Accountancy Forum
Faraaz! Is Missing in this Forum. - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: Faraaz! Is Missing in this Forum. (/showthread.php?tid=7832)

Pages: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12


- yasir_live - 04-22-2010



Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye a
a phir se mujhe choor ke jane ke liye a

pahale se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye a

kis kis ko batayen ge judai ka sabab ham
tu mujh se Khafa hai to zamane ke liye a

kuchh to mere pindar-e-muhabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye a

ek umr se hoon lazzat-e-giriya se bhi maharum
ai rahat-e-jan mujh ko rulane ke liye a

ab tak dil-e-Khush faham ko tujh se hain ummidain
ye aKhiri shamain bhi bujhane ke liye a

mana ki muhabbat ka chupana bhi hai muhabbat
chupake se kisi roz yeh jatane ke liye a

jaise tujhe ate hain na anye ke bahane
aise hi kisi roz na jane ke liye a




- yasir_live - 04-22-2010


aisi tarikiyan ankho main basi hain 'Faraz'

rat to rat ham din ko jalate hain chirag





- yasir_live - 04-22-2010


Faraz teri yaad her pal stati thi,
Wah Wah

Faraz teri yaad her pal stati thi,

Aik billi moti tazi thi jo mazay se ding dong khati thi....






- yasir_live - 04-22-2010


Tu Un galion main Kyun jata hai Faraz.


Jaha pr Teri Koi iZat hi nahi...!!!




- rabia-k - 04-22-2010

bara faltu time hai yahan public ke pass!


- yasir_live - 04-22-2010



Some call it as Faltu Time and Some even Regard it as Vulgarism. It all depends on Individual's Level of Understanding, That how he/She understand things. To me this is neither Faaltu nor it is Vulgarism. My intentions were to Revive the Respect and memories of our Great Poet Mr.Faraz(Late). This is our duty to keep his Poetry alive for our next Generations!



Regards.







- Boss - 04-22-2010

Yasir Miyan,
I understand k tumharay dil may faraz ki mohabbat Ummad rahii hai, aur tum out of control hotay ja rahay ho is mohabbat may doob kar, k is thread ki yeh 141th post hai aur in 141 may say koi 110 tumhare hain.
yanee parsoon tak tumhare number of posts 590 thee aur aaj 711 hain....

Tou yar log to tum say jealous hongay na?[D] let them say whatever they want to say. Good wishes in your endeavours! however, if these stanzas were presented in a single post or two, it would have been better comparatively.[)]


- sensible - 04-22-2010

log parh hi letay hain meri aankhon say meray dil ki halat faraz

mjhsay ab teray pyaar ki hifazat nahi hoti


- yasir_live - 04-22-2010



Bo$$

Yaar main Faraz ka sara DATA ek thread main Compile karna chah raha tha 2 B very honest. Lakin ab kuch Log Taang khenchnay main lagay hain Wohi Traditional Harkatain humari. Manager say Partner bunna hay to mehnat to karni paray gi na.........Kidding. Try 2 realize K number of Posts Barhnay k Against mujhay kya milay ga. Answer is "Nothing".

Thanks for your Wishes towards me.

Take Care.





- FARHAN123 - 04-26-2010

Zindagi Toh Apne Hee Qadmoun pe chalti hai
''Faraz''


Auron ky Sahare Toh

Janazey Utha Karte Hain!!!


- WARDAH - 04-26-2010

bhale dinoN ki baat hai
bhali si aik shakl thi
na ye ki husn-e-taam ho
na dekhne mein 'Aam si

na ye ki woh chale to kahkashaaN si rahguzar lage
magar woh saath ho to phir bhala bhala safar lage

koi bhi rut ho us ki chchab
fiza ka rang-o-roop thi
woh garmiyoN ki chchaaoN thi
woh sardiyoN ki dhoop thi

na muddatoN judaa rahe
na saath subh-o-shaam ho
na rishta-e-wafa pe zid
na ye ki izn-e-'Aam ho

na aisi Khush libasiyaaN
ki saadgi gila kare
na itni be takallufi
ki aaina haya kare

na iKhtilaat mein woh ram
ki bad-mazah hoN KhwahisheN
na is qadar supurdigi
ki zach kareN nawazisheN

na aashiqi junoon ki
ki zindagi 'azaab ho
na is qadar kaThor pan
ki dosti Kharaab ho

kabhi to baat bhi Khafi
kabhi sukoot bhi suKhan
kabhi to kasht-e-z'AfraaN
kabhi udaasiyoN ka ban

suna hai aik 'Umr hai
mu'Amilaat-e-dil ki bhi
visaal-e-jaaNfiza to kya
firaaq-e-jaaNgusal ki bhi

so aik roz kya hua
wafa pe bahas chchiD gayi
maiN ishq ko amar kahooN
woh meri zid se chiDh gayi

maiN ishq ka aseer tha
woh ishq ko qafas kahe
ki umr bhar ke saath ko
woh bad-taraz-hawas kahe

