![]() |
LATAIF HI LATAIF - Printable Version +- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum) +-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general) +--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general-discussion) +--- Thread: LATAIF HI LATAIF (/thread-lataif-hi-lataif) |
LATAIF HI LATAIF - meesum - 01-26-2006 DIS MISS aik principal larko ko samjha rahi thi k junhi mein âdis missâ kahun, tumaam larke class ko chale jaeen. Abhi principal ne dis hi kaha tha k tumaam larke bhaag kar class ko chale gaey, magar nadeem sabir kharra raha. âTum kyun kharre hoâ principal ne ghussey se poocha. Madam mein aap ki âmissâ ka intazaar kar raha tha, nadeem sabir ne masumiyat se kaha. sourceaurat aik shararat by khan akbar ali khan. - meesum - 01-26-2006 FARAAR Aik sahib jannat ki deewaar phaand kar dozakh ki taraf bhaagte hueey pakre gaey. Faarishtoon ne poocha âlog to jannt ki aarzoo karte hein tum ajeeb ehmaq ho k jannat se jahannum ki taraf bhaage ja rahe ho!â mafroor jannati bolaâ abhi abhi khabr mili he k meri bivi ka intiqaal ho geya he aur log duaa kar rahe hein k khuda usse jannat naseeb kareâ - meesum - 01-26-2006 KAANTA Begum sharafat ne kahaâ¦â¦â¦â¦âkaho behan, tumhari no beyahta(newly married) beti ki zindagi kesi guzar rahi he?â Begum sharafat ne jawab diaâ¦â¦â¦..âzeyada buri nahi, us k shohar ka aik bangla he jis mein aaraam o aaraaish ki har cheez maujood he. Us k paas pehnane k liey behtareen malbusaat hein. Aane jaane k liey bilkul naee gaari(new car) he. Tafreeh k liey dunya jahan ki har cheez maujood he. Lekin us ki apne shohar se nahi bantiâ âHaan behan sach kehti ho, phoolon k saath kaanta zuroor hota he.â Begum sharafat ne afsos karte huey kaha. sourceaurat aik shararat by khan akbar ali khan. - meesum - 01-27-2006 Thagg Aik larki ne raste mein apni saheli ko ishare se aik bari umar(age) k aadmi ki taraf tawajjuh dilate huey kaha. âis shakhs se mujhe sakht nafrat he as ne mera aik karor ka nuqsaan kia heâ saheli ne poocha âwo kaise?â larki ne jawab dia âas ne apne larke kashif sajjad ko mujh se shadi nahi karne diâ - meesum - 01-27-2006 Pehchaan nar(male) aur madaah(female) makhi ki pehchaan k liey aik shaksh ne ajeeb tareeqa nikala. Aik roz as ne elaan kia k aaj mein ne che(six) makhian mareen, teen nar thein aur teen maadah! Us ki bivi ne poocha âlekin aap ko nar aur maadah ka pata itni jaldi kaise chal gya?â Us ne jawab dia. âbari asaani se teen makhian mithai par bethi thein aur teen aaeene par!â - meesum - 01-27-2006 Saza Mian bivi mein jhagra hua to bivi ne apni maa ko fone kia aur kaha mein aap k haan aa rahi huon. Maan ne kaha usse apne kiey ki saza milni chahiey tum waheen thehro mein tumhare taraf aa rahi hoon. - meesum - 01-27-2006 Mashwarah Darya par karte huey aik burhia ne apne shadi shuda bete se poocha. âkyun beta agar mein aur bahu darya mein dubne lagain to tu kis ko bachaie ga?â Larka pareshaan ho kar apni bivi ki taraf dekhane laga. Bivi ne forunn(immediately) mashwarah dia. âamma ko bacha lena!â burhia khush ho kar bahu se boli âtujhe kyun nahi?â Bahu ne jawab dia â mujhe nikalne k liey to aur bohat se kood parein gae!â - meesum - 01-27-2006 kaffarah aik mulla ki bivi dekhane mein aisi hi thi k sham ko maktab se aa kar mulla ne bivi k chehre ko anhimaak se dekhana shuroo kia. bivi ne wajah poochi to mulla bole. "aaj meine aik bohat khubsoorat aurat ko dekha meine lakh koshish ki k apni aankhon ko udher se hata doon. magar kamyabi nahi hue" lehaza mein kam az kam so dafa tumhare chehre ko dekhaon ga ta k us ka kaffara ada kar sakon." - meesum - 01-27-2006 Be-rozgari ka hal âbe-rozgari ka hal mere pass heâ aik shakhs ne kehna shuroo kia âtumaam mardon ko aik jazeere mein awr tumaam aurtoon ko doosre jazeere mein bhaij dain. Aap dekhain gai k tumaam mard aur aurtain kaam mein lag jaaein gaiâ who kia kaam karein gai? Kisi ne poocha. âwho sab kashtian bana shuroo kar de gaiâ jawab mila. - meesum - 01-27-2006 Zid Jail mein aik mujram ne doosre mujram se poocha. Tumhein kis juram ki saza mili he? âHakoomat se meri zid chal rahi thiâ âkia matlab? Kia tum koi leader ho?â pehle qaidi ne hairat se poocha. ânahi hakoomat ko ye baat pasand nahi thi k mein bhi us ki tarah karansi note chapoonâ - meesum - 01-27-2006 Sab kuch Kia mechanic ne tumhein sab kuch samjha dia he? Kaam khatm hone k baad foreman ne nai(new) helper se poocha. Jis ka pehla din tha. Ji haan janab! Us ne mujhe achi tarah samjha dia he. Bohat khoob. Foreman khush hua, kia kia bataya tha? Janab us ne kaha tha k jab mein aap ko aata dekhoon to usse foran jaga doon. - meesum - 01-27-2006 Kamyabi ka raaz Kisi ne aik hadait kaar(director) se poocha k aap ki mashhoor fil âbad sooratâ ki kamyabi ka raaz kia he?â To unhon ne jawab dia, ânumber aik ye k as mein mulk ki mashhorr tareen heerwon ne bad soorat larki ka kirdaar ada kia. Number do ye k unhon ne ye kirdaar baghair make up k ada kia tha.â - meesum - 01-27-2006 Azadi Aik shakhs wakeel se bare ghussey ki halat mein keh raha tha âtum talaq dilane k liey do lakh rupee fees maang rahe ho jab k shadi karne mein sirf aik lakh rupee kharch hote hein.â Mere dost , wakeel ne samjhate huey kaha. â azadi k liey hamaisha bari qurbani deni parti he.â |