Accountancy Forum
poetry - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: poetry (/showthread.php?tid=2814)



- yasir_live - 10-11-2010


Uff Yaar! Tissue day Sarfaraz (

Regards.



- raza 123 - 10-11-2010

ekhekhekhekhe



Tissue pls P


- WARDAH - 10-17-2010

Kya Kahen Hum Kaise Tujhse Door Ho Gaye
Haalaat Se, Kuch Khud Se Majboor Ho Gaye

Mohhabbat Rula Deti Hai, Kab Ye Maana Tha
Apne Dil Ke Afsaane Wohi Dastoor Ho Gaye

Manzil Jise Samjha Bana Wo Meel Ka Pathar
Nayi Manzil, Naye Raaste Manzoor Ho Gaye

Hadd Se Barh Jaaye Jo Ghum, Deta Nahin Dard
Muskura Rahe Hain, Aise Hum Ranjoor Ho Gaye



- Sitara - 10-18-2010

Har moorr per mil jatay hain Hamdard hazaroun,

Shaid meri basti main adakar bohat hain.





- Safoora - 10-18-2010

Alfaz k jhotay bandhan me

Agaz k gehray pardon me

har shakhs muhabbat kerta hay

halan k muhabbat kuch b nai

sab jhotay rishtay natay hain

sab dil rakhnay ki batain hain

kab kon kisi ka hota hay

sab asli roop chupatay hian

Ehsaas se khali log yahan

Lafzon k teer chalatay hain

ek baar nazar me aa k woh

phir sari umar rulatay hain

ye ishq o muhabbat mehr o wafa

yeh sab kehnay ki batain hain

har shakhs khudi ki masti me

BUS APNI KHATIR jeeta hay


- Sitara - 10-19-2010

Uski berukhi ne cheen li hain mujh se sharartain meri,

Aur Log samjhtay hain k bohat sulajh gayi hon main ...!


- Sarfaraz Khan - 10-19-2010

wah wah wah kia dard bhara shair hai..ab tak sar main dard mahsoos ho raha hai P..




- Sitara - 10-19-2010

[)]


- Sarfaraz Khan - 10-19-2010

[p][p][p]


- Safoora - 10-20-2010

Mujhe Maaf Kar Mere Humsafar

Tujhe Chahna
Meri Bhool Thi,

"Kisi Raah Per
Jo Uthi Nazar

Tujhe Dekhna
Meri Bhool Thi,

"Koi
Nazam Ho
Koi
Ghazal Ho

"Kahin
Raat Ho
Kahin
Sehar Ho

"Wo
Gali Gali
Wo
Sheher Sheher

Tujhe
Dhoondna
Meri
Bhool Thi,

"Tere Gham Ki
Koi Dawa Nahi

"Mujhe Tujh Se
Koi Gila Nahi

"Mera Koi
Tere Siwa Nahi

Yehi Sochna
Meri Bhool Thi,

"Mujhe Maaf Kar
Mere Humsafar

Tujhe Chahna
Meri Bhool Thi...'


- yasir_live - 10-20-2010


Lateefon ki bharpooor kamyabi k baad Abb Safoora shairi k maidaan main bhi jeet gai.

Safoora ki shairi main kitni gehrai hay..........Bari mushkil say tumhari shairi ki gehrai say baher nikal kar mainay Yeh post likhi hay.

Nice Poetry Safoora Dear.

Regards.




- Safoora - 10-21-2010

thankoo yaasir bhai.. )


- Sarfaraz Khan - 10-22-2010

yasir ki tareafoon k gherai main jaise jaise ezafa hota ja raha hai nazerren..use k sath sath safoora k BHAI main b nikhar ata jaraha hai P...




- WARDAH - 10-22-2010

hahahhahaah safoora aisy to koi ni milny wala tum to sb ko kickout kiey ja rahi ho.hehhehehe


- Sarfaraz Khan - 10-22-2010

ye larkian b bare chalak hote hain D..jab tak apni pasand ka munda nahi mil jata sab ko bhai bhai DD..