Accountancy Forum
poetry - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: poetry (/showthread.php?tid=2814)



- shahzori - 02-22-2007

koi aik shakhs tou yun miley ke sakoon miley
koi aik harf tou aisa ho jo qarar ho
koi aisi rut bhi miley hamein jo bahar ho
koi aisa waqt bhi ke hamein pyaar ho
koi aik shakhs tou yun miley ke charagh e jaan
usey noor dey usey taab dey baney kehkishaan
koi ghum ho jis ko kaha karein ghum e jaawidaan
koi yun qadam milaye ke baney kaarwaan
koi aik shakhs to yun miley ke sakoon miley
meri raah guzr e khayal mein koi phool ho
mein safar mein hoon merey paoon pe parri dhool ho
mujhey shauq hai kabhi mujh se bhi koi bhool ho
ghum e hijr ho shab e taar ho barra toool ho
koi aik shakhs tou yun miley ke sakoon miley
ke jo aks e zaat ho hu bahu
mera aaiyna merey ru baru
koi rabt jis mein na mein na tu
sar e khamoshi koi guftagu
koi aik shakhs tou yun miley ke sakoon miley


- shahzori - 02-22-2007

aseen lakh namazaan neetiyaan aseen sajdey keetey lakh
aseen tibiyan retaan roliyan aseen galiyan de wich kakh
aseen pakhu wichrey daar too aseen apne aap too wakh
aseen waikhiya dil makhloq da dil bohe bohe rakh
aseen raatan katiyaan jaag ke lag baariyan naal khalo
saadi akheen rastayaan saariyaan dil ditta dard paro
sadi saah wich sabr di chaashni sadi raggaan wich khashbo
saathu haar ke saadey hosley paye kandhaan nap nap ro


- shahzori - 02-22-2007

acha tou phir yun kartey hein
thori dair tou sath chalo tum
rastey mein jab
pathar aayein
kaantey aayein
wahan se beshak
hath chhura kar
uzar bna kar
tum laut aana


- shahzori - 02-22-2007

tumhari zaat ke hijey
hamari ungliyon se hi nahi jaatey
koi bhi naam likhna ho
tumhara naam likhtey hein
koi bhi baat likhni ho
tumhari baat likhtey hein
kahin baadil baras jaye
koi baadil baras jaye
tumharey shehr ko barsaat likhtey hein
tumhari zaat ke hijey
hamari ungliyon se hi nahi jaatey


- Gull - 02-22-2007

Swear


Since the day you have gone, leaving me alone
I have nothing to do but to moan,
The distance that makes us apart,
Making thousand pieces of my heart,
As the days pass by without you,
I realize I am more in love with you,

I wish I could be with you forever,
And spend the rest of our lives together,
But I know this is a dream untrue,
And I can't lead this life without you.

Every time I felt lonely,
You were always there holding me closely
Now that you have gone
Life is nothing but forlorn

I lie in my bed all curled
For I lost the person who meant the world
Throughout the night I grief,
Cause u belong to someone else, I believe,
Today you have nothing to bestow,
But only the memories when I was your shadow.

You left me alone on this lonely earth,
Making me repent of my birth,
I cry for no reason, just like a child,
With the pain of your loneliness that makes me go wild.

Every couple I see makes me torment,
Makes me remind of your lovely scent
I know they would end up too,
And die in the loneliness like me and you

Every time I see the stars in the sky,
I shed a thousand tears in my eye.
But there is no one to wipe these tears
And I will spend all alone, the rest of the years

I speak to myself, why am I alone,
And I tell myself; it's a reason unknown,
May be that's what I am meant for,
So I decide to give up from this chore

I end up myself from this life full of pain,
But my love for you will always remain,
So remember me when you want me there,
And I will reach you always, I swear




- Gull - 02-22-2007

often unreasonable,
Illogical and self-centered.
Forgive them anyway.

If you are kind,
People may accuse
You of selfish motives;
Be kind anyway.

If you are successful,
You will win some false friends
And some true enemies;
Succeed anyway.

If you are honest and frank,
People may cheat you;
Be honest and frank anyway.

What you spend years building,
Someone could destroy overnight;
Build anyway.

If you find serenity and happiness,
They may be jealous;
Be happy anyway.

The good you do today,
People will often forget tomorrow;
Do good anyway.

Give the world the best you have,
And it may never be enough;
Give the world the best you have anyway.

You see, in the final analysis,
It is between you and God;
It never was between you and them anyway.


- Gull - 02-22-2007

Our Allah knows what's best for us,

But our hearts would lose there tende
So why should we complain ...

