Accountancy Forum
poetry - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: poetry (/showthread.php?tid=2814)



- SUNAINA - 02-27-2007

BOHAT SE LOG JUDAA HUAY EK TUM BHI SAHI
AB ITNEE SE BAAT PAY KIA ZINDAGEE HARAAM KAREIN


- SUNAINA - 02-27-2007

TU BADAL GAYA TO BADAL GAYEE HAM BHE
PIYAAR KARTAY THAY KOI BANDAGEE TO NAHI
WAQT KAT HEE JAYEE GAA BAHAR SOORAT
TU KOI SHAT-E-ZINDAGEE TO NAHI



- shahzori - 02-27-2007

good selection @ sunaina


- shahzori - 02-27-2007

unhein hum soch mein gum dekh kar wapis palat aaye
wo apne dhiyaan mein baithey hoey achay lagey hum ko


- shahzori - 02-28-2007

"BHALI SI IK SHAKAL THEE......"


bhaley dino'n ki baat hai
bhali si ik shakal thee
na ye ke husn e taam ho
na dekhney mein aam si
na ye ke wo chaley tou kehkishaa'n si raahguzar lagey
magar wo saath ho tou phir bhala bhala safar lagey
koi bhi rutt ho uss ki chhab
fiza ka rang roop thee
wo garmiyon ki chhaaon thee
wo sardiyon ki dhoop thee
na mudd'aton juda rahey
na saath subh o shaam ho
na rishta e wafa pe zid
na ye ke izn e aam ho
na aisi khush libaasiyaa'n
ke saadagi gila karey
na itni betakallufi
ke aaiyna haya karey
na ehtalaat mein wo ramm
ke bad maza ho'n khawhishein
na iss qadar sapurdagi
ke zich karein nawazishein
na aashiqi janoon ki
ke zindagi azaab ho
na iss qadar kathor pan
ke dosti kharab ho
kabhi tou baat bhi khafi
kabhi sakoot bhi sukhan
kabhi tou kisht e zaafraa'n
kabhi udaasiyo'n ka bann
suna hai aik umr hai
muaam'laat e dil ki bhi
wisaal e jaa'n fiza tou kya
furaaq e jaa'n gussal ki bhi
so aik roz kya hoa
wafa pe behs chhirr gayi
mein ishq ko amar kahon
wo meri zid se chirr gayi
mein ishq ka aseer tha
wo ishq ko qafas kahey
ke umr bhar ke saath ko
wo bad'tar az hawas kahey
shajar hajar nahi ke hum
hamaish paa be gill rahein
naa dhaul hein ke rassiyaa'n
galey mein mustaqil rahein
mohabbato'n ki wus'atein
hamarey dast o paa mein hein
bas aik dau se nisbatein
saggaan e baawafa mein hein
mein koi painting nahi
jo ik frame mein rahoo'n
wohi jo mann ka meet ho
ussi ke praim mein raho'n
tumhari soch jo bhi ho
mein uss mizaaj ki nahi
mujhey wafa se bair hai
ye baat aaj ki nahi
naa uss ko mujh pe maan tha
na mujh ko uss pe zo'am hi
jo ehad hi koi na ho
tou kya gham e shikastagi
so apna apna raasta
hasi khushi badal liya
wo apni raah chal parri
mein apni raah chal diya
bhali si ik shakal thee
bhali si uss ki dosti
abb uss ki yaad,raat_din
nahi, magar,kabhi_kabhi


- SUNAINA - 02-28-2007

<font color="red"><font size="2">THANKS ALOT SHAHZORI FOR APPRECIATING MY SELECTION</font id="size2"></font id="red">

