Accountancy Forum
poetry - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: poetry (/showthread.php?tid=2814)



- Kasim - 09-29-2010

suljha howa insan samjhtay hain log mijhay
uljha howa meri zaat main koi dosra bhi hay




- WARDAH - 09-29-2010

Qafas-e-hijr mein sanson ka amal
jari to hai mager
zindagi hai kahan!
dhond raha hon


- raza 123 - 09-29-2010

Mana K Nazil Na Huna Tha YEah Farishta
Mana K Hasil Na Huna Tha Humko Yeh Rishta
Lage Khubsuret Mujhey Ab Khuda tuu
Farishte Se Mere na Kerna Juda Too
Mita DE Yeah Bad Ghumaniaan ...


- yasir_live - 09-29-2010


dil abhi tak jawan hai pyare
kis musibat mein jan hai pyare

tu mere hal ka khayal na kar
is mein bhi ek shan hai pyare

rat kam hai na cher hijr ki bat
ye bari dastan hai pyare

talkh kar di hai zindagi jis ne
kitni mithi zaban hai pyare

jane kya kah diya tha roz-e-azal
aj tak imtihan hai pyare

main tujhe bewafa nahin kahta
dushmanon ka bayan hai pyare

sari dunya ko hai galatfahmi
mujh pe tu mehraban hai pyare




- yasir_live - 09-29-2010


yun na mil mujh se khafa ho jaise
sath chal mauj-e-saba ho jaise

log yun dekh kar hans dete hain
tu mujhe bhul gaya ho jaise

ishq ko shirk ki had tak na barha
yun na mil hamse Khuda ho jaise

maut bhi ai to is naz k sath
mujh pe ehsan kiya ho jaise

aise anjan bane baithe ho
tum ko kuch bhi na pata ho jaise

hichkiyan rat ko ati hi rahin
tu ne phir yad kiya ho jaise

zindagi beet rahi hai "YaSiR"
ek bejurm saza ho jaise




- WARDAH - 09-29-2010

ye tumka apna hai? ni na?
phir sha'ir py zulm kio
k tumka shair ho jaise


- yasir_live - 09-29-2010


Array!

Mera naam likha haina Dear, phir bhi shuk kar rahi ho
Kisi Aur ka kalaam ho jesay........

Regards.


- WARDAH - 09-29-2010

na baabu na hmka shk naahi yaqeen hai
yasir ki jgah nasir ho jaise...


- raza 123 - 09-30-2010

Kese Kahun Yeah Kese Kahun Han Kese Kahun Meri Jaan
Dil Hua Yeah Dil Hua Han YEah Dil Hua Tum pe Fida


- Safoora - 09-30-2010

Thak sa gaya hay Meri Chahaton ka Wajood...

ab koi acha b lagay tu izhaar nai kertayy..


- WARDAH - 09-30-2010

yani k tum dil phaiiiink thin kbhi.hehhehe


- Sarfaraz Khan - 09-30-2010

wah wah wah kia zoq hai bhi P..


- Anamz1 - 10-01-2010

Ujray hue logon se gurezan na hua kar,
Halaat ki qabron k ye qatbe bhi padha kar.

Wo aaj bhi sadiyon ki musafat pe khada hae,
Dhoondha tha jise waqt ki deewar gira kar.

Har waqt ka hansna tujhe barbad na karde,
Tanhai k lamhon main kabhi ro bhi liya kar.

Ae dil tujhe dushman ki pehchan kahan hae,
To halka-e-yaran main bhi mohtaat raha kar.

Is shab k muqaddar main sehar hi nahi Mohsen,
Dekha hae kai bar chiraghon ko bujha kar.



- Safoora - 10-09-2010

Muaaddar k sitaron par,

Zamano k asaroon par,

Udasi k kinaroon par,

Kabhi veraan sheron main,

Kabhi sunsaan rastoon par,

Kabhi heraan ankhoon main,

Kabhi bejaan lahmhon par,

Tumari yaad chup ke se,

Koi sargoshi karti hai,

Ya palkein bheeg jati hain

To ansoo toot girte hain,

Hum palkun ko jhookaty hain

Bazahir muskraty hain,

Fakat itna he kahty hain

Mujhy tm yaad aty ho…

Mujhy Tm yaad aty ho ….



- WARDAH - 10-11-2010

Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
Hum jo toote to raaeygaan toote....