Accountancy Forum
poetry - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: poetry (/showthread.php?tid=2814)



- israrhere - 11-09-2007

Koi had be usko yad nahi
Koi bat be usko yad nahi
Ek shakhs ne usko chaha tha
Wo zat bhe usko yad nahi
Jab shab ke bejli chamki thi
Aur badal toot ke barsa tha
Hum dono jis mai bhigy the
Wo barsat bhe usko yad nahi
Wo sahil darya phool hawa
Aur wada sath nibhane ka
Aur shab bhar chand ko dekha tha
Wo rat bhe usko yad nahi
Wo kehta tha mai sunta tha
Mai kehta tha wo sunta tha
Un lakho bato mai koi
Ek bat bhe usko yad nahi



- sajid naveed khan - 11-12-2007

Baarha mujh sae kaha dil nae kae ae shoubda ger
Too kae alfaaz sae asnaam gari kerta hai
Kabhi oos husne-dil-ara kee bhee tasweer bana
joo tere sooch kae khakoon main lahoo bherta hai
Baarha dil nae yae awaaz sunee oor chaaha
Maan loon mujh sae wajdaan joo mera kehta hai
Lekin iss ajaz sae hara meray fun ka jadoo
Chaand ko chaand sae bedrh ker koi kiya kehta hai


- sajid naveed khan - 11-16-2007

"Dua ki soorat main uski khatir,
Jo mairy honton se lafz nikly,
Jo meri ankhon se ashk nikly,
unhi k badle main Ae KHUDAA,
jab b uska naseeb likhna
"UROOJ likhna, Kamal likhna,
kabhe na lafz-e- zawal likhna"


- sajid naveed khan - 11-16-2007

Sab sae chupa ker dard jo wo muskara diya,
Uski hansi nae tu aaj mujh ko bhee rula diya,

Lehjay sae uth rahi thi har ik dard ki dastan
Chehra bata raha tha sub kuch ganwa dia,

Awaz mein thehrao tha ankhon mein nami thi
Aur keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya,

Janay kia usko theen mujh sae shikayatein
Tanhaiyon kae dais mein khud ko basa dia,

Khud bhi woh hum say bichar k adhora sa ho gaya
Muj ko bhi itnay logoon mein tanha bana dia.....


- sajid naveed khan - 11-16-2007

ӁÑ#1740;ã ˜æÑŠ ã#1740;Ÿ ªã äÀ ªæŸ ÿ
#1740;Ý ÌÓŠÓ ˜Ç ˜#1740;Ó #1740;Ç äæÇÒ ÔÑ#1740;Ý
áǘª Çªæ #1740;À ˜#1740;Ó ÎÊã äÀ ªæŸ ÿ
˜Ó ˜Ó ˜#1740;Ó ˜æ ˜Ñæ ÿ ª#1740;äá
ãÑ ÌÇÆ#1740;Ÿ ÿ Ñ #1740;À ÎÊã äÀ ªæŸ ÿ
Ç#1740;˜ Ç#1740;˜ Ý#1740;Õáÿ Ñ ªæÊÇ ªÿ ̐ªšÇ
áǘª Çªæ #1740;À ªÿ ÈäÏäÀ ªæŸ ÿ
˜æÆ#1740; ȘÊÇ ªÿ Êæ ˜æÆ#1740; äÆ#1740;Ÿ ȘÊÇ
#1740;ªÇŸ Ñ #1740;À ÊãÇÔÿ ÎÊã äÀ ªæŸ ÿ