"shajar hajr nahin ki ham
hamesh pa ba gul raheN
na Dhor haiN ki rassiyaaN
gale main mustaqil rahaiN

mohabbatoN ki vus'AtaiN
hamare dst-o-pa meiN haiN
bas aik dar se nisbateiN
sagaan-e-bawafa meiN haiN

maiN koi painting nahiN
ki aik frame meiN rahooN
wahi jo man ka meet ho
usi ke praim meiN rahooN

tumhari soch jo bhi ho
maiN is mizaaj ki nahiN
mujhe wafa se bair hai
ye baat aaj ki nahiN"

na us ko mujh pe maan tha
na mujh ko us pe za'Am hi
jo 'ahad hi koi na hoi
to kya gham-e-shakistagi

so apna apna raasta
hansi Khushi badal diya
woh apni raah chal paDi
main apni raah chal diya

bhali si aik shakl thi
bhali si us ki doosti
ab us ki yaad raat din
nahin, magar "kabhi kabhi"

Regards,
WARDAH


- yasir_live - 04-26-2010


Woh Shair hi kya Jo FaraaZ k naam say Mehroom ho.


Thanks Wardah.




- WARDAH - 04-26-2010

@YASIR. . .tasdeeq kra lo faraz he ki poetry hai.Ab itni achi poetry khali naam na honay say thread mai na dalon ziadti ki baat hai.agli dfa khyal karon gi k faraz bhi likha ho wrna tum shk he karo gy [p]


- yasir_live - 04-26-2010


Wardah.

Tum nay Keh diya Aur Tasdeeq Mukamal hogai
FaraaZ ki Shairi ko ab kisi Aur Gawaah ki zaroorat nahi.

Shair main Faraz ka naam na ho, Yeh bilkul esa hay Jesay
Kisi Budnaseeb raat main Chand na Ho........!
Wah Wah Wah Pata nah kya hogya hay Mujhay!


Anywayz I was Kidding Wardah. Woh Poetry achi thi, Keep sharing Dear. Take CaRe!


Regards.



- WARDAH - 04-27-2010

@YASIR. . . itifaq hai is mai bhi faraz ka naam nahain but to check ker laina its refkhwab e gul pereeshan by Ahmed faraz

Woh teri terhan koi thee
--------------------------------
yunhi dosh per sambhale
ghani zulf ke do'shale
wohi sanwali si rungat
wohi naen neend wale

wohi mun pasund qamat
wohi khushnuma serapa
jo badan main neem khwabi
to lahoo main rutjaga sa

kabhi piyas ka samunder
kabhi aas ka jazeerah
wohi mehrban lehja
wohi mezbaan waterah

mujhe shairy se raghbat
usse she'r yad mere
wohi uske bhi qarine
jo hain khas wasf tere

kisi aur hi safr main
ser-e-rah mil gai thi
tujhe or kiya bataun
woh teri terhan koi thi

kisi shehr be amaan main
main watan bader akela
kabhi mout ka safr tha
kabhi zindagi se khela

mera jism jal raha tha
woh ghata ka saiban thi
main rafaqatun ka mara
woh meri mizaj daan thi

mujhe dil se uss ne pooja
usse jaan se main ne chaha
essi humrhhi main akhir
kahin agaya doraaha

yahan gumrhhi ka imkan
usse rung o boo ka lapka
yahan larzishun ke saman
usse khwahishun ne thapka

yahan dam the hazarun
yahan her tarf qafas the
kahin zer zameen ka daldal
kahin jaal the hawas ke

woh fiza ki fakhta thi
woh hawa ki raj putri
kisi ghat ko na dekha
kisi jheel per na utri

phir ek aessi sham aaee
ke woh sham akhri thi
koi zalzala sa aaya
koi barq si giri thi

ajab aandhiyan chalin phir
ke bikher gae dil o jaan
na kahin gul e wafa tha
na cheeragh e ehad o paymaan

woh jahaz uter gaya tha
ye jahaz uter raha hae
teri ankh main hain aansoo
mera dil bikher raha hae

tu jahan mujhe mili hae
woh yahin juda hoi thi
tujhe aur kiya bataun
woh teri terhan koi thi.
Regards, [)]