Accountancy Forum
favourite book corner - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: favourite book corner (/showthread.php?tid=7395)

Pages: 1 2 3


- WARDAH - 11-02-2010

bi behtreen triqa yei hai k last para prh lo gr tumharay mutabiq ka hua i mean jaisi ending tum chahty ho to tasali sy shuru sy prhtay rehna.kitaab itni lmbi hoti hai k end to bhool hi jatay hain prhty prhty hehhehee han per tasali hoti hai k prhna zaya ni jae ga.


- yasir_live - 11-02-2010


Yeh tumharay Totkay hain ) Moti kitabon Aur Aurton ko tu dekh kar mujhay pata nahi kyun Ajeeb c thakan mehsoos hoti hay.....Namia nay jo kitab batai agar woh Chaar-paanch safhon ki hui tu parh lunga werna.......


Regards.



- Ali RAZA - 11-03-2010

The Alchemist...>>>Paulo Coelho


- Namia Beera - 11-03-2010

@ Ali Raza
the alchemist is one of my favourite books


- Sarfaraz Khan - 11-03-2010

phelai main b ye he karta tha..mushkil mushkil ktaboon k nam google se search kar k un k batain aesai karta tha jaise main roz parhta hon $...

sab impress hotai they muj se $..teachers b zada questions nahi pochtai they $


- Ali RAZA - 11-03-2010

sarfaraz....ab her koi to tumharay jasi nahi hota na[p]




- Safoora - 11-06-2010

hahahah haww haww fit taunt mara hay sarfraz bhai ko P


- Namia Beera - 11-12-2010

mein jab choti thee to Naan bai k saath contract kiaa hua tha... k aggar tum mjhey sub news papers mein se Bachon ki kahanio wala safhaa do gey to mein tum sey hi naan liaa karu gi....
is tarah mein ne do 3 naan walo ko kaha hua tha....
and aksar yeh hota tha k mein kuch leney market jati to woh khud he bula kar pages de diaa kartey thay [D] [)]


- yasir_live - 11-12-2010


Yeh bachpan main Ghar ka soda humesha tum hi kyun lati thi ??? Bohat hi zimmedar khatoon thin tum bachpan main.........

Regards.



- Sarfaraz Khan - 11-12-2010

mujhe b bahpan se he parhnai likhnai ka etna shoq tha k dewaroon p likhe tahre rain jab tak pure na par lon to wapis ghar ni ata tha P..