Accountancy Forum
poetry - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: poetry (/showthread.php?tid=2814)



- FARHAN123 - 06-08-2010

Hasrat hai ke Unn ko kabhi nazdeek sey dekhein
Nazdeek hon tou Aankh uthaai nahin jaati
Chaahat pe kabhi bus nahin chalta hai kissi ka
Lag jaati hai yeh Aag, lagaai nahin jaati



- FARHAN123 - 06-13-2010

Jaaney Uss shakhs ko kaisa yeh hunar aata hai
Raat hoti hai tou, aankhon mein utar aata hai



- FARHAN123 - 06-13-2010

Chali Aati hai Teri Yaad Staane ke Liye
Raat Ban Jaati hai Azab, Jalane ke Liye

Chaaro Taraf Phaili Khamoshi Dasti hai Mujhe
Phir Teri Awaz Aati hai Rulaane ke Liye

Yeh Tanhai, Be jan Jism, aur Dhuwan hi Dhuwan
Zehar Peeta Hoon, Dil ki aag Bujhane ke Liye

Mere Saathi Tere Sang Guzre huve Lamhe Hain
Roz Rota Hoon, Un lamhon ko Bulaane ke liye

Surkh Aankhon Mein Intazaar Bus Tera Hai
Koi Rah Nahi Hai Ab Tujhe Manane ke Liye

Yeh Khushiyaan, Yeh Baharein Yeh Rangin Manzar
Mere Liye To Bus Too Hai, Baaqi Sab Zamane ke Liye

Teri Be Rukhi hai, Aur main Tanha hi To Hoon
Ek Mayyet Ki Tarha Para hoon, Bas Jalane ke Liye


- FARHAN123 - 06-13-2010

jeene ki umeed me mare ja rahe hain log,
marne ki umeed me jiye ja raha hun main,
khuda ko pane ke liye mare ja rahe hain log,
khud ko pane ke liye jiya ja raha hun main,
gammon se bachne ke liye khushiyon ko piye ja rahe hain log,
kushiyon se bachne ke liye gammon ko piye ja raha hun main,
manzil tak pahunchne ka rasta bana rahe hain log,
manzil ke baad ka safar tay kiye ja raha hun main,
meri nazmon ko gam samjhe ja rahe hain log,
lekin apni zindagi ke falsafe ko likhe ja raha hun main



- Distracted - 06-25-2010

Paband-e-takdeer k paband-e- ahkam!
ye masla mushkil nhe ae mard-e-khird mand
Ik an me so bar badal jate hy takdeer
hy us ka mukalad abhe na khush' abhe khursand
takdeer k paband nabatat-o-jamadat
momin fakat ahkam-e-ilahi ka hy paband


- Humaira - 06-28-2010

Woh Tamam meri hamaqatain
jo hui gunah ki chaon main
Woh amal ki sari kasafatain
Jo likhi gai hain fizaon main
Tere samne hain zarrah zarrah
Teri zaat wakif-e-hall hain
Main bura sahi mujhay bakhsh dain
Mere dill ko sakht malal hain
Meri neend ankhon se door hain
Mera mazi Itna kharab hain
Yeh karam hain rab-e-jahan tera
Mera her gunah pe naqab hain
Tujhe ikhtiyar hain sab
Mera tujh se itna sawal hain
Tu maaf ker tu kareem hain
Tu rab-e-zuljalal hain...

Have a nice day
Allah Hafiz[)]


- ciapk - 06-28-2010

Lab pay saja liay hain yonhi ajnabi say naam
Dil py tmam zakhm kisi ashna kay hain


