Accountancy Forum
poetry - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: poetry (/showthread.php?tid=2814)



- Humaira - 03-30-2006

AOA [)]
i am fine thanks n what about u....

Azal say raach gai ser bulandi meri fiterat main
Mujhay bus tutna aata hai jhuk jana nahi aata

ok Allah hafiz[)]

" NOthing in this world can compansate for the loss of self-respect,nobleness of mind and self-honour "


- tajwar - 04-05-2006

Ajal hi ne kis rahi na chora na bhapa
isi se sikander sa fateh bhi haraa
har ek le k kya kya yun hasrat se bhara
parha reh gaya sub yaheen thaatt saraa
jaga jee laganey ki duniya nahee hai
yeh ibraat ki jaa hai tamasha nahi hai
jahan mein hain ibrat k harsoon namooney
magar tujh ko andha keya rung o boo ne
kabhi ghoor se yeh bhi dekha hai tu ne
jo maamoor they woh mehal ab hain soney
jaga jee laganey ki dunia nahee hai
yeh ibrat ki jaa hai tamasha nahee hai


- hanifasif - 04-06-2006

Ek muddat say hoon sa'yal teray darwazay par
Bosa ya gali, milay ga mujhay khayrat main kia ?
aisi onchi bhi to deewar nahi gher ki teray
raat andheri koi away gi na barsaat main kia ?


(Haider Ali Atish )


- hanifasif - 04-09-2006

. bump

so as not to let this topic go into the bowels of these forums


- Humaira - 04-10-2006

AOA[)]
How to all of u...

Apnay hathoo say tarashay haway pather kay sanam
Ajj buot khanay main baghwan banay baithay hain
ok next word is "y"
allah hafiz[)]



- Flower - 04-12-2006

hi salam to all. me student of CA and new in this forum.


Youn samai hai meri zaat m teri Hasti
jis tarah sare zamane m khuda rehta ha



- capricorn_me - 04-17-2006

Aur bhi bohat si cheezian loot chuki hain dil kah sath,
Yah btaya doston nay ishq farmaney kah baad,
islye ik ik cheez check leta hoon ,
'ik teray aney say pehlay....ik teray janey kah baad'


BY THE WAY, i think the above provision should included in
SAFETY ACTS and REGULATIONS.


- Humaira - 04-19-2006

AOA....how r all of u..[)]

Dustar kay her tar ki tehqeeq hai lazim layken
Her sahib-e-dustar moaziz nahi hota
next word is "A"
Allah hafiz[)]


- Flower - 04-20-2006

Aisi ankhen to ankhon ne na jahan m dekhen,
Dil m rakho kabhi ankhon pe bithao ankhen,
Un ki ankhen hain meri ankhon se milne ayen,
Meri ankhon chalo rahon m bichao ankhen.



- Humaira - 04-20-2006

AOA[)]



Youn to ajnabee sara shehar tha
shayad is diyaar-e-ghair mein koee apna bhi habib tha.

Youn to dushman hamara koee na tha
Shayad is zamanay mein koee apna bhi raqeeb tha.

Youn to hamsafar mera koee na tha
Shayad is safar mein koee meray bhi qareeb tha.

Youn to kaaghaz per khoon-e-dil say likha kuch na tha
Shayad MARIAM andaaz apna hi kuch lateef tha.

ok Allah hafiz[)]



- capricorn_me - 04-21-2006


aj her khushi ko tery taraf mor don
tere liyeh chand tare tak tor don
khushiyun k darwaze tare liyeh khool don
itna kafi hai yan do chaar jhoot or bol don


- mrihfl - 04-22-2006

AOA
i m new member of Accountancy forum, it is quite gud forum to discusse the each and every matter realted to accounts, finance, tax, and any other business nature. i appriciate all of u. it is like a family which dicusse each and every problem with each other.


Mujhye kuch KHUDA se nahin chahiye...
Han teree tammanna hee baqee rahey..

Tere bin nahin hey tasawwur mera..
Tere bin ye jeena na baqee rahey...

Bichartey howey kuch nahin tha mager..
They ansoon jo ankhoon men baqee rahey...

Terey sath ke baharen gayeen..
Judaee ke mosam baqee rahey...



Mrihfl


- Flower - 04-22-2006

woh dost kiya dost hai jo dost nibha na saake
sath guzara howa har pal sab kuch bhula de

dost mein bewafai tou hoti nahin
magar jo woh kar gahe usse hum kiya kahain

yaqeen tha kitna humko unnki baaton par
socha tha zamane mein woh sab se alag hain

gila karein bhi hum unnse hum tou kaise karein
woh tou dosti bhula gahe ab kis nate se yaad karein?



- capricorn_me - 04-23-2006

na tum chat(roof) per ati,
na main dewaana hota.
na tum pather marti,
na main kana hota


- Humaira - 04-23-2006

nice poetry Mr capri