Accountancy Forum
poetry - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: poetry (/showthread.php?tid=2814)



- Astute Accountant - 09-27-2007

Pholoon Ki Woh Mehakti Khushboo
Barish Ka Woh Bhega Pani
Aur Hawa Mein Thi Jo Rawani
Kya Uss Mousam Ka Khumaar Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?

Thi Chehrey Par Unkey Masomiyat
Aankhoon Mein Thi Thori Shararat
Aur Baatoon Mein Woh Nazakat
Kya Unka Rangeen Mizaaj Likhoon?
Kuch Likhna chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?

Unka Aaker Muskurana
Jo Rooth Jaon To Manana
Jate Jate Phir Rulana
Kya Unka Yeh Andaaz Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?

Yaadoon Mein Unkey Ashk Bahana
Her Shaam Ek Diya Jalana
Soi Umeed Ko Roz Jagana
Kya Unka Yeh Intezar Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhon


- Humaira - 09-28-2007

AOA...sorry kamran i donot know who is the poet of this poetry

ok Allah hafiz


- sajid naveed khan - 10-08-2007

Jub Panchi Sare Urh Jaye
Har Simt Andhera Chha Jaye
Jub Guzri Batein Yad Aaye
Or Bitey Lamhe Tarpaye
Mat Tanha Tanha Ghabrana
Tum Pas Hamare Aajana

Jub Koi Din Sham Kare
Jub Lab Ki Hansi Badnam Kare
Jub Wehsgat Dil k Naam kare
Yaa Ankh My Neend Haram Kare
Mat Tanha Tanha Ghabrana
Tum Pas Hamare Aajana!



- sajid naveed khan - 10-08-2007

kabi gardish-e-waqat ne aaj taak meray hoslay ko na maa't de
jo hawa k rukh pe tha zo-fishaN wo mera he husan-e-khayal tha


- sajid naveed khan - 10-08-2007

KABHI HER PAL JO CHAHTAY The SAATh HAMARA
WO BHI CHOR GAYE HAIN HAMAain AAJ TANHA...

KABHI SOCHTAY They HUM UNHAIN PASS BETH KER
AB YAAD KERTAY HAIN HER PAL MAGAR TANHA...

JIN RASTON PAY GAYE They HUM SAATh TUMHARAY
UNHEE PAThROON PAY CHALTAY HAIN HUM AAJ TANHA...

KERTAY They HUM GuROOR TERY QURBAT PAY BUHUT
KEEYA ISEE KAMBAKHT NAY HAMAIN MAGAR TANHA ...

KABHI ThA INTEZAAR HAMAIN SHAB-E-WISAL KA
HAIN MAUSAM-E-HIJRAAN KE TUFAIL HUM AAJ TANHA...

AB TO HONTOON PAY HAY BAS AIK HEE DUAA
KAASH WO MILAIN DILSE MAGAR TANHA...


- sajid naveed khan - 11-01-2007

Humaira BB keep it up now; you have taken it back but its again going to hidden topics


- sajid naveed khan - 11-07-2007

Door ja ker b un se door ja na sake
kitne roye kisi ko bata na sake
dard ye nahi wo hamain mil na sake
dard ye hai ke ham unhain bhula na sake


- sajid naveed khan - 11-07-2007

mere bey rabt khiyalat mai kia rakha hai
mai to pagal hoon mere khiyalat mai kia rakha hai
baandh rakha hai teri yaad ne maazi se mujhe
warna guzre hue lamhat mai kia rakha hai
tu na mil paye to or kia khuda se maangoo
tu alag ho to meri zaat mai kia rakha hai


- Imran - 11-07-2007

"Doob Rahi Hain Saansain Magar Ye Gumaan Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai

Muddat Hoee Ek Shakhs Ko Bichrhey Lekin
Aaj Tak Merey Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hai

Wo Saayibaan Chin Gaya To Koi Gham Nahee
Abhi To Merey Sir Pe Ye Aasmaan Baaqi Hai

Kashti Zara Kinaarey Ke Qareeb He Rakhna
Biphri Hoee Lehron Mein Abhi Toofaan Baaqi Hai

Tumharey He Ashkon Ne Lab Si Diye Warna
Abhi To Merey Dukhoon Ki Bohut Daastan Baaqi Hai

Ghamon Se Keh Do Ke Abhi Na Rakht-e-Safar Baandhain
Ke Abhi To Merey Jism Mein Kuch Aur Jaan Baaqi Hai

Ja Chukey Hain Sab Log Khamosh Parhi Hai Basti
Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-e-Makaan Baaqi Hai







- sajid naveed khan - 11-07-2007

Mere dost tanhai me na waqt bitaya karo,
Kabhi kabhi mehfilon me bhi aaya karo,

Kiya hua jo toot gaye hen samney k 4 dant,
Phir bhi moun khol ker muskuraya karo..




- sajid naveed khan - 11-07-2007

Ek tamanna hai fakat mujh pey meharban raho
tum kisi aur ko dekho to bura lagta hai

Mery chahat ka takaza hai mere sath raho
ghair ka hath jo thamo tu bura lagta hai

Arzo hai tere her roop ko her pal dekhon
tum mere pas sey utho tu bura lagta hai

Roz-e-shab aaj b perwa hai tumhari mujh ko
tum kisi aur ko socho tu bura lagta hai

Ye mery rooh tarasti hai tumhari khushbo ko
tum kahin aur ja k mehko to bura lagta hai




- sajid naveed khan - 11-07-2007

Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay he afsanay
kuch qisse naye thay aur kuch berson puranay

Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se they qareeb
kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay

Kaash aisi koi rut koi moosam aaye
khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay

Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hia
aik roz to aayein ** wo hum ko mananay

Safha-e-dil ko koi humare perh ker dekhay
khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay

Guzra howa zamana bhula do zehen se apnay
aatay nahi loat k beetay howe zamanay




- sajid naveed khan - 11-07-2007

Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega
Itna Mat Chaaho Use Wo Bewafa Ho Jaayega

Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai
Jis Taraf Bhi Chal Parainge Raasta Ho Jaayega

Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya
Tu Nahin Mera To Koi Doosra Ho Jaayega

Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Raha Hoon Dosto
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jaayega

Sab Usi Ke Hain Hawa, Khushboo, Zameen-o-Aasmaan
Main Jahan Bhi Jaaoonga Us Ko Pata Ho Jaayega

Rooth Jaana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jaayega


- sajid naveed khan - 11-07-2007

"Raat sunti rahi main sunata raha
dard ki dastaan main batata raha
log logoon se chahat nibhate rahe
ik wo tha mera dil jalata raha
dhoop chhaoo si us ki tabiyat rahi
wo nigahain milata churata raha
ik main he pyasa raha dosto
log peetay rahe main pilata raha
dil k mehmaan khanae main ronaq rahi
koi ata raha koi jata raha
Tamam maktab ne sara sabaq perh lia
main tera naam likhta raha mitata raha"


- Astute Accountant - 11-08-2007

<center><b>Bara dushwar hota hai
Zara sa faisla karma
K jewann ki kahani ko
Bayan-e-bay’zabani ko
Kahan se yaad rakhna hai
Kahan se bhool jana hai
Kisay kitna bataana hai
Kis se, kitna choopana hai
Kahan ro ro k hansna hai
Kahan hans hans k rona hai
Kahan awaz dayni hai
Kahan khamoosh rehna hai
Kahan rus'ta badalna hai
Kahan se laot aana hai
Bara dushwar hota hai
Bara dushwar hota hai…………</b></center>