Accountancy Forum
poetry - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: poetry (/showthread.php?tid=2814)



- Ali RAZA - 10-07-2009


The gray sea and the long black land;
And the yellow half-moon large and low;
And the startled little waves that leap
In fiery ringlets from their sleep,
As I gain the cove with pushing prow,
And quench its speed i' the slushy sand.


Then a mile of warm sea-scented beach;
Three fields to cross till a farm appears;
A tap at the pane, the quick sharp scratch
And blue spurt of a lighted match,
And a voice less loud, through its joys and fears,
Than the two hearts beating each to each!




- WARDAH - 10-08-2009

Salam to all!!
Tery naam ki thi jo roshni
Usay khud hi mainy bujha dia
Jo jala ski na dhoop bhi
Usay chaandni ny jala dia
Mai hun gerdishon mai ghira hua
Mujhay aap apni khaber nahin
Wo jo shakhs tha maira rehnuma
Usay raasty main ganwa dia. . .


- WARDAH - 10-14-2009

mosam-e-hijr k lamhat koi kya janay
kya guzrti hai mairy sath koi kya janay

dooriyon mai bhi tery sath marasim hain wohi
roz hoti hai mulaqat koi kya janay

log husti hui ankhon Pay yaqeen rkhty hain
mairy ansoo,mairy jzbaat koi kia janay

ik tu hai jisy maloom hain saari baatain
shab-e-hijraan mairay halaat koi kya jaany

koi kya janay keh khamooshian kya kehti hain
mairi ankhon kay sawalaat KOI KYA JANY


- Malik1 - 10-17-2009

<font size="2"><b>Tum ko naraz hi rehna hai to koi baat karo
kay chup rehnay say muhabat ka ghuman hota hai</b></font id="size2">


- Malik1 - 10-17-2009

Kaho To Laut Jatey Hain
-Abhi To Baat Lamhou'n Tak Hai Saaloun Tak Nahi Aaii
-Abhi Muskanou'n Kii Nobat Bhi Na'alou'n Tak Nahi Aaii
-Abhi To Koii Majboorii Khyalou'n Tak Nahi Aaii
-Abhi To Gard Pairou'n Tak Hai Baaloun Tak Nahi Aaii

-Kaho To Lout Jatey Hain
-Chalo ikk Faisla Karney Shajar Kii Oar Jatey Hai'n

-Abhi Kajal Kii Dourii Surkh Galou'n Tak Nahi Aaii
-Zubaan Dantou'n Talak Hai Zehar Pyalou'n Tak Nahi Aaii
-Abhi To Mushk E Kastoorii Ghazalou'n Tak Nahi Aaii

-Abhi Roodad E Be-Unwaan Humarey Darmiyaa'n Hai
-jo Dunya Walloun ki nazrou'n mai ab tak hii Nahi Aii

-Kaho To Lout Jatey Hain

-Abhi Nazdeek Hain Ghar Aur Manzil Door Hai Apni
-Mabada Naar Ho Jaye Yeh Hastii Noor Hai Apni
-Kaho To Lout Jatey Hain

-Yeh Rasta Pyar Ka Rasta
-Rasan Ka Daar Ka Rasta
-Bohat Dushwaar Hai Janaa
-K Is Rastey Ka Har Zarra Bhi ik Kohsaar Hai Janaa
-Kaho To Lout Jatey Hain

-Meray Barey Na Kuch Socho

-Tumhara Narm O Nazuk Haath Ho gur Meray Hathou'n Mein
-To Main Samjho'n K Jaisey Do Jhaa'n Hain Meri Muthii Mein
-Tumhara Kurb Ho To Mushkilie'n Kafoor Ho Jaie'n
-Yeh Andhay Aur Kaaley Raastey Pur-Noor Ho Jaie'n
-Tumharey Gaisoou'n Kii Chaoun Mil Jaye
-To Sooraj Sey Ulajhna Baat Hii Kya Hai
-Utha Lo Apna Saya To Meri Auqaat Hii Kya Hai
-Mujhey Maloom Hai Itna K Daiyem Zindgii Posheeda Hai In Chaar
Qadmoun Mein
-Bohet Sii Raahatie'n Muzmir Hain In Dushwaar Rastou'n Mein

