Accountancy Forum
Faraaz! Is Missing in this Forum. - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: Faraaz! Is Missing in this Forum. (/showthread.php?tid=7832)

Pages: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12


- WARDAH - 04-27-2010

guftagoo achchhii lagii, zauq-e-nazar achchha lagaa
muddatoN ke baad ko_ii ham_safar achchha lagaa

dil ka duKh_jaana to dil ka mas'alaa hai par hameiN
uskaa haNs denaa hamaare haal par achchha lagaa

har tarah kii be-sar-o-saamaaniyoN ke baa_vajood
aaj vo aaya to mujh ko apna ghar achchha lagaa

kyaa buraa thaa gar paRha rahtaa terii daHleez par
too hii batlaa kyaa tujhe vo dar-badar achchha lagaa?

kaun maqtal meN na pahuNcha, kaun zaalim thaa jise
teGh-e-qaatil se ziyaada apnaa sar achchha lagaa

ham bhii qaayal haiN vafaa-e-ustvaarii ke magar
ko_ii poochhe kaun kisko umr bhar achchha lagaa

'meer' kii maaniNd garche ziist kartaa thaa ''Faraz''
ham ko vo aashufta_Khoo shaayar magar achchha lagaa
Ye daikho is mai agya faraz . . . now happy ? [)]


- yasir_live - 04-27-2010


Thanks for such a Beautiful Sharing.

Faraaz Ka naam nahi hay magar, Aap ka naam to haina uss Post main Aur aap to jaanti hian Humain aap k naam say bhi Zauq hay! Utna nahi jitna FaraaZ say hay Magar Phir bhi Kuch na Kuch hay Zaroor.

Regards.



- WARDAH - 04-27-2010

Bari nawaziah hai !! ajkl mohsin ni arha boht din hogae.hope he must be fine. anyhow will share more poetry of ur beloved faraz


- yasir_live - 04-27-2010


Thanks Dear. And Yes U r rite Mohsin is not posting. May be Coz Kasim is also not posting. Kasim kuch Likhta hay phir Mohsin Ataa hay. Anywayz Mohsin if U r reading this Post, then do some posts also.

And Wardah, Yes Contribute Faraz poetry and he is not my Beloved. Main Woh nahi hun jo tum samajh rahi ho!

Regards.




- FARHAN123 - 04-28-2010

Ab to beghairtiyan itni barh gai hain FARAZ……………..!!!
Shair kisi aur ka hota hai aur naam mera Thonk dete Hain


- Ali RAZA - 04-28-2010

<blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Arial, Helvetica, san" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by FARHAN123</i>
<br />Ab to beghairtiyan itni barh gai hain FARAZ……………..!!!
Shair kisi aur ka hota hai aur naam mera Thonk dete Hain
<hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote">

in beghairtoo ma aap bhi shamil hay farhan[D]


- FARHAN123 - 04-28-2010

Is Topic mein jitni bhee poetry post ki hai mein ne in sub mein faraz ka trademark araha hai . So it proves that im not amongst beghairats [8D]

YE poetry koi mein ne khud thori ki hai . Ye tou faraz kehttay hain tou kehnay do unhain . Dont take it personal [p]


- FARHAN123 - 04-28-2010

<b><font size="2">

<font color="black">

dil to karta hai muh chum loon us ka faraz
lakin phir sochta hoon kahin naswar na dali ho us ne [Wink]


</font id="black"></font id="size2">



</b>


- FARHAN123 - 04-28-2010

<font face="Courier New"><font size="3"><font color="red"><b>

Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae
Ek Samandar Myri Aankhon Se Baha Karta Hae

Uss Ki Batain Mujey Khushbu Ki Tarah Lagti Hain
Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hae

Myrey Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi Hae
Woh Har Ek Shakhs Ko Daanista Khafa Karta Hae

Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi
Baat Itni Hae Kay Woh Muj Se Jafa Karta Hae

Jub Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz
Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hae ..!!!
</font id="red"></font id="size3">
</font id="Courier New"></b>
By- Ahmed Faraz