BARA DUSHWAAR HOTA HAI ZARA SAA FAISALA KARNAA
KAY JEEWAN KE KAHANI KO BIYAAN-E-BAIZUBANI KO
KAHAN SE YAAD RAKHNA HAI KAHAN SE BHOOL JANA HAI
USAY KITNAA BATAANA HAI US SE KITNAA CHUPANA HAI
KAHAN ROO ROO KAY HANSANA HAI KAHAN HANS KAY RULAANA HAI
KAHAN AWAZ DAINEE HAI DAINEE HAI KAHAN KHAMOOSH REHNAA HAI
KAHAN PAR SAATH CHALNAA HAI KAHAN RASTAA BADALNAA HAI
SUNO DUSHWAAR HOTA HAI BARA DUSHWAAR HOTA HAI
KAHAN RASTA BADALNAA HAI BARA DUSHWAAR HOTA HAI


- SUNAINA - 02-28-2007

do char lafz bol kar chup ho gaya thaa mein
woh muskuraa kar kehnay lagay,"bohat boltay ho tum"


- SUNAINA - 02-28-2007

at the end a message for all of you at ACCOUNTANCY FORUM

<font size="5"><b>Success does not happen by chance</b></font id="size5">

and a pray

mere dua hai kay tu naik seerat ho
tera dil tere tarah khubsurat ho
mil jayee har cheez tujhay dua se pehlay
khud dua ko teray haton ke zarorat ho


- SUNAINA - 02-28-2007

THIS DUA WAS GIVEN TO ME BY MY FRIEND AND WHILE LEAVING I AM PRAYING SO FOR ALL OF YOU


- SUNAINA - 02-28-2007

A.H AND ALOT OF BEST WISHES AND PRAY FOR ME TO REACH THE POSITION I HAVE DREAMED FOR


- shahzori - 03-01-2007

Dear Sunaina!
You said "while leaving",where are you going???
Remember,***faith in ALLAH and struggle hard__key to success.***
You will find our best wishes and prayers in the way of achieving your goal.


- Waqas Abbasi - 03-02-2007

jo roke to koh gara the hum
jo chale tu ja se guzer gahe

rahe yaar hum ne qadam qadam
tuje yaad gar bana diya hai


- zephyrrr - 03-02-2007

To my friend to who is my life because "Love is life" !
Everyone who will read it might be having some sort of
feelings about the .... relationship ..... that what he
was for me, is for me and will always remain for me and
what was, is and will perhaps I remain for him !

--------------------------------------------

Muhabbaton mein dikhaaway ki dosti reh gayee
Kisi ki "main'" pe meri bebasi saji reh gayee

Khudd apna chehra meray rukh say is tarah nochaa
Keh har kharaash kay chehray per ik hansi reh gayee

Kabhi jo lehjay mein chaahat thi, apna punn thaa, aaj
Shagufta tarz, takalluff, begaangi reh gayee

Wafaa kay khoon mein wo dard bharr gayey rishtay
Keh ranjishon kay zeher mein bhee be-khudi reh gayee

Wo jis ki aankhein theen ashkon ki ik janazah-gaah
Tamaam umr un aankhon mein phir, nami reh gayee

Main kho gaya tha fasaanon' ki bheer' mein shayad
Jo aaj mugh say hi tanhai ajnabi reh gayee

Kisi nay waqt ko lamhon mein aazmaa daalaa
Kalaayee toot kay pal pal ki, kaanmpti reh gayee

Suroon mein WAJD-E-QALANDAR hai teray FARAABI
Larazti naachti paazeib cheekhti reh gayee

Keh thaa sheher mein khudaaon ka wo hujoom ADEEL
Kahin khudaai, kahin bandagi, dhari reh gayee !

Muhabbaton mein dikhaaway ki dosti reh gayee !!!!


- Gull - 03-03-2007

Zindagi bhi kitni ajeeb hai

Do chaar pal jo Naseeb hai

Is pal main tum hum se aa milo

Yeh pal jo hamare qareeb hain

Haathon main haath leker hum

Is pal ko jee len aaj hum

Bhale is ke baad Zindagi na ho

Bas tere haathon main haath ho

Yeh Khuwahish mere Dil ki hai

Ke tera hi naam Naseeb ho




- Gull - 03-03-2007

Zindage kisi ke amanat nahe hote
Amanat mein kabhe khiyanat nahe hote
hum say doste zara sambhal ke karna
humaree dostee ke qaid mein zamanat nahe hote