- bizmen - 06-28-2010

Ameen! Summa Ameen!
Thanks for sharing Humaira


- raza 123 - 07-06-2010

Raahi Hain Or Safar Nahi Jaante
Karan Apni Khabar Nahi Jaante

Hum Apne Ghar Mein Itne Tanha Hain
Humko Divaar-O-Dar Nahi Jaante

Apne Kuche Ko Bhul Baithe Hain
Log Jo Tera Ghar Nahi Jaante

Be-Hudd Pyaar Kerne Waale Hume.N
Jaante Hain Magar Nahi Jaante

Jo Jee Mein Aata Hai Likh Dete Hain
Hum Koi Bhi Hunar Nahi Jaante

Main Darindo Mein Ek Insaa.N Hun
Log Meri Kadar Nahi Jaante

Zuth Ka Zahar Roz Peete Hain
Or Kya Hai Zahar Nahi Jaante

Wo Mere Humsafar Banenge Kabhi
Jo Meri Rehguzar Nahi Jaante

Kat Gaye Kin Khudgarzon Ke Liye
Ye Shaheedon Ke Sir Nahi Jaante

Maut Ko Daavat Roz Dete Ho ‘Raza’
Shayad Marrne Ka Darr Nahi Jaante


- raza 123 - 07-06-2010

<b>Ajj itni bhi muyaser nhi Maykhanay mai,
jitni hum Chooor diya kerty thy pamanay mai.</b>


- WARDAH - 07-06-2010

For All My Friends. . .
Kuch yaadain hain un lamhon ki
Jin lamhon mai hum sath rahay
khushion sy bhary jzbaat rahy
Ik umer guzari hai hum ny
jahan ruthy huae bhi hustay thya
kuch kehty thay kuch sunty thay,
hum roz subha jab miltay thay
to sub k chehry khilty thay
pur-lutf wo manzer hota tha
sub mil ker batain kerty thay
hum soch k kitna hustay thay
wo goonjh humaray husny ki
Ab aik purani yaad bani...
Ye batain hain un lamhon ki
jin lamhon mai hum sath rahay.


- Humaira - 07-06-2010

Sookhay honto pay hoti hain meethi baatain
Pyas bujh jaye to lehjy badal jate hain

Allah Hafiz
[)]Have a nice day[)]


- raza 123 - 07-06-2010

Usse upne farda ki fiker thi jo mera waqif-e-haal tha,
Wohi subha uski urooj thi,jo mera waqt zawal tha,

Mere baat kese wo manta mera dard kese wo janta,
Wo to khd fana k safer mein tha,usse rokna muhal tha,

Wo jo uske samne aa gaya wohi roshni me naha gea,
Ajab uska hebat e husn tha,ajab uska rango jamal tha,

Dam-e-wapsi use kia hoa na wo dil kashi na wo sadgi,
Wo sitara kese bikhr gaya,jo aap apni misaal tha,

Wo mila to sadyon k bad bhi mere lab pe koi gila na tha,
Use meri chp ne rula dia,jise guftugu mein kamal tha,

Mere sath lg kr wo ro dia mjhy faqat wo itna khe saka,
Jise janta tha me zindagi,wo mere whem-o-khayal tha,


- raza 123 - 07-06-2010

Wo Mujh se meri udasiyon ki waja poochta hai,
Kaisa pagal hay dhalti raat k sanatay ki waja poochta hai,

Wo Mujh se meri barasti ankhon ki waja poochta hai,
Kaisa pagal hai barish kay barasnay ki waja poochta hai,

Wo mujh se meri MOHABBAT-O-WAFA k baray main poochta hai,
Kaisa pagal hai sumandar per kharay uski gehrai poochta hai,

Wo mujh se meri pasand kay baray mai poochta hai,
Kitna nadan hai apnay hi baray mai poochta hai,


- raza 123 - 07-06-2010

Ek masoom si mohabbat ka itna hi fasana hai
Ek kagaz ki haveli aur baarish ka zamana hai

Uff ye kya sharte mohabbat kya shart-e-zamana hai
Aawaz bhi zakhmi aur vo geet bhi gaana hai

Us paar utarne ki umeed bahut hi kum hai
Kashti bhi purani aur toofan ko bhi aana hai

Koi samjhe ya na samjhe ye raze mohabbat
Kisi shaks ko ankho se ye sher sunana hai

Ek bholi si ada, aaj koi phir ishq ki zid par hai
Phir aag ka dariya hai, aur phiir doob ke jaana hai