We always want the sunshine,
But He knows there must be rain.

We love the sound of laughter
And the merriment of cheer;

But our hearts would lose their tenderness
If we never shed a tear.

Our Allah tests us often
With suffering and with sorrow;

He tests us, not to punish us,
But to help us meet "tomorrow."

For growing trees are strengthened
When they withstand the storm;

And the sharp cut of the chisel
Gives the marble grace and form.

Allah never hurts us needlessly
And He never wastes our pain;

For every loss He sends to us
Is followed by rich gain.

And when we count the blessings
That Allah has so freely sent;

We will find no cause for murmuring
And no time to lament!



- shahzori - 02-23-2007

Sun liya hum ne faisla tera
Aur sun kar udaas ho baithay
Zehn chup chaap aankh khali hai
Jaise hum kainaat kho baithay

Dhundley dhundley se manzaron mein magar
Chhairti hein tajalliyan teri
Bholi bisri hoi rutton se udhar
Yaad aayein tasalliyan teri

Dil ye kehta hai zabt lazim hai
Hijr ke din ki dhoop dhalney tak
Aitaraf e shikast kya karna
Faisley ki gharri badalney tak

Dil ye kehta hai hosla rakhna
Sung rastey se hatt bhi saktey hein
Iss se pehle ke aankh bujh jaye
Jaane waley palat bhi saktey hein

Abb charaghan karein hum ashkon se
Ya manazir bujhey bujhey dekhein
Ik taraf tu hai ik taraf dil hai
Dil ki maanein ya ab tujhey dekhein

Khud se bhi kashmakash si jaari hai
Raah mein tera ghum bhi haayal hai
Chaak dar chaak hai qabay e hawaas
Berafu soch rooh ghaayal hai

Tujh ko paaya tou chaak see lein gey
Ghum bhi amrat samajh ke pee lein gey
Warna yun hai ke daaman e dil mein
Chand saansein hein ginn ke jee lein gey



- shahzori - 02-23-2007

ya aaj hamaisha ke liye mujh se bichhar ja
ya roz kisi baat pe ranjish na kia kar


- shahzori - 02-23-2007

jo tum ne thaan hi li hai
hamarey dil se niklo gey
tou itna jaan lo pyaarey
wafa ki sirhiyon par har qadam phaila hoa
ye aarzo'on ka lahu zaya na jaye ga
samandar saamne ho ga agar sahil se niklo gey
sitaarey jin kiaankhon ne hamein ik sath dekha tha
gawahi deney aayein gey
puraane kaaghzon ki baalkoni se
bohat se lafz jhaankein gey
tumhein wapis bulayein gey
kayi waadey fasaadi qarz khwahoon ki tarah
rastey mein rokein gey
tumhein daman se pakrein gey
tumhari jaan khayein gey
chhupa kar kis tarah chehra
bhari mehfil se niklo gey
zara phir soch lo jaana'n
nikal tou jao gey shayad
magar mushkil se niklo gey


- shahzori - 02-23-2007

zindagi ke chehrey ka
naqsh jab bigarr jaye
doston ki baaton mein
dushmani ubhar aaye
kaanch ki sunehri baat
zer e labb bikhar jaye
lafz beyaqini ke
jangalon mein ghirr jaye
sakht besabaati ho
baat baat zaati ho
iss tarah ke mausam mein
aaiyna zarori hai


- shahzori - 02-23-2007

mujhey mehsoos hota hai
jahan mein aankh jhapkon ge
wahin pe haadsa ho ga


- shahzori - 02-23-2007

manzil ki taraf koi rasta tou nikalne dein
wo log jo baithey hein auron ko tou chalne dein
ya husn e rafaqat ho ya tark e rafaqat ho
ya aap badal jayein ya mujh ko badalne dein
ya ghar ki khabar de dein ya izn e safar de dein
ya aap bhi rukk jayein ya mujh kobhi chalne dein
ghum wo ke lahu kar dein andar se hamara dil
hum wo ke pighal ke bhi aansu na nikalney dein
gar waqt ke marham ka darmaan na miley koi
kuch haadsey insaan ko barson na sanbhalne dein


- shahzori - 02-23-2007

abhi tou paaon ke neechey zamin maaloom hoti hai
jahan pe hatm howey ge wahin pe ghar bana lein gey
yehi hai na tumhein hum se bichhar jaane ki jaldi hai
kabhi milna tumharey mas'aley ka hal nikalein gey



- Gull - 02-24-2007

Apnay mazi say milnay chala ata hoon
teray iss sehar say warna mera kiya rishta