Accountancy Forum
poetry - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: poetry (/showthread.php?tid=2814)



- Astute Accountant - 06-28-2007

Don’t say you are not important,
It simply is not true,
The fact that you were born,
Is proof, GOD has a plan for you.

The path may seem unclear right now,
But one day you will see,
That all that came before,
Was truly meant to be.

GOD wrote the book that is your life,
That’s all you need to know,
Each day that you are living,
Was written long ago.

GOD only writes best sellers,
So be proud of who you are,
Your character is important,
In this book you are the “star”,

Enjoy the novel as it reads,
It will stand throughout the ages,
Savor each chapter as you go,
Taking time to turn the pages.



- Imran - 06-29-2007

i dont thik so. she must not be ACA. Because they dont have such time as she and you have


- Imran - 06-29-2007

"Tere hathon mein pighal janay ko gee chahta hai
aatish-e-shoq mein jal janay ko gee chahta hai

tujh se ek raaz ki sargoshi bhee kerna chahoon
phir wohi raaz nigal janay ko gee chahta hai

dil yeh chahta hai tere dil mein rahoon dil ban ke
phir ussi dil se nikal janay ko gee chahata hai

hum se yeh rasm ki zanjeer bhee kab toot saki
dil ki zid per bhee machal janay ko gee chahta hai.....


- ali_boy9 - 07-06-2007

LOOKS LIKE HIMAT KHATAM HO GAE HA YA PHIR SHERS.OK HERE IS ONE

kabhi mujh ko saath le ker
kabhi mere sath chal ker
wo badal gay achanak
mere zindagi badal ker



- Imran - 07-09-2007

janay kiun? dil kisi ajnabhi par etabhar karnay laghta hay...
janay kiun? kissi ka hamari zindagi mein aana bahar sa laghta hay...
janay kiun? us sai milnay k baad haar koi ajnabhi saa laghta hay....
janay kiun? chaudwien k chaand mein ankhay us koo dhondhnay laghti hay ....
janay kiun? us k baghair haar mousam kizah kizah saa laghtha hay ...
janay kiun? janay kiun ?hamari soocho mein usi kaa khayal lagha rehtaa hay ....
janay kiun ? haar waqt usi k aanay ka intezarr lagha rehtaa hay ....
janay kiun? uss k becharnay ka khauf lagha rehtha hay ....
janay kiun? kisi sai eik baar mil kar ussi kaa honay ka dil chahtha hay ..
janay kiun? uss par sabh kuch qurbaan karnay ko dil chahta hay ...
janay kiun? uss k sath zindagi basar karnay ko dil chahtaa hay ...
janay kiun? us ki sansoon mein samanay ko dil chahtaa hay ...
janay kiun? us k sang marnay ko dil chahtaa hay ....
janay kiun??????? janay kiun ?????


- Humaira - 07-13-2007

AOA[)]
How all of u...[)]


Har jazbay ko zuban nahi milti
Har arzu ko dua nahi milti
Muskan banaye rakho to duniya hai sath
Aansuon ko to ankh main bhi panah nahi milti
take care of ur self n ur deeds
Allah hafiz


- Imran - 07-20-2007

Slam

"Tum ko chahtey hoey bhi bhool jana acha laga
Ansoon ko chupa kar muskurana acha laga....
Tum ajnabi they meray liey mager apna jaan kar acha laga
Pehchan to ik pal ki thi, mager sadiyon se jaan kar acha laga
Khaboon main yadoon main tum thay mager tum ko bhulana acha laga
Meri rooh ka ik hissa thay mager khud se juda karna acha laga
Meri zindagi ka sarmaya thay mager tum ko lutana acha laga
Meray armanon ka sawan thay mager tum ko barsana acha laga
Meri khushiyon ka jahan thay mager tum ko mitana acha laga
Khud ko bhool jana aur tum ko yaad karna acha laga
Sab khahishon ko mitana sirf tumhin pana acha laga
Logon k kehney main aana aur sab kuch bhulana bolo kissey acha laga
Yehi to rasm-e-duniya hai isay nibhana acha laga

Regards
Imran


- Imran - 07-21-2007

"Apne dil mein yaadon ko hum nahin rakhte

Issi liye koi ghum hum nahi rakhte

Zakhm-e-dil to chupa liya hum ne
Lekin yeh aansoo bharam nahin rakhte

Apni dosti ko hum zamaane mein ruswa nahin karte
Mohabbat hum bhi karte hain magar charcha nahin karte

Jo hum se milne aa jaey hum us ke khaadim hain
Jo uth ke jaana chahe usse hum roka nahin karte



- Cool Lioness - 07-22-2007

Aaj her khushi ko teri taraf mor doon
Teray liye chaand taaray taq tour doon
Khushiyon ke darwazay teray liye khoul doon
Itna kaafi hai ya do chaar jhoot aur bol doon???? [)]


- BeL@L - 07-22-2007

<b>Tamasha
Bikher jaingey hum, jaab tamasha khatam hoga
Magar meray mabood, kaab yeh tamasha khatam hoga</b>


