Accountancy Forum
poetry - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: poetry (/showthread.php?tid=2814)



- Safoora - 10-22-2010

haan tey hor ki ?!!P


- Kasim - 02-10-2011

Use kehna ya duna hay
yahan har mor pe
aesay bahot se log milte hain
joe ander tak utarty hain

abad tak sath rehne ki
ekhatyay dard sahnay ki
hamesha baat kertay hain

Use kehna ya duna hay
Yahan her shaks matlab ki
hadon tak sath chalta hay
johni mosam badalta hay
muhabbat k sabhi daway
sabhi qasmain sabhi waday
achanak tot jatay hain

Use kehna ya duna hay
yahan har mor pe apni
sada ankhain khuli rakhna


- Astute Accountant - 02-10-2011

<blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Arial, Helvetica, san" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by Kasim</i>
<br />Use kehna ya duna hay
yahan har mor pe
aesay bahot se log milte hain
joe ander tak utarty hain

abad tak sath rehne ki
ekhatyay dard sahnay ki
hamesha baat kertay hain

Use kehna ya duna hay
Yahan her shaks matlab ki
hadon tak sath chalta hay
johni mosam badalta hay
muhabbat k sabhi daway
sabhi qasmain sabhi waday
achanak tot jatay hain

Use kehna ya duna hay
yahan har mor pe apni
sada ankhain khuli rakhna
<hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote">

Very nice. But you've left some part of it; which is (excluding the last two lines)

Ussay kehna, yeh duniya hai!

Yahan har morr pe apni,
Sada aankhain khuli rakhna,
Koi kitna bhi acha ho,
Koi kitna bhi sacha ho,
Magar aeitbar mat karna,




- Kasim - 02-11-2011

i posted it as i received
but i also had idea that end is missing something
thanx for completing it

kuch cheezain apni nazer say daikhoo tu acchi ya burri lagti hain
or
kuch kissi or ki nazer say daikhoo tu acchi ya burri lagti hain

same is the case with this poem




- Astute Accountant - 02-12-2011

<blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Arial, Helvetica, san" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by Kasim</i>
<br />i posted it as i received
but i also had idea that end is missing something
thanx for completing it

<b>kuch cheezain apni nazer say daikhoo tu acchi ya burri lagti hain
or
kuch kissi or ki nazer say daikhoo tu acchi ya burri lagti hain </b>

same is the case with this poem


<hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote">

Meaning...???


- Kasim - 02-17-2011

u like some things in ur own capacity

and

some times u like some things only while stepping into shoes of another person


- FARHAN123 - 04-23-2011

Kaha tha na...
is tarha sotay hoye chorke mut jana
mujhe be-shak jaga dena
bata dena

ke tumhain rasta badlna hai
mairy hud se nikalna hai

Tumhain kis baat ka dur tha ??????????
kia main janay nahien daita?
kahien pe qaid ker laita??????

aray pagal muhabbat ki tabiyat main zaberdasti nahien hoti
jisay rasta badlna hai usay rasta badlanay se
jisay hud se nikalna ho usay hud se nikalnay se

na koi rok paya hai na koi rok paye ga

tumhaien kis baat ka dur thaaa???????

mujhe jaga daitay


bus yeah yaad rakhna ae hum dum
ab in jagti Aankhoon main
khuwab tumharay hi bastay hain
in Aankhoon ke ansoonoon main
tumhary yaadoon ke deep
ban ke moom chalaktay hain


bus yaad yeah rakhna ae mairay hum dum
in Aankoon ki roshni ke bujhnay tuk
main intizar ke deep jalaon ga
mairay ghar ke rastay pe
teray qadmoon ki ahat ko sun ke hi jaon ga

apni sansoon ke thumnay tuk
apnay jism ke mernay tuk
tujhe dil main basoonga

bus tera kehlaoon ga

ke sansoon ke thamnay ki wajha bhi sirf yeahi ho gi

"is duniya main na sahi , agli duniya main to mairy ho gi"


- FARHAN123 - 04-23-2011

<font face="Courier New"><font size="3"><font color="red"><b>
OSE MEIN NE HEE LIKHA THA
KE LEHJE BARF HO JAYEIN
TOU PHIR PIGHLA NAHE KARTAY
PARINDAY DAR KE URH JAYEIN
TOU PHIR LOUTA NAHE KARTAY
OSE MEIN NE HEE LIKHA THA
KE YAQEEN UTH JAYE
TOU SHAYAD KUBHE WAPAS NAHE ATA
HAWAON KA KOI TOOFAAN
KUBHI BARISH NAHE LATA
JO SHESHA TOOT JAYE
TOU KUBHEE JUR NAHE PATA
OSE KEHNA.....
WO BE MA'NAY ADHORA KHAT
OSE MEIN NE HE LIKHA THA
OSE KEHNA..
KE
DIWANAY MUKAMMAL KHAT NAHE LIKHTAY ....!!!

</font id="red"></font id="size3">
</font id="Courier New"></b>



- bilalfca - 04-23-2011

tum jo hans k nazron ko chura laite ho....
hum ko malom hai koe raz xhupa rakha hai..
zubaan jo keh na ske, ankh keh daiti hai..
andaaz e bayaan ij or hum ne bna rakha hai
bilal


- FARHAN123 - 04-29-2011

<font color="red">
KAHEN SE TERA SATH LE AON
WASL KI CHAND RAAT LE AON
BAITH JAON KSI DOURAHAY PER
MAANG KAR TERA HAATH LE AON
KITNI SADION KE BAAD BOLUN MEIN
LUB PE EK TERI HI BAAT LE AON
APNI ANKHON KI BUND GALIYON SE
ANSOOUON KI BARAAT LE AON
ITNI POJA KARON KE MEIN EK DIN
APNI ZAAT MEIN TERI ZAAT LE AON

</font id="red">


- FARHAN123 - 04-29-2011

<b>
TUMHARI MUSKURAHAT BHE AJEEB HAI
KUBHEE IS MEIN KHUSHI
AUR KUBHE GHUM KE RANG JHALAKTAY HAIN
MAGAR TUMHARI MUSKURAHAT MEI JO CHEEZ HAI
HAMESHA POSHEDA REHTI HAI
WO TUMHARI SHIKAST HAI AUR
ANSOO !!!!!!!!!!


</b>


- youtube - 05-03-2011

dard itna tha k us rat dil-e-wahshi ny
hr rag-e-jan sy ulajhna chaha' hr rag-e-khoon sy tapakna chaha


- FARHAN123 - 05-21-2011

TUJHE MEIN BHOOL TOU JATA
MAGAR TERE TA'Q SE
JO CHEHRAY SAMNAY AYE
JO RASTAY SAMNAY AYE
JO LAMHAY SAMNAY AYE
JO RISHTAY SAMNAY AYE
INHAIN KAISAY BHULATA MEIN
TUJHE KAISAY BHULATA MEIN


- zahid 13456 - 05-21-2011

Dil ka dard dil torrne waley kiya jaaney,
Pyar ke rivajon ko zamana kiya jaaney,

Hoti hai kitni takleef larrki ko pataney main,
Ye ghar pe baitha larki ka baap kiya jaaney


- danishayub_76 - 06-01-2011

Khizan Ki goad mein bhee phool muskra uthen
kuch is tarah say baharo ka ehtaram karo.