Accountancy Forum
poetry - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: poetry (/showthread.php?tid=2814)



- FARHAN123 - 04-17-2010

Kal tak rehte the jo in nigahon mein,
Aaj paya hai unhe kisi gair ki bahon mein,
Kaanton se likha tha khuda ne mukaddar mera,
To phir kyun bichhaye the phool meri rahon mein ?????


- FARHAN123 - 04-17-2010

Merey Dukho'n sey na koi Udaas ho jaaey
Mein apney Chehray pe Khushiyaan saja ke milta hoon


- FARHAN123 - 04-17-2010

Ab teri yaad say wehshat naheen hoti mujh ko
Zakham khulney se aziyat naheen hoti mujh ko

Ab koi aaye chala jaye main khush rehta hoon
Ab kisi shakhs ki aadat naheen hoti mujh ko

Aesa badla hoon teray sheher ka paani pi kar
Jhoot boloon to nidaamat naheen hoti mujh ko

Main ne bhi ki hey mohabbat, so kisi ki khatir
Koi marta hai to hairat naheen hoti mujh ko

Itna masroof hoon jeenay ki hawas main yaaro
Saans leney ki bhi fursat naheen hoti mujh ko



- FARHAN123 - 04-17-2010

I wept in my dreams.
I dreamed you lay in the grave;
I awoke, and the tears
still poured down my cheeks.

I wept in my dreams,
I dreamed you had left me;
I awoke and I went on weeping
long and bitterly.

I wept in my dreams,
I dreamed you were still kind to me;
I awoke, and still
the flow of my tears stream



- FARHAN123 - 04-17-2010

A Boy and a Girl loved each other. Unfortunately, the girl died…. When dying, she said..
“Ek wada tha tere har wade ke peeche,
Thu milega mujse har gali, har darwaza ke peeche.
Par tu tou ab ek bewafa nikla,
Ek thu hi nahi tha mere Janaze ke peeche”


That time the boy said..
“Ek wada tha mere har wade ke peeche,
Mai milunga tujse har gali, har darwaza ke peeche.
Par tum ne hi mudke na dekha..
Ek aur Janaza tha tere Janaze ke peeche”


- FARHAN123 - 04-18-2010

Aadhi raat ko yeh duniya walay
Jab Khawabon main kho jatay hain
Aisay main mohabbat k rogii
Yadoon k cheraaj jalate hain

Karte hain mohabbat sabhi magar
Har dil ko sila kab milta hai
Aati hai baharain gulshan main
Har phool magar kab khilta hai

Main ranjha na tha tu heer na thi
Hum apna pyaar nibha na sakay
Yun pyaar k khawab bohat dekhay
Tehbir magar hum pa na sakay

Main ne bohat chaha lekin
Tu rakh na saki waadon ka bharam
Ab reh reh ker yaad aata hai
Jo tu ne kiya is dil pe sitam

Parda jo hata doon chehre se
Tujhe log kahain ge har jayi
Majboor hun main dil k hathon
Manzoor nahin teri ruswayi

Socha hai apne honton per
Main chup ki mohar laga lunga
Main teri sulagti yaadon se
Ab is dil ko behla lunga


- FARHAN123 - 04-18-2010

Chhora na kabhi ham ne tere pyar ka daaman

kehti rahi dunya hamein pathar ka pujari

saa'ye ki tarah saath rahi teri yaad

tanhai bhi ham ne kabhi tanha na guzari........!



- FARHAN123 - 04-19-2010

@yasir_live

Aap ki poetry tou aap se bhee ziada funny hai !!!



- FARHAN123 - 04-19-2010

Waade bhi dost ne kya khoob nibhaye,
Zakhm muft mein aur dard tohfe mein bhijwaye,
Is se badhkar wafa ki misaal kya hogi,
Maut se pehle hi dost kafan le aaye.


- FARHAN123 - 04-19-2010

Palkon Ki Nami Mein Chupa Kar Sapno Ko..
Humne Unhe Jaane Ki Ijazat de di ..
Hum toot Kar Bikhar Gaye Tukro Mein..
Unhe Muskarane Ki Ijazat De Di


- FARHAN123 - 04-19-2010

Humay koi ghum nahi tha ghum-e-aashiqi se pehle,
Na thi dushmani kisi se teri dosti se pehle,
Hai yeh meri badnasibi tera kya qasur iss mein kya,
Tere ghum ne mar dala mujhe zindagi se pehle,
Mera pyaar jal raha hai aye chand aaj chup ja,
Kabhi pyaar tha hame bhi teri chandni se pehle,
Main kabhi na muskurata jo mujhe yeh ilm hota,
Ki hazaron ghum milenge mujhe ek khushi se pehle,
Yeh ajib imtehaan hai ki tumhi ko bhulana hai,
Mile kab thay iss tarha hum tumhe be-dili se pehle.


- FARHAN123 - 04-19-2010

Piyar Ka Pehla Khat Likhne Mein Waqt To Lagta Hai,
Naey Parindon Ko Urrne Mein Waqt To Lagta Hai,
Jism Ki Baat Nahi Thi Un K Dil Tak Jana Tha,
Lambi Doori Tey Karne Mein Waqt To Lagta Hai,
Ganth Agar Lag Jaey To Phir Rishte Hon Ya Dauri,
Laakh Karein Koshish Khulne Mein Waqt To Lagta Hai,
Humne Illaj-e-Zakhm-e-Dil To Dhoond Lia Lekin,
Gehre Zakhmoon Ko Bharne Mein Waqt To Lagta Hai,
Piyar Ka Pehla Khat Likhne Mein Waqt To Lagta Hai,
Naey Parindon Ko Urrne Mein Waqt To Lagta Hai


- FARHAN123 - 04-19-2010

Suna hy is jahan men

zindgi ki qeht saali hy

Yahan 2, 4 din jeeny ka aksar zikr hota hai

Yahan her cheez fani hy

Sabhi ko mot ani hy

Yahan izhar kya krna

Yahan pr pyar kya krna

Mgr kuch youn B sunta hun

k aisa ik jahan hoga

K jis men mot Aany ka

Koi dharka nhi hoga

Hayat-e-javedan k wahan asbab rakhy hain

Ye mera tumse wada hy

Agr dono wahan mil gye

Wahin iqrar kr lain gy

Wahin izhar kr lain gy

Wahin Phr PYAR Kr lain gy . . .



- FARHAN123 - 04-19-2010

alfaaz ki shaqal mei ehsas likh jata hai
yani pani ko b pyas likh jata hai
mere jazbat se waqif hai mera qalam
mein pyar likhon to tera naam likh jata hai


- FARHAN123 - 04-20-2010

Mera Afsurda Chehra
Is Liye Bhi Zard Rehta Hy
Mujhe apna Elawa BHi
kisi ka dard rehta hy
Tumhare Dum qadam
se thi Ye Sub mousam Ki Rangeeni
Tumhare Baad sara saal
mousam sard rehta Hai
Tumhre Baad baqi aur Toh Sab theek hai
Lekin
Jahan ''Dil'' Tha Kabhi Pehle
Wahan Ab ''Dard''Rehta Hai