- sajid naveed khan - 11-16-2007

kabhii kabhii mere dil me.n Khayaal aataa hai…

ke zindagii terii zulfo.n kii narm chaao.n me.n
guzarane paatii to shaadaab ho bhii sakatii thii
ye tiirgii jo merii ziist kaa muqaddar hai
terii nazar kii shuaao.n me.n kho bhii sakatii thii

ajab na thaa ke mai.n begaanaa-e-alam ho kar
tere jamaal kii raanaaiiyo.n me.n kho rahataa
teraa gudaaz badan terii niim-baar aa.Nkhe.ni.nhii.n hasiin fasaano.n me.n maaho rahataa

pukaaratii.n mujhe jab talKhiyaa.N zamaane kii
tere labo.n se halaawat ke ghuu.NT pii letaa
hayaat chiikhatii phiratii barahanaa-sar, aur mai.n
ghanerii zulfo.n ke saaye me.n chhup ke jii letaa

magar ye ho na sakaa aur ab ye aalam hai
ke tuu nahii.n, teraa Gam, terii justajuu bhii nahii.n
guzar rahii hai kuchh is tarah zi.ndahii jaise
ise kisii ke sahaare kii aarazuu bhii nahii.n

zamaane bhar ke dukho.n ko lagaa chukaa huu.N gale
guzar rahaa huu.N kuchh a.njaanii guzar_gaaho.n se
muhiib saaye merii simt ba.Date aate hai.n
hayaat-o-maut ke pur


- Imran - 11-17-2007

"Har khushi dil ke qareeb nahee hoti
Zindagi ghamoon sa door nahe hoti
Aye dost dosti ko sambhal kar rakhna
Dosti her kesi ko naseeb nahe hoti...



- Sarfaraz - 11-18-2007

A neend nagar k bashindo

A khawab nagar k shahzado



Main tabeero ka tajir hun

Kia tum tabeer kharido gay?



Kia tum gum-gashta gum-karda

Apni jageer kharido gay



Manzar main kushada seenay hain

Aur pas manzar main goli hai



Har ik tasweer main mazlumo k

Garm lahu ki holi hai



Sarko pe jo hain faryad kuna

Un maaon ki danda doli hai



Khichti hai jo mere tasawar main

Gham ki tasweer kharido gay?



Main tabeero ka tajir hun

Kia tum tabeer kharido gay?



Dal jheel k khun milay pani se Bhar kar kuch jag laya hun

Pathrai hui ankho k heeray moti aur nag laya hun





galiyon main sisikti lasho ne jo di hai who shah rag laya hun



un sab ne bus itna pucha hai TUM KAB KASHMIR KHARIDO GAY?



As'hab e nabi k gulshan ki kaliyo se saji kuch chariyan hain

Sunnat k suchay moti hain qura'n ki qeemti lariyan hain

Kuch ishq e nabi halqay hain Kuch khof e khuda ki kariyan hain

Har toq se jo azaad karay KIA WOH ZANJEER KHARIDO GAY



Main tabeero ka tajir hun

Kia tum tabeer kharido gay?



Takbeer k pur haibat naray bhi Toheedi lalkar bhi hai

Dushman ki safain jo cheer k rakh de ik aisee yalghar bhi hai

Mere thailay main jazbo ki dhar hai jiss par who talwar bhi hai



Koi taigh o tabal khanjar naiza koi shamsheer kharido gay?



Main tabeero ka tajir hun

Kia tum tabeer kharido gay?


- Humaira - 11-18-2007

AOA[)]

ye jo zindagi ki kitab hai
ye kitab bhi kiya kitab hai

kahin ek haseen sa khawab hai
kahien jaan laiwa azab hai

kahien ansuon ki ha dastaan
kahien muskarahaton ka bayan hai

kai chehre is mein chupay huwe
ek ajeeb sa ye naqab hai

kahien kho diya kahien paa liya
kahien ro liya kahien ga liya

kahien cheen leti hai her khushi
kahien meharban be-hesaab hai

kahien barkatoon ki hain barishen
kahien tashnagi be-hesaab hai

ok Allah hafiz


- Imran - 11-19-2007

(YADEIN)

"Ajeeb lagti haisham kabi kabi.
zindagi lagti hai bejan kabi kabi.
samaj aye to hamain bi batana k.
kyun karti hai yadain pareshan kabi kabi.