- sajid naveed khan - 07-23-2007

vo din bhii aane vaalaa hai
jab terii in kaalii aa.Nkho.n me.n
har jazbaa miT jaayegaa
tere baal ji.nhe.n dekhe.n to
saavaan kii ghanaghor ghaTaaye.n
aa.Nkho.n me.n laharaatii hai.n

ho.nTh rasiile
dhyaan me.n laakho.n phuulo.n kii
mahakaar jagaaye.n
vo din duur nahii.n jab in par
patajhar kii rut chhaa jaayegii

aur us patajhar ke mausam kii
kisii akelii shaam kii chup me.n
gaye dino.n kii yaad aayegii
jaise ko_ii kisii ja.ngal me.n
giit suhaane gaataa hai

- tujh ko paas bulaataa hai



- Imran - 07-23-2007

"Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do
Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do
Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do
Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do
Mar gaye auroon kay liye ham Sanaam
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do



- zurpk - 07-24-2007

<b>"Main Tujhy Chahta Nahin Lekin </b>
Phir Bhi Jub Pass Tu Nahin Hoti
Khud Ko Kitna Udass Pata Hoon
Gum Seey Apney Hawas Pata Hoon
Ek Khamoshe Si Chai Rehte Hai
Jane Kya Dhun Samaee Rehte Hai
Dil Sey Bhi Guftago Nahin Hote
Main Tujhy Chahta Nahin Lekin
Phir Bhi
Shub Ki Taweel Khilwat Main
Teri Auqaat Soochta Hoon Main
Teri Her Baat Soochta Hoon Main
Koonsey Phool Tumko Bhate Hain
Rang Kya Kya Pasand Aate Hain
Kho Sa Jata Hoon Teri Jannat Main
Main Tujhy Chahta Nahin Lekin Phir Bhi
Ehsaas Sey Nijaat Nahin
Soochta Hoon To Runj Hota Hai
Dil Ko Jaisey Koi Dobota Hai
Jissko Itna Sarahta Hoon Main
Jissey Iss Darja Chahta Hoon Main
Uss Main Teri See Koi Baat Nahin
Main Tujhy Chahta Nahin Lekin



- zurpk - 07-24-2007

"<b>Main Tujhy Chahta Nahin Lekin </b>
Phir Bhi Jub Pass Tu Nahin Hoti
Khud Ko Kitna Udass Pata Hoon
Gum Seey Apney Hawas Pata Hoon
Ek Khamoshe Si Chai Rehte Hai
Jane Kya Dhun Samaee Rehte Hai
Dil Sey Bhi Guftago Nahin Hote
Main Tujhy Chahta Nahin Lekin
Phir Bhi
Shub Ki Taweel Khilwat Main
Teri Auqaat Soochta Hoon Main
Teri Her Baat Soochta Hoon Main
Koonsey Phool Tumko Bhate Hain
Rang Kya Kya Pasand Aate Hain
Kho Sa Jata Hoon Teri Jannat Main
Main Tujhy Chahta Nahin Lekin Phir Bhi
Ehsaas Sey Nijaat Nahin
Soochta Hoon To Runj Hota Hai
Dil Ko Jaisey Koi Dobota Hai
Jissko Itna Sarahta Hoon Main
Jissey Iss Darja Chahta Hoon Main
Uss Main Teri See Koi Baat Nahin
Main Tujhy Chahta Nahin Lekin



- Imran - 07-24-2007

"~~Jaa Rahe Hoo Phir Se Mujhe Rula Rahe Hoo~~
Sapne Deekha K Deap Bujha Rahe Hoo
Kion Suna Rahe Hoo Aur Ab Kion Tarpa Rahe Hoo
Humari Zindagi Le Ke Kahan Jaa Rahe Hoo
Bata To Do K Humien Chorh Ker Konsa Sagar Pa Rahe Ho
Sagar To Hi Hai Meri Zindagi Bhee
Ab Kis ko Sagar Bana Rahe Hooo
Na Jao Kahien Ke Ab To Hai Andaz- E- Ravan Aur
Kion Ab Is Zindagi Ko Maut Se Mila Rahe Hoo
Itnee Gurbat Na Thi Ajj Tek Ke Ek Pal Mien
Itne Fasle Mujhe Thamma Rahe Hoo
Kis Trah Mitaounga Mien In Fasloon Ko
Kion Itne Kadam Door Jaa Rahe Hooo
Pass Ana Hai Mushkil Gar Tera
Mujhe Phir Kion Nahi Bulla Rahe Hoo
Mien Pass Ana Chata Hon Tare
Mujhe Kion Doori Ka Ehsas Dila Rahe Hoo
Kion Door Jaa Rahe Hoo
Kion Muskura Rahe Hoo
Kya Khush Hoo Tum Bhee Ya Meri Tarah Anson Baha Rahe Ho
Dil Mien Kya Hai Tere Yeh Janta Hon Mien Bhee
Par Lagta Hai K Tum Bhee Meri Trah Kuch Chupa Rahe Ho
Pyar Hai Humari Zindagi Par Chor Ke Jaa Rahe Ho
Kion Ajj Mujhe Is Gham Mien Ab Aur Tarpa Rahe Ho
Ajana Jaldi Se ,K Dil Lagta Nahi Hai Tere Bin
Humien To Tum Udass Karke Jaa Rahe Hoo
Pyar To Hai Mager ,Is Pyar Mien Tarpa Rahe Ho
Jaa Rahe Hoo Phir Se Mujhe Rula Rahe Ho