Accountancy Forum
poetry - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: poetry (/showthread.php?tid=2814)



- kamranACA - 04-10-2007


MAINAY ROKA BHI NAHI AUR WOH THEHRA BHI NAHI
HADISA KIYA THA JISEY DIL NAY BHULAYA BHI NAHI

WOH TU SADIYON KA SAFAR KAR KAY YAHAN POHNCHA THA
TU NAY JIS SHAKHS KO MUNH PHAIR KEH DEKHA BHI NAHI

JAANEY WAALON KO KAHAN ROKE SAKA HAI KOI
TUM CHALEY HO TU KOI ROKNAY WAALAA BHI NAHI

Regards


- unseendemon - 04-11-2007

this is the way the world ends
this is the way the world ends
this is the way the world ends



not with a bang , but with a whimper.


hollow man by eliot.


- sajid naveed khan - 04-13-2007

[<div align="left">b]<font color="red"><center><font size="6"><font color="black">THE HOLY QUR-AAN</font id="black"></font id="size6">
<font face="Courier New"></font id="Courier New"><font size="6"><font color="black">
<font size="4">A Book that is full of answers,
A Book that makes you cry.
A Book that makes you notice,
How much harder you can try.
A Book that makes you realise,
What true love really is...
A Book that gives you direction,
for all of life's tough biz.
A Book that gives you hope,
that Someone somewhere is watching over you.
A Book that helps you out,
Through all the times your blue.
A Book that was revealed to our beloved Prophet (SAWS),
over a period of 23 years
Once you put faith into this Book,
You can handle worldly fears.
A gift sent down from Heaven,
A treasure from above,
Written proof that shows us
How blessed we are with Allah(SWT's) love!</font id="black"></font id="size6"><center></center></center></font id="red">[/b]<div align="left"></div id="left"></div id="left"></font id="size4">


- Humaira - 04-24-2007

nice poetry keep it up thanks


- zephyrrr - 05-05-2007

Very respectfully, I dedicate this one to the initiator of this topic
HUMAIRA !!!

"SOME NEW POETIC VERSES FROM MY LATEST GHAZAL. STILL INCOMPLETE !"

Sila yeh mila dosti ka humein
Keh apni nazar mein giraayey gayey

Jo fursatt milay to kabhi poochna
Keh barson huey hum na aayey gayey

Hain auolaad kay haq say mansoob jo
Wo ehsaan' bhi hum per jitaaey gayey

Koi haq say mehroom yaan' rull gaya
Wahan' shaamiyaanay bajayey gayey

Wafaaon mein ghungroo lahoo honay tak
Sar-e-bazm-e-yaaraan nachaayey gayey

Hawa key sitam per bhi jee na bhara
Diyey phir jala kar bujhaaey gayey

Jahan-daar huey na qalandar ADEEL
Humein kaandhaa denay bhi saayey gayey


- shahzori - 05-28-2007

poetry section just like a "silence zone"......


- shahzori - 05-28-2007

bol ke lab azad hein tere...



- SFA007 - 05-31-2007

Kabhi ki hoge Suraj ne Chand se mohobat
Is lye Chand me daagh hain
Magar ho sakta hai Chand ne ki hoge bewafai
Is lye Suraj me itni aag hai


- SFA007 - 05-31-2007

Dekha jo kha k teer kamin gah ki taraf
Apnay hi doston se mulaqat ho gai


- SFA007 - 05-31-2007

Magas ko bagh me na jane do
Na haq khoon parwanay ka hoga




- SFA007 - 05-31-2007

Pathar jinhon ne phenkay thay unsay kia gila
Naseeb me melay hi thay sheeshay kay makan’



- sajid naveed khan - 06-09-2007

TANHAI AAKHIR MUJHE BHATI KYUN HAI !

PAAS KOI NAHI PHIR BHI WO YAAD AATI KYUN HAI !!
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
----
UNSE MILNA SAYAD AB MERE NASEEB MEIN NAHI !

KOI BATAYE YEH BADNASEEBI- ITNA SATATI KYUN HAI !!
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
-----
HAR RAASTE PER SIRF THOKAREIN MILI !

ZINDAGI MUJHE ITNA BHATKATI KYUN HAI !!
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
---
ZIKER -A- MOHABBAT PE YOUN MUH PHER LENA !

AGAR PYAAR NAHI TO PHIR MUSKURATI KYUN HAI !!
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
------
AFSOS UNHE BHI HAI MERE YOUN MAR JAANE KA !

AISA NAHI TO KABER PER AAKER AANSU BAHATI KYUN HAI !!
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -
-----
AAINA AAKHIR SAB BAYAN KER HI DETA HAI !

APNE HALAT PHIR WO CHUPATI KYUN HAI !!
------------ --------- --------- --------- --------- --------- -



- sajid naveed khan - 06-12-2007

"Kahan Aye Dost Chalte Jha Rahe Ho
Bohat Aage Nikalte Jaa Rahe Ho



Chale Jao Mager Yeh To Bata Do
Yeh Raaste Kiyun Badalte Ja Rahe Ho?



Dilon Ko Ishq Ki Sooli Charha Ker
Kahan Aab Haath Malte Ja Rahe Ho



Hume Samjha Rahe Ho Pyaar Se Tum
Suno....Tum Bhi Badalte Ja Rahe Ho



Utha Ker Bojh Kaandho Per Jafa Ka
Suna Hai Phir Sambhalte Ja Rahe Ho



Lagi Ho Chot Koi Dill Pe Jaise
Utha Ker Dard Chalte Ja Rahe Ho



Barha Ker Dosti "Haider" Se
Kaha Saayon Main Chalte Ja Rahe Ho



Jao ....Chale Jao ....
Kabhi Na Wapas Ana
Bohut Door Chale Jao



Kabhi Peeche Mur Ker Na Dekhna
Magar Jane Se Pehle
Mere Ek Sawal Ka Jawab De Ker Jana



- sajid naveed khan - 06-20-2007

KYAA PAYA

Hum ne pyaar main paaya to kyaa paya

Kabhi khud ro diye kabhi Tum ko Rulaya

Halat-e-ghum main beh gaya jho aansoon

Who Zindagi main phir kabhi na behne paya

Saza mujhe mili aur jaza unhain bi

Aisa bhi kya insaaf me hai sir jhukaya

Himmat nahee thi us main Saath mere dene ki

Ab tak na jaane vo kaise chal paya



- sajid naveed khan - 06-20-2007

Mera Zikar Na Karna


Dukh dard ke maaron se mera zikar na kerna...
Ghar jao to yaaron se mera zikar na kerna...

Woh zabt na ker payenge aankhon ke samandar...
Tum raah guzaron se mera zikar na kerna...

Phoolon ke nasheman mein raha hoon mein sada se...
Dekho kabhi khaaron se mera zikar na kerna...

Shayad ye andhere hi mujhe raah dikhayein...
Ab chaand sitaron se mera zikar na kerna...

Woh meri kahani ko galat rang na de dein...
Afsana nigaaron se mera zikar na kerna...

Shayad woh mere haal pe besakhta rodein...
Is baar baharon se mera zikar na kerna...

Le jayenge gehrayi mein tum ko bhi baha ker...
Darya ke kinaron se mera zikar na kerna...

Woh shakhs mile to usey har baat batana...
Tum sirf isharon se mera zikar na kerna...