- sajid naveed khan - 11-19-2007

Juda hone ke baad,
Phir kyon yaad aate hoo,
Andheri raat mein,
Phir kyon roshni jalate hoo,
Apni palkoon mein,
Phir kyon mujhe bithate hoo,
Nigahon se tum mujhe,
Phir kyon bin pye pilate hoo,
Tanhai ka sabaab,
Abhi nahin hai choota,
Raaste mil gaye hain,
Dil abhi bhi hai toota,
Koshish bhi karoon too mein,
Tanhai nahin bhula pata hoon,
Teri ek-ek chingari se,
Aaj bhi mein dil jalata hoon


- Imran - 11-19-2007

"Gungat Mein Tujhe Dekha To Dewanna Hua,

Sangeet Ka Taraana Hua,
Shamaa Ka Parwana Hua,
Masti Kamastaana Hua,
Jaise Hi Gunghat Uthaya Is Duniya Se Ravana Hua



- sajid naveed khan - 11-19-2007

"Thuk gaye hain hum aap kay rooz kay sataney say
Toor dijiye aap taaluq koo iss tarah neebhaney say

Aub kay hum gaye too phir loot ker na ayain gay
Baaz ger na ayain aap her waqat azmaney say

Leher shikwa shikayat kee phir koi jukkur lay gee
Phir woo rooth jaye ga fiyda phir mananey say

Poochtey hoo kiya hai mera shughal shame tanhai
Miltee hee nahen fursat aap kae naaz othaney say"


- sajid naveed khan - 11-22-2007

Humne chaha jissay humain woo kabhi milla hee naheen

Khuda nae shayaad meri iss dua koo suna hee naheen

Hir ek sae poocha hum nae oos kae na milnay ka sabab

Hir koi yahe bola wo shayad teray liye bana hee naheen

Kitnee shidaat oor omung sae chaha tha hum nae oosey

Iss jahaan main lekin shayaad wafa ka silla hee naheen

Meraay humnasheen yae dua hai meeri koi gilla naheen

osey woo sakoon millay jo mujhey kbhi milla hee naheen


- Imran - 11-23-2007

Yeh Jo Sham Dhal Rahi Hay
Isay Sehal b Na Jano
Yeh Thehar Gayi Jo Dil Mein
Yehi Shab Halakton Ki
Yehi Dopehar Ki Kari Hay
Pas-e-Gard-e- Ehd-o-Paimaan
Yeh Jo Hijr Ki Ghari Hay
Yeh Fishar-e-Jaan Ka Mausam
Yeh Jo Dil Giraftagi Hay
Yeh Jo Weham Hay Lahoo Mein
Yeh Jo Seham Aankh Mein Hay
Yeh Sinaan Si Waswasoon Ki
Jo Khayal Mein Gharri Hay
Yeh Jo Aik Khalish Wafa Ki
Tera Jaur Seh Gayi Hay
Yeh Jo"UnKahi Kahani"
Mery Dil Mein Reh Gayi Hay
Yeh Thakan Rahay Junoon Ki
Jo Utar Gayi Ragon Mein
Yeh Teri Meri Khushi Hay
Yeh Chiragh Chahton k
Jo Hawa Mein Jal Rahay Hain
Inhein Kab Talak Sambhalein?
Chalo Phir Se Torr Daalein
Vo Tamaam Ehd-o-Paimaan
k Main Tujh Mein Jee Raha Hoon
k Tu Mujh Mein Bus Rahi Hay
Chalo Phir Se Sochtey Hain
k Main Tujh Se Naa Shanasa
k Tu Mujh Se Ajnabi Hay
Vo Jo Rasm-e-Dosti Hay
Vo Rahay To Jaan Salamat
Na Rahay To Phir b Jaana
Tera Gham Sambhalney Ko
Abhi Zindagi Parri Hay...!!!