjad.

HUMA




- maani - 12-24-2004

Humain Muskarana Ki Adaat See Ho Gyi Hai,
Her Ghum Ko Chupana Ki Adat See Ho Gyi Hai,
Sahna Nahi Pata Ho Mera Ghum Janti Hoon,
Main Inain Apna Daman Main Chupati Hoon,
Her Ghum Bhool Jaoon Is Duniya Ka Main,
Chupa Lo Ager Humain Apna Daman Main,
Ek Dosra Ki Muskrahat Bana Rahain Sada Hum,
Her Dukh-o-Ghum Sa Lar Ka Jiuyan Sada Hum,


Ace


- maani - 12-24-2004

Duniya ko is ka chehra dekhana para mujhe
Parda jo darmiyan tha hatahna parah mujhe
Ruswayion ke khuaf se ajj phir
Mehfil mein teri aana parah mujhe
Usool-e-mehfil reh gaye is liye,
Is bewafa se haath mila na para mujhe
Gum ho na jaye log kahin is liye
Apne Laho ka deep jala na para mujhe
Tum kis pe azzmao ge apni jafa
ke teri mehfil bas ye sooch ke aana para mujhe
Dil ko yakeen tha aap ke aane ka is liye
Ankhon ko raaste pe bichana para mujhe
Nayaab mujh ko ghum se mohabbat thi is liye
Dil ek bewafa se laga na para mujhe.


Ace


- maani - 12-24-2004

Jub B Suraj Ki Tapash Tujay Satanay Laga,
Ban Ka Badal Main Tuj Pay Burasnay Lagoon,
Jub B Bijli Ki karak Tujay Daranay Lagay,
Ban Ka Huwa Tujay Khood Main Samyat Loon,
Jub B Tu Andhara Se Gubranay Lagay,
Ban K Jugnoo Teray Gird Mundlanay Lagoon,
Jub B Tujay Meri Yaad Sataye,
Ban K Moti Teri Ankh Sai Tapkoon,

Ace


- Huma - 12-25-2004

For Heavens sake BAIT BAZI KAY RULES TO MUT TORIye... the last alphabet was MMMMM so plz.....i will be really thankful )do not take it hard on you,, if you want to send extra stuff then you guys are most welcome, but first of all do write atleast a shair which starts with the last alphabet of previous shair..

so a shair starting with MMMM by parveen shakir

MAIN SOCHTI THI TERA QURB KUCH SAKON DAY GA
UDASIYAN HAIN KAY KUCH AUR BARH GAIN MIL KAR

RGEARDS..
HUMA




- Huma - 12-25-2004

For Heavens sake BAIT BAZI KAY RULES TO MUT TORIye... the last alphabet was MMMMM so plz.....i will be really thankful )do not take it hard on you,, if you want to send extra stuff then you guys are most welcome, but first of all do write atleast a shair which starts with the last alphabet of previous shair..

so a shair starting with MMMM by parveen shakir

MAIN SOCHTI THI TERA QURB KUCH SAKON DAY GA
UDASIYAN HAIN KAY KUCH AUR BARH GAIN MIL KAR

RGEARDS..
HUMA




- maani - 12-25-2004

sorry yaar...poetry nahin chalay gi kia...bait baazi mein sirf kuch log hi participate ker sakain gay...so plz

Sab kuch tu tere pass hai
Tu phir kiyon dil udass hai?
Hai piyar bhi tere liye
Khayal bhi tere liye
Ye dil bhi tere pass hai
Tu phir kiyon dil udass hai?
Main sochta hoon bas tujhe
Main dekhta hoon bas tujhe
Jab mujh pe etebaar hai
Tu phir kiyon dil udass hai?
Hai zindagi tere liye Ye dil, khushi tere liye
Ye sab jo tere pass hai
Tu phir kiyon dil udaas hai?
Too neend main, tu khwab main
Too mere dasht-o-aab main
Har pal too mere saath hai
Tu phir kiyon dil udass hai?
Har simt hain gul khile houe
Hain dost bhi mile houe
Har simt piyar hi piyar hai
Tu phir kiyon dil udass hai?
Ye dil, khushi or etebaar
Ye dost, khwab or ye piyar
Sab kuch tu tere pass hai
Tu phir kiyon dil udass hai?

Ace


- n/a5 - 12-26-2004

Muskaratay Raho

Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo
Raat kaali sahi koi gham na karo
Ik sitara bano jagmagatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Baant'ni hai agar baant lo har khushi
Gham na zahir karo tum kisi per kabhi
Dil ki gehraai mein ghum chupatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Ashk anmool hain kho na dena kahin
In ki har boond hai motiyoon se haseen
In ko har ankh se tum churatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
Faaslay kam karo dil milatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho


HEART BEATS ( try try again )