Accountancy Forum
poetry - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: poetry (/showthread.php?tid=2814)



- Imran - 11-23-2007

"Zindagi Ki Rahon Main Boht Se Log Milenge,
Hamse Bhi Ache Hazaar Milenge,
In Achon Ki Bheeer Main Hamen Naa Bhool Jana,
Ham Kahan Tumhe Baar Bar Milenge....!!!!



- Sarfaraz - 11-23-2007

By a Shaheed

Jan har k dil apna khud hi jeet liya hai
Ub main hun meri qabar hai rangeen qaba hai

Ik rooh hai k jo khuld ki hai aish o tarab main
Ik jism k zakhmo k mazay lut raha hai

Phir lot kar janay ki tammana hai zamee par
Phir arzuey razam gah sabr o raza hai

Jan har k dil apna khud hi jeet liya hai
Ub main hun meri qabar hai rangeen qaba hai

Phir shoq hai zakhmo se main zeenat dun badan ko
Phir zouq e talab khun se nahany pay tulla hai

Jan har k dil apna khud hi jeet liya hai
Ub main hun meri qabar hai rangeen qaba hai


- Imran - 11-23-2007

kuch ehsas

KITNE MOSAM THAY MERE DIL KI GALIYU ME-----BADALO KI TARHA KAHI DOUR UR GAEY-----KITNA DIL THA KHELU GI ME BE BAHARU ME------ABI TU ME KALI THI PAUO JAKHMI HO GAEY-------KITNE PHOL KHILE THAY,KITNE KHAB SAJAE THAY------BEDAAR HONE SE PHELE HI SB CHAKNACHOOR HO GAEY------ZINDAGI THI MERI JESE TITLI HO BAGU ME-------URAAN BHARNE SE PHELE HI MERE PANKH TOT GAEY------REH LU GI ME IS DHUKHO KI DUNIYA ME------JITNE KHAB THAY JINE KE SB KAHI DOUR KHO GAEY!!!!!



- Imran - 11-23-2007

kuch ehsas

KITNE MOSAM THAY MERE DIL KI GALIYU ME-----BADALO KI TARHA KAHI DOUR UR GAEY-----KITNA DIL THA KHELU GI ME BE BAHARU ME------ABI TU ME KALI THI PAUO JAKHMI HO GAEY-------KITNE PHOL KHILE THAY,KITNE KHAB SAJAE THAY------BEDAAR HONE SE PHELE HI SB CHAKNACHOOR HO GAEY------ZINDAGI THI MERI JESE TITLI HO BAGU ME-------URAAN BHARNE SE PHELE HI MERE PANKH TOT GAEY------REH LU GI ME IS DHUKHO KI DUNIYA ME------JITNE KHAB THAY JINE KE SB KAHI DOUR KHO GAEY!!!!!



- sajid naveed khan - 11-23-2007

Thori see iss taraf bhe, aap kee nazar honee chahiye

Main hoon ek bashar, khata-e-bashar honee chahiye

Aap jantay naheen to aap koo kaisay sumjahain hum

Aap ko meray ghamon kee bhe khabar honee chahiye


- Humaira - 11-26-2007

AOA[)]

Hum ju kehty they zindagi kuch nahi hay terey bina
laikin yeh kia kay zindagi sub kuch hay terey bina

ab tu raat bi kut jati hay din bi guzer jata hay
sub waisa hi hay kuch bi tu nahi badla terey bina

terey janey pey ju rim jim si thi ankhoon mein ab
thaher gia hay ankhoon ka woh samander terey bina

waqt nay bohut kuch sikhla dia hay mughey
ab tu wuqt bi guzar jata hay terey bina

shahid muhabbat kereny kay adaab hi na they
ab zindagi nay woh bi sikhla diey terey bina

ju guzar gia hay waqt, so guzar gia dost
ju reh gia hay, guzar jaey ga terey bina

ok Allah Hafiz[)]


- sajid naveed khan - 11-27-2007

Na seeo hoont na khawaboon main sada do hum ko
Muslihaat ka yahee taqaaza hai kae bhula do hum ko

Hum haqeeqat hain too tasleem na kernay ka subub
Haan ager harf - e - ghulut hain too mita doo hum ko

Shorish ishq main hai husun barabaar kae shareek
Sooch ker jurm - e - tammana kee saza doo hum ko

Maqsad-e-zeest ghum-e-ishq hai sehra hoo kae sheher
Baith jainain gay jahaan chahhoo beetha do hum ko

Koon deta hai muhabaat koo perustish ka maqaam
Tum yae insaaf sae socho to shayad dua doo hum ko


- Astute Accountant - 12-04-2007

<b>Jo Khayal They Na Qayas They Wohi Log Mujh Sey Bichar Gaye
Jo Mohabbaton Ki Asaas They Wohi Log Mujh Sey Bichar Gaye

Jinhain Maanta Hi Nahi Ye Dil Wohi Log Merey Hain Hamsafar
Mujhey Har Terha Sey Jo Raas They Wohi Log Mujh Sey Bichar Gaye

Mujhey Lamha Bhar Ki Rifaqaton Key Saraab Bohat Satayen Gey
Meri Umr Bher Ki Jo Pyaas They Wohi Log Mujh Sey Bichar Gaye