- WARDAH - 04-28-2010

@YASIR. . . uska to tum naam hi na lo jo dosron ka kr k mujh sy dosti bhol gya.rhy khush wo ab dosron k sath.khair aik or faraz ki sharing hope all members like it.
Tumhari pooroN ka lams ab tak
Meri kaf-e-dast par hai
Aur main ye sochta hun
Wo lamhe kitne darogh-go thay
Wo keh gaye thay
K ab k jo haath tere haathon ko cHu gaye hain
Tamaam hoNToN k saare lafzoN se mo'tabir hain
Wo keh gaye thay
Tumhari poorein
Jo mere haathoN ko cHu rahi thiiN
Wohi to qismat-taraash hain
Aur apni qismat ko
Saare logoN ki qismatoN se baland jaano
Hamari maano to ab kisi aur haath ko haath mat lagaana
Main uss samae se
Tamaam haathoN
Wo haath bhi
Jin mein pool
ShaakhoN se baRh k lutf-e-namu uTHaayein
Wo haath bhi jo sada k mehroom thay
Aur unn ki hatheliyaaN zakhm zakhm thiiN
Aur wo haath bhi jo charaagh jaise thay
Aur raste mein sang-e-farsang ki tarha jaa-bajaa gaRe thay
Wo haath bhi
Jin k naakhunoN k nishaan
Ma'asoom gardanoN par misaal-tauq-e-sitam paRe thay
Tamaam na-meherbaan aur meherbaan haathoN se
Dast-kash yuN raha hun jaise
Ye muTHiyaaN main ne kHol diiN to
Wo saare sachaaiyoN k moti
MusarratoN k tamaam jugnu
Jo be-yaqeeni k jangaloN mein
Yaqeen ka raasta banaate hain
roshni ka qafla banatay hain
Mere haathoN se rooTh jaayeN ge
Phir na taaza hawa chale gi
Na koi shamm'e-sada jale gi
Main zabt aur intazaar k iss hisaar mein muddatoN raha hun
Magar jab ik shaam
Aur wo pat-jHaR ki aakhri shaam thi
Hawa apna aakhri geet ga rahi thi
Mere badan mein mera lahu khushk ho raha tha
To muTHiyaaN main ne kHol diiN
Aur main ne dekha
K mere haathoN mein
Koi jugnu
Na koi moti
HatheliyoN per faqat meri na-muraad aankein dhari hui thiiN
Aur un mein
Qismat ki sab lakeerein mari hui thiiN






- awaisaftab - 04-28-2010

Yasir your remarks are more than your contribution.


- WARDAH - 04-28-2010

AWAIS seems YASIR's teacher her thread mai baqaida naam ly k heads waly comment diey ja rhy hain . hahahhaha


- Kasim - 04-28-2010

"@YASIR. . . uska to tum naam hi na lo jo dosron ka kr k mujh sy dosti bhol gya.rhy khush wo ab dosron k sath"------- by wardah


Oay Wardah itnaaaaaaaaaaaaaa gussaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa

pehlay tu main yeah heraaan howa k tum serious hogayeeeee
phir yeah heraaan howa k meri wajah say serious hogaye (i wish meray lieah serious hoti lol)
or phir main nay sari relevent posts dobara say perhi and mijhy tu ous main kuch aisa nahi laga k tum mind kerti as i was kidding in there joe k saaff nazer bhi arahah hay
finnaly i conclude k
tum kissi or ka gussa kissi or pay nikal rahi hooo
or
seems like tum k un k sath tum ki koi unbhun (anbhan) howi hay and shamat meri aye hay?
may i know plz k y me?

chair up (cheer up) buddy tumharay and meray dermiyaan koi nahi asakta mohsin bhi nahi (by the way where is he now a days)

but anamz1 ka main kuch keh nahi sakta caz tum dono frequently aik dosry k ILU bol rahi hooo-lol (me some times get jalous of that lol)



- WARDAH - 04-28-2010

@KASIM. . .gusa ni afsos hua tha kitny maan say mainy tumhara yasir or mohsin ka naam lia tha or ulta tum ny mujhy he waisa bola or un uncle cum machine ka prob mujhy smjh ni aata entry khud dy k bilawja pangy laita hai.pehly bhi he did so ( toon kon mai kham kha ) ki terhan.


- Kasim - 04-28-2010

oho tu yeah scene hay
means meri timings galat hogaye
will take care next time
anyway sorry to know k tumhara maaan toot gaya means tum baymaaan ho abb (LOL)