Accountancy Forum
poetry - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: poetry (/showthread.php?tid=2814)



- FARHAN123 - 05-16-2010

Aasman ke taare aksar poochhte hain humse,
Kya tumhe aaj bhi intezaar hai us ke laut aane ka.
Aur yeh dil muskura ke kehta hai,
Mujhe to ab tak yakeen nahi hua us ke chale jaane ka.




- FARHAN123 - 05-16-2010

Zindagi ki uljhaano mein ulajhta raha,
Bas uske pyar ke liye hurdum tarasta raha,
Jaanta tha woh shyad hi kabhi mujhe haasil hogi,
Phir bhi jhute dilase se dil bahlata raha,

Socha tha kabhi to waqt mere saath hoga,
Par who bhi ret ki tarah mere haath se pisalta raha,
Shayad, Khuda ko ye bhi manzur na tha aankhon mein qaid karoon uske aks ko,
Isliye to har lamha paani meri aankon se behta raha.



- FARHAN123 - 06-07-2010

Muqaddar k sitaron par,

Zamano k asaroon par,

Udasi k kinaroon par,

Kabhi veraan sheron main,

Kabhi sunsaan rastoon par,

Kabhi heraan ankhoon main,

Kabhi bejaan lahmhon par,

Tumari yaad chup ke se,

Koi sargoshi karti hai,

Ya palkein bheeg jati hain

To ansoo toot girte hain,

Hum palkun ko jhookaty hain

Bazahir muskraty hain,

Fakat itna he kahty hain

Mujhy tm yaad aty ho

Mujhy Tm yaad aty ho



- FARHAN123 - 06-07-2010

Suhana mausam tha, hawa mein nami thi,
Aansuon ki behti nadi abhi-abhi thami thi,
Milna to chahte the unse per
Hamare pas sanso ki aur unke pas Waqt ki kami thi


- FARHAN123 - 06-07-2010

Us ki aik choti si baat par

Ankhon say na tham janay wali barsaat huyee

Wo baat mairay jivan main aag laga gayee

Wo lamha judaayee ka tha

Jab us say judaayee ki baat huyee


- FARHAN123 - 06-07-2010

Pal hi aisa tha ki hum inkaar na kar paye,
Zamane ke darr se ikraar na kar paye,
Na thi jinke bina mumkin yeh zindagi,
Chhod diya saath unhone aur hum ek sawal bhi na kar paye.


- FARHAN123 - 06-07-2010

Ke Tujh Se Juda Hokar Bhi
Jeeney Ki Aadat Hogayee

Tum Laut Ke Aaogey Humse Milne
Roz Dil Ko Behlane Ki Aadat Hogaye

Tere Waade Pe Kiya Bharosa Humney
Shab-Bhar Tera Intezaar Karne Ki Aadat Hogaye

Khushi Main Bhi Hum Kya Muskarate Ke
Teri Judaai Mey Rone Ki Aadat Hogayee

Kaafile Nikal Gaye Humey Chohd Ke
Ab To Tanha Safar Ki Aadat Hogaye,

Har Mod-Par Mili Ghum Ki Parchhaiyaan
Zindagi Se Samjhauta Karney Ki Aadat Hogayee


- FARHAN123 - 06-07-2010

Wo roye to bahut, par mujhse muh mod kar roye
Koi majburi hogi to dil tod kar roye
Mere samne kar diye mere tasveer ke tukde
Pata chala mere piche wo unhe jod kar roye


- FARHAN123 - 06-07-2010

Kadam yuhi dagmaga gaye raaste me,
Warna sambhlna hum bhi jaanthe the,
Thokar bhi lagi tho us pathar se,
Jise hum apna mante the.


- FARHAN123 - 06-07-2010

<font face="Courier New"><font size="3"><font color="red"><b>
Kuch main bhi thak gaya hoon use dhoondte dhoondte,
Kuch zindagi ke pass bhi mohlath nahin rahi.
Uski ek ek ada-se jhalakne laga hai pyar
Jub mujhe aitbar ki aadath nahin rahi.

</font id="red"></font id="size3">
</font id="Courier New"></b>


- FARHAN123 - 06-07-2010

Tere Bare Mein Jab Socha Nahi Tha
Mein Tanaha Tha Magar, Itna Nahi Tha

Teri Tasveer Se Karta Tha Batein
Mere Kamare Mein Aaeena Nahi Tha

Samandar Ne Mujhe Pyaasa Hi Rakha
Mein Jab Sehra Mein Tha Pyaasa Nahi Tha

Manane Ruthane Ke Khel Hum
Bichhad Jayenge Ye Socha Nahi Tha

Suna Hai Band Karli Usne Aankhe
Kayee Raaton Se Woh Soya Nahi Tha



- raza 123 - 06-07-2010

Sochta hon k usey neend bhi aati hogi
Ya faqat meri tarah ashk bahaati hogi

Woh meri shakal mera naam bhulane wali
Apni tasveer se kyaa aankh milaati hogi

Sham hote hi wo chaukhat pe chala kar shammaein
Apni palkon pe kaii khwaab sajaati hogi

Us ne silwaa bhi liye honge siyaah rang libaas
Ab Moharram ki tarah Eid manaati hogi

hoti hogi mere bosay ki talab main paagal
Jab bhi zulfon main koi phool sajaati hogi

Dil ki masoom ragein khud hi sulagti hongi
Juhin tasveer ka kona wo jalaati hogi

Roop de kar mujhe is main kisi shehzade ka
Apne bachon ko kahaani woh sunaati hogi


- helow - 06-07-2010

good post friends. keep posting.


- Ali RAZA - 06-07-2010

Iss waqt tou lagta hai kahin kuch bhi nahi
Mahtaab na soraj
Na andheera na saweera
Aankhoon kay dareechoon main
kisi husn ki chamak
aur dil ki panahoon main
kisi dard ka deera
na pahar na mahar
na rabt na rishta
Tera koi apna na paraya koi meera


- FARHAN123 - 06-08-2010

Aye Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya
Jaane Kyon Aaj Tere Naam Pe Rona Aaya

Yun Toh Har Shaam Ummido Mein Guzar Jaati Hai
Aaj Kuch Baat Hai Jo Shaam Pe Rona Aaya

Kabhi Taqdeer Ka Matam Kabhi Duniya Ka Gila
Manzil-e-Ishq Mein Har Gam Pe Rona Aaya

Jab Hua Zikr Zamane Mein Mohabbat Ka
Mujh Ko Apane Dil-e-Nakaam Pe Rona Aaya