Ye Jaal Sarey Hain Aarzi Ye Gulaab Sarey Hain Kaghzi
Gul-E-Arzoo Ki Jo Baas They Wohi Log Mujh Sey Bichar Gaye

Jinhain Ker Saka Na Kubool Mai Wohi Shareek-E-Raah Safer Huey
Jo Meri Talab Meri Aass They Wohi Log Mujh Sey Bichar Gaye

Meri Dharkanon Key Kareeb They Meri Chah They Mera Khuaab They
Wo Jo Roz-O-Shab Merey Pass They Wohi Log Mujh Sey Bichar Gaye</b>






- Imran - 12-11-2007

KUCH AHSAS

"KITNE MOSAM THAY MERE DIL KI GALIYU ME-----BADALO KI TARHA KAHI DOUR UR GAEY-----KITNA DIL THA KHELU GI ME BE BAHARU ME------ABI TU ME KALI THI PAUO JAKHMI HO GAEY-------KITNE PHOL KHILE THAY,KITNE KHAB SAJAE THAY------BEDAAR HONE SE PHELE HI SB CHAKNACHOOR HO GAEY------ZINDAGI THI MERI JESE TITLI HO BAGU ME-------URAAN BHARNE SE PHELE HI MERE PANKH TOT GAEY------REH LU GI ME IS DHUKHO KI DUNIYA ME------JITNE KHAB THAY JINE KE SB KAHI DOUR KHO GAEY!!!!!



- sajid naveed khan - 12-21-2007

har taraf har jagah beshumaar aadamii
phir bhii tanahaaiiyo.n kaa shikaar aadamii
subah se shaam tak bojh Dhotaa huaa
apanii hii laash kaa Khud mazaar aadamii
har taraf bhaagate dauDate raaste
har taraf aadamii kaa shikaar aadamii
roz jiitaa huaa roz marataa huaa
har nae din nayaa intazaar aadamii
zindagii kaa muqaddar safar dar safar
aaKhirii saa.Ns tak beqaraar aadamii



- Humaira - 01-01-2008

AOA,
FROM MY SIDE TO ALL OF U....


Ab kay saal tum kuch aisa kerna
Apnay pichlay 12 maah kay
Dukh sukh kay andaazay kerna
busri yaadein taaza kerna
Saada sa ik kaaghaz lay kay
Bhoolay busray pal likh lena
Apnay saaray kal likh lena
Saaray dost ikathay kerna
Saari subhain haazir kerna
Saari shamain paas bulaana
aur ilwaw inkay dekho
Saaray mausam Dheyaan main rakhna
phir mohtat-e-qiyas lagana
ger to khushian berh jaati hain
To phir tum ko meri taraf say
ANAY WALA NAYA SAAL MUBARIK



- Humaira - 06-28-2008

Kabhi moom ban ke pighal gaya
Kabhi girte girte sambhal gaya
Woh ban kay lamha guraiz ka
Mere pass se youn nikal gaya
Usay rokta bhi to kis terha
Kay woh shakhs itna ajeeb tha
Kabhi tarab utha meri Aah say
Kabhi ashk say na pighal saka
Sar-e-Rah mila woh ager kabhi
To nazer chura kay guzar gaya
Woh utar gaya meri ankh say
Mere Dil say woh kiun na utar saka
Woh chala gaya jahan chhor kay
Main wahan say phir na palat saka
Woh sambhal gaya mager aj tak
Main bikhr kay phir na simat saka


- Astute Accountant - 07-23-2009

<b>Kis Ehd Ki Baatain Kartay Ho....?
Kab Kon Kisi Ka Hota Hai...!
Kab Kon Kisi Ki Chahat Main,
Yoon Zehr Ka Saagar Peeta Hai...
Hijr, Murawwat, Mehr-o-Wafa,
Sab Rasmi Rasmi Baatain Hain,
Har Shakhs Khudi Ki MAsti Main,
Bus Apni Khatir Jeeta Hai.....!</b>


- Malik1 - 08-13-2009

<center><font size="3">Yad aon to itni si inayat karna
Apne badle huay lehjay ki wazahat karna

Tum to chahat ka shahkar huwa karte thay
Kis say seekha hai ye ulfat main milawat karna

Hum sazaon k haqdar banay hain kab say
Tum hi keh do k jurm hai kya mohabbat karna

Teri furqat main ye akhien abhi tak num hain
Kabhi aana mere ashkoon ki ziyarat karna

Dil main ab bhi mohabbat k diye hain roshan
Dekh bhoolay nahi teri hasti ki ibadat karna</font id="size3"></center>


- shafiqb9 - 08-18-2009

Barishon k mosam ma
Waqt k andheron ma
main ne us se pohcha tha
chor to na jao ga

hath tham kr us ne
kaan ma ye bola tha
kaise chohr sakta hon
tm to jaan ho meri

aur aj aisa ha
waqt ki tamazat ma
wehshaton k mosam ma
ma ne us se poocha hai
chor kr hi janna tha
to aas kyon dilai thi
piyas kyun jagai thi

mere in sawalon pr
chalte chalte wo bola

Mosam ki to adat ha
Waqt pr badal jana.................!