-Meray Barey Na Kuch Socho
-Tum Apni Baat Batlaao
-Kaho to Chaltey Rehtey Hain
-Kaho To Lout Jatey Hain


- WARDAH - 10-19-2009

Hazarun manzilain hongi,Hazarun kaarwan hongy
Nigahain humko dhondain gi najanay hum kahan hongy. . .


- waqas43 - 10-19-2009

Sunnay walo ghaur na kerna werna bohat pachtaa'o gay
Hum Andar say sakht kameenay baahir say deewanay hain


- sajid naveed khan - 10-21-2009

[



- WARDAH - 10-27-2009

Wo na samjhay hain,na samjhain gay mairi baat
Day unko dil aur,jo na day mujhko zubaan aur. . .


- Mujahid - 10-27-2009

aik hi saff mein khare ho gaye mehmood o ayaz
aur un ki chappalein le k bhaag gaya faraaz [D]


- Spectator - 10-27-2009

<blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Arial, Helvetica, san" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by Mujahid</i>
<br />aik hi saff mein khare ho gaye mehmood o ayaz
aur un ki chappalein le k bhaag gaya faraaz [D]
<hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote">

Are you Faraz???????????[p]


- waqas43 - 10-27-2009

Gayay dinun kee baat hay
Fiza ko yaad bhee nahin
Yeah baat aaj kee nahin
Bohat dinun kee baat hay
Shabaab per bahar thee
Fiza bhee khushgawar thee
Na janay kiyun machal para
Main apnay ghar say chal para
Kisi nay mujh ko rok ker
Bari adaa say tok ker
Kaha tha lot aaiyay
Mairi qasam na jaaiyay
Magar mujhay khabar na thee
Halaat per nazar na thee
Na jaany kiyun machal para
Main apnay ghar say chal para
Main shehar say phir aa gaya
Khayal tha k paa gaya
Ussay jo mujh say door thee
Magar mairee zaroor thee
Aur ik haseen shaam ko
Main chal para salaam ko
Gali ka rung daikh
Nayee tarang daikh ker
Mujhay bari khush hoyee
Main kuch isi khushee main tha
Kisi nay jhaank ker raha
Parayay ghar say jaaiyay
Mairee qasam na AAIYAY
Woh he haseen shaam hay
Bahar jiss ka naam hay
Chala hun ghar ko chaur ker
Na ajaanay jaaoon ga kidhar
Koi nahin jo rok ker
Koi nahin jo tok ker
Kahay k laut aaiyay
Mairee qasam na jaaiyay



- Mujahid - 10-28-2009

<blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Arial, Helvetica, san" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by Spectator</i>
<br /><blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Arial, Helvetica, san" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by Mujahid</i>
<br />aik hi saff mein khare ho gaye mehmood o ayaz
aur un ki chappalein le k bhaag gaya faraaz [D]
<hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote">

Are you Faraz???????????[p]
<hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote">

No I'm Syed Muhammad Shahbaz
aur meri chappal bhi le gaya faraz. [d]


- Humaira - 11-04-2009

AOA[)]

Toot ker zara daikho.....
Tum ager bikhar jao......
Bebasi main ghir jao.....
Dil se ik sada daina.....
Bus mujhay bula lena.....
Main tumhain sambhaloon ga
Zinagi main chalne ka
Rasta badlne ka
Ik hunar sikha donga
tum ko hosla doon ga
Aur jab
Sambhal jao..
Roshni main dhal jao
Mujh ko yun sila daina
Tum mujhay bhula dena...




- Sitara - 11-04-2009

nice one humaira