Accountancy Forum
poetry - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: poetry (/showthread.php?tid=2814)



- Gull - 03-27-2007

ik pagal pagal si larki...!!!!
ik pagal pagal si larki...
dil toornay se darti thi.......
har pal har lamha khud se woh jhagarti thi...
ansoo kiun aye kisi ankh
main mujrim khud ko samujhti thi...
ghuut ghuut k jeeti rehti thi...
har sans ulajhti rehti thi...


soo baar kaha aaay nadan larki..!!!
dunya ko dekhna choor day...
khud se ulajhna choor day...
pal pal bikherna choor day..
yahan HAASSASS DIl to koi nahi....
yahan NAZUKi say kaam na lay...
yahan pather banna parta hai...
yahan rehumdilli say kaam na lay...


soo barr kaha par kaisay nasamjhi.... !!!
dunya ko sub samujhti thi...
phir wohi hoa jo hona tha.....
dil toota uska jiska ussay roona tha...
BHAROSAY ki deewar girri ...
SARD LEHJI haar baar mili....
phir simat gaye apni zaat main...
tamaam dukhon ko samaitay anchal main...
ankhon main jazbaat nahi..

pahlay say halaaat nahi...
Farq srif itna hoa...
khud apni zaaat ko TOOR dia...
tanhayeyoun se rishta jorr dia..
phir tanha tanha rehni lagi...
phir khud ko PATHEr kahnay lagi...
WOH IK PAGAL PAGAL SI LARKI....
JO DIL TOORNAY SE DARTI THI ......!!!!!!


- Gull - 03-27-2007

Little of the game I know
Little love for it I show
But beneath the belt its far below
To protest when you lose,
And burn effigies of your teams
Because they lost and broke your dreams


- Gull - 03-31-2007

tum katib-e-takdeer se israar to karte~~
shaid wo likh deta tera hath pe mera nam


- Gull - 04-01-2007

har kisi k khawab pure nahi hote.
har raat k sapne ek jaise nahi hote.
har ankh rona chati hai tanhayi mein.
magar har ek ankh k ansu ek jaise nahi hot.

kitni jaldi yeh mulaqat gujar jati.
hai pyas bhuti nahi aur barsat tham jati hai.
apni yadion se khah do uss kadar na aye.
neand ati nahi aur raat gujar jati hai..

kash khusyion ki koi dukan hoti.
hame bhi uss ki pehchan hoti,
kharid lete sari khusiyan hum app ki
chahe us ke badale keemat chahe hamari jaan hoti

zakhm itne ghare hai k izhar kiya kare.
hum khud nisana ban gaye war kiya kare.
mar gaye hum aur khuli rahi ankhe.
aur uss se zyada app ka intezar kiya kare

Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga,
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Mein,
Yoon To Sulajh Jatee hein Uljhee Zulfain,
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Mein





- Gull - 04-01-2007

baat banti nahi aise haalaat main..
main bhi jazbaat me,
tum bhi jazbaat me..
kaise sehte ho milke bichadne ka gum..
apse puchenge agli mulaqat me....


- Gull - 04-01-2007

Un ki gali mein ana jana adat si ik ho gaee hai
deikh k un ko jee behlana adat si ik ho gaee hai
kaisey keh dun is ko nafrat ,mumkin hai ye ulfat hu
dekhna mujh ko khidki bajana adat si ik ho gaee hai


kitney nazuk dil hun gey jo kuchle us ne paaon se
menhdi ka tu dhoong rachana adat si ik ho gaee hai
her ahat pe hum ye samjhey wo aaey wo aaey hain
aisey akser dhookey khana adat si ik ho gaee hai
un ki gali mein ana jana adat si ik ho gaee hai
deikh k un ko jee behlana adat si ik ho gaee hai



- Gull - 04-02-2007

life is only traveled only once, todays momenet becomes tomorrows memory,,,,enjoy every moment,,,,good or bad,,,,because the GIFT OF life IS life itself,,,,,,,


- Sarfaraz - 04-03-2007

Kabhi a nojawan muslim tadabur bhi kia tu ne
woh kia gardun tha k jiss ka tu hai ik tuta hua tara


- Sarfaraz - 04-03-2007

hum mashriq k maskeeno ka dil maghrib main ja atka hai
wahan kantar sab gulabi hain hain yahan ik purana matka hai


....................................
.................kahan se de patka hai ? ;(


- Accountant 2 - 04-09-2007

Eshq Nay Seekh He Li Wqat Ki Taqseem k Ab
Wo Mujhay Yad tu Ata Hai Mager Kam K Bad


- shahzori - 04-09-2007

"wo mujhey yaad tou aata hai magar kaam ke baad" nice one


- shahzori - 04-09-2007

aana jaana hai loadshedding ka
abb zamana hai loadshedding ka
log kehtey hein wapda jis ko
kaarkhana hai loadshedding ka
"shaam hi se bujha sa rehta hai"
dil nishana hai loadshedding ka
choriyaa'n barh gayee'n ke choro'n se
dostana hai loadshedding ka
radio chup khamosh hai TV
ye fasana hai loadshedding ka
late aatey hein roz daftar mein
aur bahana hai loadshedding ka
garmiyo'n mein salook 'Shahid' se
zaalimana hai loadshedding ka


- shahzori - 04-09-2007

hein ye aqwaal e quaid e azam
jo amal ka payaam detey hein
hum dafatir mein in ko latka kar
"decoration" ka kaam letey hein


- shahzori - 04-09-2007

dunya waalo zahir ki is khobi mein
mumkin hai aibo'n ki parda daari ho
log jisey aankho'n ki masti kehtey hein
mumkin hai wo aankho'n ki bemaari ho


- shahzori - 04-09-2007

hai mezbani ka ye taqaza
ke aaye mehmaa'n tou muskura do
magar tabiyat ye chahti hai
galey milo aur gala daba do