Accountancy Forum
poetry - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: poetry (/showthread.php?tid=2814)



poetry - Humaira - 01-15-2006

AOA,
Hi.. h r all of u...i am setting a new Topic...and i want ur contribution ...i hope u all will particiate in this topic...ok i will wait for ur reply n start from the last word ok!!!
Mujhay apnay zabt per naaz tha
Sar-e-bazm raat yeh kia hua
Meri aankh kaisay chalak gai
Mujhay dukh tha yeh bura hua

So the next word is "A"
Allah Hafiz
Takee care n Remember Me In Ur Prayers.

Topic



" NOthing in this world can compansate for the loss of self-respect,nobleness of mind and self-honour "


- Humaira - 01-18-2006

AOA
HOW R ALL of u... LAGTA HAI SARAY HI BADZOUQ HAIn IS FORUM MAIN.....ANY WAYS .....

Hawa ko likhna jo agaya hai Abb usski marzi ke woh khazanon ko bahar likh dey
Bahar ko intezar likh dey Wafa ke raston per chalney walon ki kismaton mein gubar likh dey
Hawa ko likhna jo agaya hai Hawa ki marzi ke wasool_e_muasam mein hijir ko hisseydar likh dey
Mohabbaton mein ghuzarne wali raaton ko na paidar likh dey,
Hawa ko jo likhna agaya hai Abb usski marzi hai Ke woh humarey diye bujha kar Shabon ko ba ikhtiyar karke sehar ko be aitebar likh dey
Hawa ko likhna jo agaya hai !!!
OK ALLAH HAFIZ
REMEMBER ME IN UR PRAYERS


" NOthing in this world can compansate for the loss of self-respect,nobleness of mind and self-honour "


- fari_khipk - 01-18-2006

A mmmmmm
ab ke tajded-e-wafa ka nhin imkan jana
yad kia tuj ko dilaen tera paeman jana
younhi mausam ki ada dekh ke yad aya
kis qadr jald badl jate hain insan jana
now the word is again A

by the way wht do u do humaira

Best wishes with for ur studies Tc AllahHafiz


- Humaira - 01-19-2006

AOA
how all of u....ok the word is "A"

Aadam ki kisi Roop main tehqeer na kerna!!
phirta hai zamanzy main Khuda bhaiss badal kay.

by the way i am doing ACMA. what u do sis jee.
Allah hafiz n take care.
Donot forget me in ur prayers.

" NOthing in this world can compansate for the loss of self-respect,nobleness of mind and self-honour "


- hanifasif - 01-19-2006

I will come from the other end when the antakshri finishes.

From the letter "Z"


zamanay main koi burai nahi hay,
faqat ek tasalsul ka jhola rawaan hay ye main keh raha hoon

main koi burai nahi hoon, zamana nahi hoon, tasalsul ka jhola nahi hoon,

mujhay kia khabar kia buraee main hay kia zamanay main hay


or phir main to ye bhi kahoon ga kay jo shay akalee rahay uski manzil fana hi fana hay



buraee bhalaee zamana tasalsul, ye batain baqa kay gharanay say i hoee hain mujhay to kissi bhi gharanay say koi ta aluq nahi hay.



main hoon aik

or main akayla hoon

ek ajnabi hoon



ye basti ye jangal ye bahtay hoay rastay or darya

ye parbat

achanak nagahoon main ati hoe koi onchi imarat



ye ujray hoay maqbaray or marg-e-musalal ki surat, mujawar, ye hanstay hoay nannay bachay

ye ghari say takra kay marta hua ek andha musafir, hawaain, nabatat or asmaan par idhar say udhar atay jatay hoay chand badal ye kia hain

YEHI TO ZAMANA HAIN

ye aik tasalsul ka jhola rawaan hay ye main keh raha hoon

ye basti ye jangal ye rustay ye darya, ye barbat, imarat, mujawir, musafir, hawain, ye asmaan par idhar say udhar atay jatay hoay chand badal, ye sabh kuch har ek shaay meray hi gharanay say aee hoee hay

Zamana hoon main, meray hi dam say unmit tasalsul ka jhola rawaan hay

magar mujh main koi buraee nahi hay,

ye kaisay kahoon main ,

kay mujh main fana or baqa dono a kar milay hain


(Az Meeraji)


- fari_khipk - 01-19-2006

font=Comic Sans MS]raat youn dil main teri khoi hui yad aai
jese veranay me chupkay se bahar ajae
jese sehraon me holay se chale bad-e-naseem
jese bemar koi be wajah qarar ajae[/font=Comic Sans MS]

im doind CA n student of MOD-C

Best wishes with for ur studies Tc AllahHafiz


- Humaira - 01-19-2006

AOA
how r all...plz start from last word ...thanks...ok the next word is "y"
Yeh takhayulat ki zindagi, yeh tasawoorat ki bandagi
faqat ek fareeb-e-khayaal per meri zindagi hai rawaan dawaan
Next word is "n"
Allah hafiz take care
donot forget me in ur prayers


" NOthing in this world can compansate for the loss of self-respect,nobleness of mind and self-honour "


- hanifasif - 01-20-2006

na tu khuda hay na mera ishq farishtoon jaisa
dono insaan hain to kiyoon itnay hijaboon main milain


N again


- Humaira - 01-21-2006

AOA
Na janay kab ka pohanch bhi chuka sar-e-manzil
Woh shaks jis ka hamain intizaar rah main hai
So the next word is "Y"
Allah Hafiz
Remember me in ur prayers.

" NOthing in this world can compansate for the loss of self-respect,nobleness of mind and self-honour "


- hanifasif - 01-21-2006

bohat khoob


Ye kaisay Ahl-e-junoon hain kay raygzaroon main
Qadam qadam shajar-e-sayaadaar dhoondtay hain

"N"



- Humaira - 01-21-2006

AOA[)]
how r all of u...ok
Nasha-e-lazat-e gunah kay baad
Bara mushkil hai parsaa hona.
next word is "A"
Allah hafiz n take care
Remember me in ur prayers[)]


" NOthing in this world can compansate for the loss of self-respect,nobleness of mind and self-honour "


- hanifasif - 01-22-2006

Ainween matha zameen ghasaee da
lammaa pa mehrab dekhaee da
parh kalma log hasaee da
dil andar samajh na liyaee da
kadi baat sachee bi lagdi ay
ik nuktay wich gal mukdi aay

(Bhullay Shah)


"Y"


- Humaira - 01-22-2006

AOA
HOW R ALL OF U. OK

Yeh tumhari talakh nawaziaankoi aur seh kay tou dikha day
Yeh jo hum main tum main nibah hai miray hoslay ka kamaal hay.
So the next word is "Y"
Allah HAfiz n take care of urs n ur deeds
Remember me in ur prayers!!!

" NOthing in this world can compansate for the loss of self-respect,nobleness of mind and self-honour "


- hanifasif - 01-22-2006


Ye aj aay hain kis ajnabi say dhays main hum
Taras gayee hay nazar chashm-e-ashna kay liay


"Y"


- fari_khipk - 01-23-2006

<font face="Comic Sans MS">aah ko chahiye ik umr asr hone tak
kon jeta hay teri zulf kay sar hon tak
ishq sabr talub aur tamana betab
dil ka kya rang karun khun-e-jigr hone tak
ham ne mana kay taghaful na karoge lekin
khaak ho jaengay ham tum ko khabr hone tak</font id="Comic Sans MS">

now the word is K


Best wishes with for ur studies Tc AllahHafiz